Quote
"agar shikva 'ibaadat mein abhi bhi kar rahaa huun main to ik phuTe hue bartan mein paani bhar rahaa huun main khalaa mein jo bharaa hai dikh rahaa ye hi to hai vistaar jise khaali samajhne ki khataaein kar rahaa huun main sukhi hai vo bashar shukraana jis ke aayaa jivan mein magar is ramz se anjaan jivan bhar rahaa huun main mujhe jo kah rahe hain buund un ko ye nahin maa'lum isi ik buund se pahle mahaa-saagar rahaa huun main nahin hai khauf is dil mein kisi tufaan kaa 'dilbar' yaqin Dole na maanjhi par isi se Dar rahaa huun main"
D
Dilbar