"vo jo bolein to baat jaati hai chup rahun main to raat jaati hai saath huron ke hai shahid tiraa kyaa adam ko baraat jaati hai mai ke piine se kar to luun tauba aarzu-e-najaat jaati hai dil-lagi kaa maza jab aataa hai hasti-e-be-sabaat jaati hai khuub aataa hai lutf-e-aazaadi jab ye qaid-e-hayaat jaati hai kyaa karun 'daagh' vasl mein shikva baat kahne mein raat jaati hai"
dil-e-naakaam ke hain kaam kharaab — Dagh Dehlvi
"dil-e-naakaam ke hain kaam kharaab kar liyaa aashiqi mein naam kharaab is kharaabaat kaa yahi hai maza ki rahe aadmi mudaam kharaab dekh kar jins-e-dil vo kahte hain kyuun kare koi apne daam kharaab abr-e-tar se sabaa hi achchhi thi meri miTTi hui tamaam kharaab vo bhi saaqi mujhe nahin detaa vo jo TuuTaa paDaa hai jaam kharaab kyaa milaa ham ko zindagi ke sivaa vo bhi dushvaar naa-tamaam kharaab vaah kyaa munh se phuul jhaDte hain khub-ru ho ke ye kalaam kharaab chaal ki rahnumaa-e-ishq ne bhi vo dikhaayaa jo thaa maqaam kharaab 'daagh' hai bad-chalan to hone do sau mein hotaa hai ik ghulaam kharaab"
دل ناکام کے ہیں کام خراب کر لیا عاشقی میں نام خراب اس خرابات کا یہی ہے مزہ کہ رہے آدمی مدام خراب دیکھ کر جنس دل وہ کہتے ہیں کیوں کرے کوئی اپنے دام خراب ابر تر سے صبا ہی اچھی تھی میری مٹی ہوئی تمام خراب وہ بھی ساقی مجھے نہیں دیتا وہ جو ٹوٹا پڑا ہے جام خراب کیا ملا ہم کو زندگی کے سوا وہ بھی دشوار ناتمام خراب واہ کیا منہ سے پھول جھڑتے ہیں خوب رو ہو کے یہ کلام خراب چال کی رہنمائے عشق نے بھی وہ دکھایا جو تھا مقام خراب داغؔ ہے بد چلن تو ہونے دو سو میں ہوتا ہے اک غلام خراب
दिल-ए-नाकाम के हैं काम ख़राब कर लिया आशिक़ी में नाम ख़राब इस ख़राबात का यही है मज़ा कि रहे आदमी मुदाम ख़राब देख कर जिंस-ए-दिल वो कहते हैं क्यूँ करे कोई अपने दाम ख़राब अब्र-ए-तर से सबा ही अच्छी थी मेरी मिट्टी हुई तमाम ख़राब वो भी साक़ी मुझे नहीं देता वो जो टूटा पड़ा है जाम ख़राब क्या मिला हम को ज़िंदगी के सिवा वो भी दुश्वार ना-तमाम ख़राब वाह क्या मुँह से फूल झड़ते हैं ख़ूब-रू हो के ये कलाम ख़राब चाल की रहनुमा-ए-इश्क़ ने भी वो दिखाया जो था मक़ाम ख़राब 'दाग़' है बद-चलन तो होने दो सौ में होता है इक ग़ुलाम ख़राब

More by Dagh Dehlvi
View all →"nafrat hai harf-e-vasl se achchhaa yuhin sahi lo aao aur baat suno vo nahin sahi chhoDungaa main na haath chale aao saath saath naazuk kalaai dukhti hai to aastin sahi mashq-e-jafaa ke vaaste kis ki talaash hai koi agar nahin hai to ye kam-tarin sahi iqraar kar ke ghurte ho kyon miri taraf baavar sahi yaqin sahi dil-nashin sahi bedaad kar ke chaahte ho phir jafaa ki daad behtar bajaa durust sahih aafrin sahi sajde hi karte jaaeinge ham teri raah mein hai naqsh-e-paa se aar to naqsh-e-jabin sahi be-dil-lagi bhi 'daagh' guzarni muhaal hai vo dil nahin sahi vo tamanna nahin sahi"
"kar na le apnaa Thikaana dushman dost naadaan hai daanaa dushman dekhe gar us ki palak yaa-allaah to ho tiron kaa nishaana dushman dida-e-tar na bahaanaa aansu DhunDhte hain ye bahaana dushman dost ko dost na samjhaa tum ne aur dushman ko na jaanaa dushman dosti ki na rahe phir ummid kaash ho jaae zamaana dushman dushman-e-jaan hain bahut par ai ishq tujhe jaanaa tujhe maanaa dushman tum samajhte ho use yaar-e-qadim dil hai ai 'daagh' puraanaa dushman"
