SHAWORDS

dil mein hai talab aur duaa aur tarah ki — Bushra Ejaz

HomeBushra EjazGhazal
"dil mein hai talab aur duaa aur tarah ki hai khaak-nashini ki sazaa aur tarah ki jab raakh se uTThegaa kabhi ishq kaa shoala phir paaegi ye khaak shifaa aur tarah ki jaate hue mausam ki to pahchaan yahi hai dastak mein mujhe degaa sadaa aur tarah ki hai hijr kaa pairaaya-e-fan aur tarah kaa aur vasl-kahaani hai zaraa aur tarah ki shab bhi hai vahi ham bhi vahi tum bhi vahi ho hai ab ke magar apni sazaa aur tarah ki"
Urdu

دل میں ہے طلب اور دعا اور طرح کی ہے خاک نشینی کی سزا اور طرح کی جب راکھ سے اٹھے گا کبھی عشق کا شعلہ پھر پائے گی یہ خاک شفا اور طرح کی جاتے ہوئے موسم کی تو پہچان یہی ہے دستک میں مجھے دے گا صدا اور طرح کی ہے ہجر کا پیرایۂ فن اور طرح کا اور وصل کہانی ہے ذرا اور طرح کی شب بھی ہے وہی ہم بھی وہی تم بھی وہی ہو ہے اب کے مگر اپنی سزا اور طرح کی

Hindi

दिल में है तलब और दुआ और तरह की है ख़ाक-नशीनी की सज़ा और तरह की जब राख से उट्ठेगा कभी इश्क़ का शोला फिर पाएगी ये ख़ाक शिफ़ा और तरह की जाते हुए मौसम की तो पहचान यही है दस्तक में मुझे देगा सदा और तरह की है हिज्र का पैराया-ए-फ़न और तरह का और वस्ल-कहानी है ज़रा और तरह की शब भी है वही हम भी वही तुम भी वही हो है अब के मगर अपनी सज़ा और तरह की

dil meñ hai talab aur duā aur tarah kī
Bushra Ejaz
Bushra Ejaz
Bushra Ejaz
poet9 quotes

More by Bushra Ejaz

View all →
Quote
"manzaron ke darmiyaan manzar banaanaa chaahiye rahnavard-e-shauq ko rasta dikhaanaa chaahiye apne saare raaste andar ki jaanib moD kar manzilon kaa ik nishaan baahar banaanaa chaahiye sochnaa ye hai ki us ki justuju hone talak saath apne khud rahein ham yaa zamaanaa chaahiye teri meri daastaan itni zaruri to nahin duniyaa ko kahne ki khaatir bas fasaanaa chaahiye phuul ki patti pe likkhun nazm jaisi ik duaa haath uThaane ke liye mujh ko bahaanaa chaahiye vasl ki koi nishaani hijr ke baaham rahe ab ke saada haath par mehndi lagaanaa chaahiye phuul khushbu rang jugnu raushni ke vaaste ghar ki divaaron mein ik rauzan banaanaa chaahiye shaam ko vaapas palaTte taaeron ko dekh kar sochti huun lauT kar ab ghar bhi jaanaa chaahiye"
Bushra EjazBushra Ejaz
Quote
"mohabbat mein koi sadma uThaanaa chaahiye thaa bhulaayaa thaa jise vo yaad aanaa chaahiye thaa giri thiin ghar ki divaarein to sehn-e-dil mein ham ko gharaunde kaa koi naqsha banaanaa chaahiye thaa uThaanaa chaahiye thi raakh shahr-e-aarzu ki phir is ke baad ik tufaan uThaanaa chaahiye thaa koi to baat karnaa chaahiye thi khud se aakhir kahin to mujh ko bhi ye dil lagaanaa chaahiye thaa kabhi to ehtimaam-e-aarzu bhi thaa zaruri koi to ziist karne kaa bahaanaa chaahiye thaa miri apni aur us ki aarzu mein farq ye thaa mujhe bas vo use saaraa zamaana chaahiye thaa"
Bushra EjazBushra Ejaz

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari