Quote
"ham ye kaisaa malaal kar baiThe dil kaa tum se savaal kar baiThe pyaar karnaa hamein na aaya magar ishq mein ham kamaal kar baiThe khoe the ham tire khayaalon mein par haqiqat khayaal kar baiThe zikr teraa zabaan par laa kar apnaa chehra gulaal kar baiThe aap ko chaahte hain un se kahaa ham bhi kaisi majaal kar baiThe"
F
Fauziya Naseem Shaad