"talvaar tiri ravaan bahut hai thoDaa bhi to imtihaan bahut hai kuchh aah ke hausle nikalte nichaa magar aasmaan bahut hai daaman pe tire lagi rahi khaak itnaa hi miraa nishaan bahut hai dil tang sahi par ai tamanna mar rahne ko ye makaan bahut hai ik koh-e-giraan hai ishq lekin is ko dil-e-naa-tavaan bahut hai ulfat mein nahin hai sabr naayaab ye chiiz magar giraan bahut hai baatin ki khabar khudaa ko hai 'daagh' zaahir mein vo mehrbaan bahut hai"
"kaafir vo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf phir us pe chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf hangaam-e-rehlat dekhiye dil kis taraf apnaa jhuke baiThe hain shaikh-o-barhaman ek is taraf ek us taraf zulfon ki ye sargoshiyaan dil par balaaein laaeingi ghammaaz hai garm-e-sukhan ek is taraf ek us taraf ghairon kaa majmaa aur tum pariyon kaa jamghaT aur ham pahlu-ba-pahlu anjuman ek is taraf ek us taraf dil ek tanhaa biich mein aankhein tiri saffaak do shamshir-zan naavak-fagan ek is taraf ek us taraf main mar gayaa huun vasl mein raahat ho har pahlu mujhe takiye hon do zer-e-kafan ek is taraf ek us taraf tu aur dahne baaein hon lailaa-o-shirin bazm mein main aur qais-o-kohkan ek is taraf ek us taraf donon farishte dosh par kyaa likh sakein haalat miri aaluda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf rukhsaar tere sim-gun phir us pe gul-gune kaa rang phulaa hai kyaa rang-e-chaman ek is taraf ek us taraf itraa rahaa hai 'daagh' kyaa hangaam-e-gul-gasht-e-chaman rangin-qabaa gul-pairahan ek is taraf ek us taraf"
"tum aaina hi na har baar dekhte jaao miri taraf bhi to sarkaar dekhte jaao na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhte jaao ki ji na chaahe to naa-chaar dekhte jaao bahaar-e-umr mein baagh-e-jahaan ki sair karo khilaa huaa hai ye gulzaar dekhte jaao yahi to chashm-e-haqiqat nigar kaa surma hai nizaa-e-kaafir-o-din-daar dekhte jaao uThaao aankh na sharmaao ye to mahfil hai ghazab se jaanib-e-aghyaar dekhte jaao nahin hai jins-e-vafaa ki tumhein jo qadr na ho baneinge kitne kharidaar dekhte jaao tumhein gharaz jo karo rahm paaemaalon par tum apni shokhi-e-raftaar dekhte jaao qasam bhi khaai thi quraan bhi uThaayaa thaa phir aaj hai vahi inkaar dekhte jaao ye shaamat aai ki us ki gali mein dil ne kahaa khulaa hai rauzan-e-divaar dekhte jaao huaa hai kyaa abhi hangaama aur kuchh hogaa fughaan mein hashr ke aasaar dekhte jaao shab-e-visaal adu ki yahi nishaani hai nishaan-e-bosa-e-rukhsaar dekhte jaao tumhaari aankh mire dil se le sabab be-vajh hui hai laDne ko tayyaar dekhte jaao idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zaahid yahin hai khaana-e-khummaar dekhte jaao raqib barsar-e-parkhaash ham se hotaa hai baDhegi muft mein takraar dekhte jaao nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim khataa muaaf khataa-vaar dekhte jaao dikhaa rahi hai tamaashaa falak ki nairangi nayaa hai shoabada har baar dekhte jaao banaa diyaa miri chaahat ne ghairat-e-yusuf tum apni garmi-e-baazaar dekhte jaao na jaao band kiye aankh rah-ravaan-e-adam idhar udhar bhi khabar-daar dekhte jaao suni-sunaai pe hargiz kabhi amal na karo hamaare haal ke akhbaar dekhte jaao koi na koi har ik sher mein hai baat zarur janaab-e-'daagh' ke ashaar dekhte jaao"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"