"viraan maqbaron se chalo mashvara karein naam-o-nasab kaa daur huaa khatm kyaa karein uDti hai khaak kamron mein aaseb ki tarah divaar-o-dar ko ghaur se kab tak takaa karein haathon mein le ke camera bhaTkein tamaam umr maazi ki bikhri yaadon ko yakjaa kiyaa karein ham sin-rasida logon ki sohbat mein baiTh kar raushan zamir vaalon ke qisse sunaa karein aaya hai mere shahr mein lekin milaa nahin vo kis jagah asiir hai chal kar pataa karein 'jaaved' teri ghazlon kaa lahja hai mukhtalif dil ko tire mizaaj se kyon aashnaa karein"
dilon ki tahrir aansuon se miTaa chuke hain — Malikzada Javed
"dilon ki tahrir aansuon se miTaa chuke hain hamaare paanv safar ki lazzat ganvaa chuke hain jadid lahje kaa ek shaair ghazal-saraa hai diye puraane mazaar ke ham bujhaa chuke hain khanDar kaa malba zamin pe kab kaa bikhar chukaa hai amir-zaade shanaakht apni miTaa chuke hain puraane album kaa har varaq hai siyaah ab to kisi kaa chehra ham apne dil se haTaa chuke hain kisi ke mansab kisi ki daulat kaa zikr mat kar qasida-khvaani ki buDhi rasmein uThaa chuke hain"
دلوں کی تحریر آنسوؤں سے مٹا چکے ہیں ہمارے پاؤں سفر کی لذت گنوا چکے ہیں جدید لہجے کا ایک شاعر غزل سرا ہے دیے پرانے مزار کے ہم بجھا چکے ہیں کھنڈر کا ملبہ زمیں پہ کب کا بکھر چکا ہے امیر زادے شناخت اپنی مٹا چکے ہیں پرانے البم کا ہر ورق ہے سیاہ اب تو کسی کا چہرہ ہم اپنے دل سے ہٹا چکے ہیں کسی کے منصب کسی کی دولت کا ذکر مت کر قصیدہ خوانی کی بوڑھی رسمیں اٹھا چکے ہیں
दिलों की तहरीर आँसुओं से मिटा चुके हैं हमारे पाँव सफ़र की लज़्ज़त गँवा चुके हैं जदीद लहजे का एक शाइ'र ग़ज़ल-सरा है दिये पुराने मज़ार के हम बुझा चुके हैं खंडर का मलबा ज़मीं पे कब का बिखर चुका है अमीर-ज़ादे शनाख़्त अपनी मिटा चुके हैं पुराने एल्बम का हर वरक़ है स्याह अब तो किसी का चेहरा हम अपने दिल से हटा चुके हैं किसी के मंसब किसी की दौलत का ज़िक्र मत कर क़सीदा-ख़्वानी की बूढ़ी रस्में उठा चुके हैं

More by Malikzada Javed
View all →"vo hai mere kahne mein namak milaa hai rishte mein gham aur khushiyaan rahti hain chhoTe se ik kamre mein khoyaa huaa meraa eazaaz mil saktaa hai malbe mein vo hai miThi miThi dhun shor bahut hai naghme mein nafrat mein jo lazzat hai baat kahaan samjhaute mein mausam jab tak Thiik na ho vo rahtaa hai sajde mein chhuTnaa mushkil hai 'jaaved' daagh bahut hain kapDe mein"
"gae vaqton se kuchh yaari bhi hogi hamaari naaz-bardaari bhi hogi zaraa si barf pighli hai abhi to mohabbat ki nadi jaari bhi hogi sulagte din baDe chaalaak honge magar bachchon mein hushyaari bhi hogi vo meri zaat se munkir na hogaa namak mein kuchh vafaadaari bhi hogi kaho 'jaaved' is maahaul mein kyaa usulon ki taraf-daari bhi hogi"
"phalon ne kho diyaa jis din se zaaiqa apnaa kisi ne peD se rakkhaa na raabta apnaa sulagti dhuup miraa imtihaan kyaa legi janaab-e-'mir' se miltaa hai silsila apnaa hamaare lafzon ne bakhshi kitaab ko azmat varaq to saare tumhaare the haashiya apnaa na jaane kaun si aafat idhar se guzregi parind chhoD ke jaate hain ghonsla apnaa na baiThne kaa saliqa na guftugu kaa shuur ajiib logon se paDtaa hai saabiqa apnaa miraa makaan khanDar ho gayaa hai ai 'jaaved' na jaane kab vo sunaaegaa faisla apnaa"
"andhe gunge bahre log ujle kapDe maile log kam-umri mein sunet hain mar jaate hain achchhe log bhaag rahe hain duniyaa mein paanv ko sar pe rakkhe log raste mein mil jaate hain titli ke par jaise log aainon ko le kar saath phirte hain be-chehre log mahnge ghar mein rahte hain barf ke jaise ThanDe log daur-e-haazir mein 'jaaved' kapDon mein hain nange log"
"aisaa naghma mire sitaar mein hai jis ko dekho vahi hisaar mein hai aaine par hai dhuul maazi ki meraa chehra abhi ghubaar mein hai ik laraztaa badan thakaa haaraa aakhiri bus ke intizaar mein hai Dhal gaiin nafratein fazaaon ki dil mohabbat ke aabshaar mein hai peD taalaab aur hare manzar kitni maasumiyat dayaar mein hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"