SHAWORDS

dil to barsaataa hai har roz hi gham ke saavan — Athar Aziz

HomeAthar AzizGhazal
"dil to barsaataa hai har roz hi gham ke saavan phir bhi bujhte nahin yaadon ke sulagte indhan zindagi khvaabon ki chilman mein yuun iThlaati hai jaise sakhiyon mein ghiri ho koi sharmili dulhan ab to har roz hi ik aanch nai uThti hai ye miraa jism na ban jaae dahaktaa madfan is se pahle ki sabaa aankh-micholi khele band kar do dar-e-ummid kaa har har rauzan shab ke aaine mein tasvir-e-tamannaa dekho aks dikhlaaegaa kyaa tum ko sahar kaa darpan is qadar bhi to sataao na bahakte khvaabo dil taabir ki ruk jaae larazti dhaDkan hai vo vahshat ki havaa bhi nahin chalti 'athar' ban gayaa kitnaa bhayaanak ye vafaa kaa aangan"
Urdu

دل تو برساتا ہے ہر روز ہی غم کے ساون پھر بھی بجھتے نہیں یادوں کے سلگتے ایندھن زندگی خوابوں کی چلمن میں یوں اٹھلاتی ہے جیسے سکھیوں میں گھری ہو کوئی شرمیلی دلہن اب تو ہر روز ہی اک آنچ نئی اٹھتی ہے یہ مرا جسم نہ بن جائے دہکتا مدفن اس سے پہلے کہ صبا آنکھ مچولی کھیلے بند کر دو در امید کا ہر ہر روزن شب کے آئینے میں تصویر تمنا دیکھو عکس دکھلائے گا کیا تم کو سحر کا درپن اس قدر بھی تو ستاؤ نہ بہکتے خوابو دل تعبیر کی رک جائے لرزتی دھڑکن ہے وہ وحشت کہ ہوا بھی نہیں چلتی اطہرؔ بن گیا کتنا بھیانک یہ وفا کا آنگن

Hindi

दिल तो बरसाता है हर रोज़ ही ग़म के सावन फिर भी बुझते नहीं यादों के सुलगते ईंधन ज़िंदगी ख़्वाबों की चिलमन में यूँ इठलाती है जैसे सखियों में घिरी हो कोई शर्मीली दुल्हन अब तो हर रोज़ ही इक आँच नई उठती है ये मिरा जिस्म न बन जाए दहकता मदफ़न इस से पहले कि सबा आँख-मिचोली खेले बंद कर दो दर-ए-उम्मीद का हर हर रौज़न शब के आईने में तस्वीर-ए-तमन्ना देखो अक्स दिखलाएगा क्या तुम को सहर का दर्पन इस क़दर भी तो सताओ न बहकते ख़्वाबो दिल ताबीर की रुक जाए लरज़ती धड़कन है वो वहशत कि हवा भी नहीं चलती 'अतहर' बन गया कितना भयानक ये वफ़ा का आँगन

dil to barsātā hai har roz hī ġham ke sāvan
A
Athar Aziz
Athar Aziz
poet14 quotes

More by Athar Aziz

View all →
Quote
"ik daagh-e-tamannaa hai to ik zakhm-e-vafaa hai tanhaa saa ye dil kitne sharaaron mein ghiraa hai aataa hai nazar tum ko jo haala saa sar-e-baam kuchh aur nahin meri umidon kaa diyaa hai ye baat nahin sirf ki chehre hi nae hain is shahr ke logon kaa har andaaz nayaa hai jo khaar garaan-maaya mile raah-e-vafaa mein baDh kar unhein ikhlaas ki palkon se chunaa hai phir paDne lagi hai dar-e-ehsaas pe dastak dekhun to sahi kaun hai kyon chikh rahaa hai kis moD pe le aai hai ai gardish-e-ayyaam har samt lapakte hue shoalon ki havaa hai tum anjum-o-mahtaab pe pahunche to huaa kyaa jab dil ke shabistaan mein andheraa hi rahaa hai mumkin ho to raushan rakho ehsaas ki qindil kab chaand sitaaron ne bhalaa saath diyaa hai kuchh log to gir kar bhi sanbhal jaate hain 'athar' yaan ek hi Thokar pe jigar kaanp uThaa hai"
A
Athar Aziz
Quote
"chaand ke rukh pe jo zakhmon kaa na ghaaza hotaa phir to vo chaand na hotaa koi shisha hotaa kam se kam log to ruk kar zaraa paDhte mujh ko kaash main bhi kisi divaar kaa katba hotaa jis taraf dekhiye patthar hi se chehre hain yahaan phuul se lab na sahi phuul saa lahja hotaa jaane kin sahme hue khvaabon kaa bantaa madfan apne is daur mein gar main koi naghma hotaa bas yahi ek khalish dil mein sisakti hai sadaa tu miraa jism kabhi main tiraa saaya hotaa itni tasvirein sajaa rakkhi hain tu ne dil mein tere album mein miraa bhi koi chehra hotaa yuun sitaare na kabhi shaam se chikhaa karte sina-e-shab mein agar subh kaa naqsha hotaa shahr mein kitne safiraan-e-junun aae hain in ke eazaaz mein 'athar' koi jalsa hotaa"
A
Athar Aziz
Quote
"ashk huun aah huun aatish huun ki akhgar dekho kyaa huun main dosto aao mujhe chhu kar dekho soch ke ghaar se ik shor uThaa hai to sahi ab kahaan jaa ke Thahartaa hai ye lashkar dekho main ne maanaa ki gagan phuul ki kashti hai magar apni dharti pe bhi kuchh duur to chal kar dekho main ne jo sang uchhaalaa vahi suraj niklaa Dubti rut ke dahakte hue tevar dekho dil ki dipak thaa kabhi aaj hai daaghon kaa khanDar kitne rang aur dikhaataa hai muqaddar dekho gul se khushbu hi agar ruuTh gai ho 'athar' phir to bas ek mahaktaa huaa patthar dekho"
A
Athar Aziz

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb