SHAWORDS

fan asl mein pinhaan hai dil-e-zaar ke andar — Asrar Akbarabadi

"fan asl mein pinhaan hai dil-e-zaar ke andar fankaar hai ik aur bhi fankaar ke andar kaanTon pe bichhaataa hai gulaabon kaa bichhaunaa do rang hain ik saath mire yaar ke andar vo shor thaa mahfil mein koi sun nahin paayaa ik chikh thi paazeb ki jhankaar ke andar tum sach ki zinat the mujhe dekhte kaise main bhi thaa nai subh ke akhbaar ke andar 'asraar' mujhe dil ne ye kal raat bataayaa shoala huun bulandi kaa main ik khaar ke andar"
Urdu

فن اصل میں پنہاں ہے دل زار کے اندر فن کار ہے اک اور بھی فن کار کے اندر کانٹوں پہ بچھاتا ہے گلابوں کا بچھونا دو رنگ ہیں اک ساتھ مرے یار کے اندر وہ شور تھا محفل میں کوئی سن نہیں پایا اک چیخ تھی پازیب کی جھنکار کے اندر تم سچ کی زینت تھے مجھے دیکھتے کیسے میں بھی تھا نئی صبح کے اخبار کے اندر اسرارؔ مجھے دل نے یہ کل رات بتایا شعلہ ہوں بلندی کا میں اک خار کے اندر

Hindi

फ़न अस्ल में पिन्हाँ है दिल-ए-ज़ार के अंदर फ़नकार है इक और भी फ़नकार के अंदर काँटों पे बिछाता है गुलाबों का बिछौना दो रंग हैं इक साथ मिरे यार के अंदर वो शोर था महफ़िल में कोई सुन नहीं पाया इक चीख़ थी पाज़ेब की झंकार के अंदर तुम सच की ज़ीनत थे मुझे देखते कैसे मैं भी था नई सुब्ह के अख़बार के अंदर 'असरार' मुझे दिल ने ये कल रात बताया शो'ला हूँ बुलंदी का मैं इक ख़ार के अंदर

fan asl meñ pinhāñ hai dil-e-zār ke andar
A
Asrar Akbarabadi
Asrar Akbarabadi
poet10 quotes

More by Asrar Akbarabadi

View all →
Quote
"dhaDkan mein nihaan ishq ke aazaar se pahle ik aur hasin gham hai gham-e-yaar se pahle fitrat ki tamannaa kaa jo darpan hain vo naghme gaati hain havaaein dil-e-fankaar se pahle mausam ne to baadal ke abhi baandhe hain ghunghru dil jhuum uThaa hai miraa jhankaar se pahle ham apne khayaalon mein the kuchh bhi nahin samjhe maujon mein to halchal si thi manjdhaar se pahle sochaa hi thaa sajde mein jhukein khud miri aankhein irfaan-e-khudaa ho gayaa didaar se pahle gar aap ko taarikh samajhni hai hamaari shaakh-e-gul-e-tar dekhiye talvaar se pahle baadal bhi banaane kaa hunar siikh lo 'asraar' sahraa bhi milegaa rah-e-dil-daar se pahle"
A
Asrar Akbarabadi
Quote
"shor ehsaas mein aisaa hai ki mahshar kahiye har nae shahr ko chikhon kaa samundar kahiye din kaa sahraa ye siyah dhuup ke umanDe lashkar dil ko tapte hue neze pe gul-e-tar kahiye vo hain aakaash kaa manzar kai rangon ki tarah band shishon mein mujhe karb kaa daftar kahiye tum sahi phir bhi to murjhaa gae jhilon mein kanval in havaaon ko dabi aag ki chaadar kahiye raat din barse hain phulon mein magar pyaas rahi kaise baadal mein unhein zahr ki gaagar kahiye dard-e-be-dard hai behis hain hison ke paikar dil ki aavaaz hai shishon ko bhi patthar kahiye fikr-o-gham sab ke makaanon mein base hain yaksaan shish-mahlon ko mire ghar ke baraabar kahiye vo jo aa jaaein mohabbat kaa ujaalaa ban kar chaand ko rang bhari raat kaa jhumar kahiye aasmaan par hai ye 'asraar' zamin par hai kabhi dil ko aafaaq mein uDtaa huaa shahpar kahiye"
A
Asrar Akbarabadi
Quote
"mahke hue gulon kaa chaman bolne lagaa vo chup huaa to us kaa badan bolne lagaa aanchal hai kahkashaan to vo khud bhi hai chaand saa baahon mein meri aa ke gagan bolne lagaa taabaaniyon mein us ki hai mauj-e-vafaa ki guunj din chup huaa to dil kaa ratan bolne lagaa boli gai thi dard ke mausam mein jo kabhi phir vo zabaan apnaa vatan bolne lagaa khaamosh rah ke us ne guzaari thi zindagi vo shakhs jab maraa to kafan bolne lagaa dil ki haveliyon ke hue aaine khamosh shahr-e-anaa mein sang-e-kuhan bolne lagaa aahan ke shor-o-shar mein hai 'asraar' vo asar lahje mein dhun ke aaj kaa fan bolne lagaa"
A
Asrar Akbarabadi
Quote
"maah-o-anjum kahkashaan ke aashiyaanon se pare aakhiri manzil hai meri aasmaanon se pare aise 'aalam mein haqiqat kaa ho kaise inkishaaf vo abhi pahunche nahin hain daastaanon se pare ek tufaan se dilon ki kashtiyaan hain muntashir ek tufaan muntazir hai baadbaanon se pare aap apni 'ambarin zulfein havaa mein khol dein khushbuein to jaa chuki hain gulsitaanon se pare khastagi se jin ki qaaem hai mohabbat shahr mein kuchh makaan aise bhi hain unche makaanon se pare nasl-e-aadam ke sabhi afraad hain is mein sharik ye jahaan ik khaandaan hai khaandaanon se pare aao ham 'asraar' dekhein kyaa vahaan hai khaas moD uTh rahi hai gard si kuchh kaarvaanon se pare"
A
Asrar Akbarabadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil