SHAWORDS

din to jun-tun chalo guzar jaae — Faheem Amrohvi

HomeFaheem AmrohviGhazal
"din to jun-tun chalo guzar jaae nighraa raat mein kidhar jaae ye saDak par paDaa huaa ik shakhs is ke siine se car utar jaae ghar se paanv nikal gayaa us kaa ab khudaa jaane vo kidhar jaae is zamaane mein zindagi ke liye soch bhi le koi to mar jaae raat ki fikr to karun lekin sar se ye dhuup to utar jaae aaina munh chiDaa rahaa hai mujhe khud ko jo dekh le to Dar jaae intishaar-e-hayaat uf jaise aaina TuuT kar bikhar jaae"
Urdu

دن تو جوں توں چلو گزر جائے نگھرا رات میں کدھر جائے یہ سڑک پر پڑا ہوا اک شخص اس کے سینے سے کار اتر جائے گھر سے پاؤں نکل گیا اس کا اب خدا جانے وہ کدھر جائے اس زمانے میں زندگی کے لئے سوچ بھی لے کوئی تو مر جائے رات کی فکر تو کروں لیکن سر سے یہ دھوپ تو اتر جائے آئنہ منہ چڑا رہا ہے مجھے خود کو جو دیکھ لے تو ڈر جائے انتشار حیات اف جیسے آئینہ ٹوٹ کر بکھر جائے

Hindi

दिन तो जूँ-तूँ चलो गुज़र जाए निघरा रात में किधर जाए ये सड़क पर पड़ा हुआ इक शख़्स इस के सीने से कार उतर जाए घर से पाँव निकल गया उस का अब ख़ुदा जाने वो किधर जाए इस ज़माने में ज़िंदगी के लिए सोच भी ले कोई तो मर जाए रात की फ़िक्र तो करूँ लेकिन सर से ये धूप तो उतर जाए आइना मुँह चिड़ा रहा है मुझे ख़ुद को जो देख ले तो डर जाए इंतिशार-ए-हयात उफ़ जैसे आईना टूट कर बिखर जाए

din to jūñ-tūñ chalo guzar jaa.e
Faheem Amrohvi
Faheem Amrohvi
Faheem Amrohvi
poet8 quotes

More by Faheem Amrohvi

View all →
Quote
"tum jo ho paas to kami kyaa hai tum na ho to ye zindagi kyaa hai gardish-e-vaqt ye to batlaa de phuul kyaa chiiz hai kali kyaa hai koi lamha ruke to main puchhun vaqt ko aisi bekali kyaa hai ek saanson ke silsile ke sivaa ham gharibon ki zindagi kyaa hai band kamron ke baasiyon se na puchh subh kyaa shai hai raushni kyaa hai aql mabhut ho gai fauran jab bhi sochaa ki zindagi kyaa hai in charaaghon tale andheraa hai in charaaghon mein raushni kyaa hai adl bahraa hai gung hai mazlum koi kis se kahe koi kyaa hai haan nahin hai to bas vafaa varna mere ahbaab mein kami kyaa hai"
Faheem AmrohviFaheem Amrohvi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari