SHAWORDS

gham-e-habib gham-e-do-jahaan nahin hotaa — Anwar Moazzam

HomeAnwar MoazzamGhazal
"gham-e-habib gham-e-do-jahaan nahin hotaa agar khulus-e-vafaa be-karaan nahin hotaa dilon ki aag baDhaao ki log kahte hain charaagh-e-husn se raushan jahaan nahin hotaa tiri nigaah-e-karam hi kaa ye asar to nahin jahaan mein ham pe koi mehrbaan nahin hotaa shuur-e-manzil-e-maqsud bhi hai shart-e-safar hujum-e-raah-ravaan kaarvaan nahin hotaa"
Urdu

غم حبیب غم دو جہاں نہیں ہوتا اگر خلوص وفا بے کراں نہیں ہوتا دلوں کی آگ بڑھاؤ کہ لوگ کہتے ہیں چراغ حسن سے روشن جہاں نہیں ہوتا تری نگاہ کرم ہی کا یہ اثر تو نہیں جہاں میں ہم پہ کوئی مہرباں نہیں ہوتا شعور منزل مقصود بھی ہے شرط سفر ہجوم راہرواں کارواں نہیں ہوتا

Hindi

ग़म-ए-हबीब ग़म-ए-दो-जहाँ नहीं होता अगर ख़ुलूस-ए-वफ़ा बे-कराँ नहीं होता दिलों की आग बढ़ाओ कि लोग कहते हैं चराग़-ए-हुस्न से रौशन जहाँ नहीं होता तिरी निगाह-ए-करम ही का ये असर तो नहीं जहाँ में हम पे कोई मेहरबाँ नहीं होता शुऊ'र-ए-मंज़िल-ए-मक़्सूद भी है शर्त-ए-सफ़र हुजूम-ए-राह-रवाँ कारवाँ नहीं होता

ġham-e-habīb ġham-e-do-jahāñ nahīñ hotā
Anwar Moazzam
Anwar Moazzam
Anwar Moazzam
poet21 quotes

More by Anwar Moazzam

View all →
Quote
"aao dekhein ahl-e-vafaa ki hoti hai tauqir kahaan kis mahfil kaa naam hai maqtal khinchti hai shamshir kahaan chhuT na paaoge dil vaalo chaahat ke is zindaan se chaaho to dil TuuT bhi jaaein TuTegi zanjir kahaan chashm-e-sahar mein aas umiid kyaa aansu ki ik buund nahin yuun daaman phailaae chale hain raaton ke rahgir kahaan sadiyon ke pahchaane khvaabon se bojhal in aankhon ko anjaane khvaabon ke shahr mein le aai taabir kahaan ik viraana ek shajar kuchh saae do pyaasi aankhein dekhein sajegi din ke makaan mein raat ki ye tasvir kahaan vaqt kaa dariyaa le bhi gayaa vo sab jo dil-o-jaan se thaa aziiz DhunDh rahe ho saahil par ab aansu ki tahrir kahaan"
Anwar MoazzamAnwar Moazzam
Quote
"Dubte taaron se puchho na qamar se puchho qissa-e-rukhsat-e-shab sham-e-sahar se puchho kis ne bahlaayaa khizaan ko gul-e-tar se puchho gul pe kyaa guzri bahaaron ke jigar se puchho kaun royaa pas-e-divaar-e-chaman aakhir-e-shab kyuun sabaa lauT gai raahguzar se puchho raat bhar diip sar-e-raah jale kis ke liye kyuun andheraa thaa bhare ghar mein qamar se puchho kis ke daaman se lagi nikhat-e-gul roti hai kaun hotaa hai judaa ji ke nagar se puchho ek aavaaz to gunji thi ufuq-taa-ba-ufuq kaarvaan gum hai kahaan gard-e-safar se puchho"
Anwar MoazzamAnwar Moazzam
Quote
"dida-e-tar ne ajab jalvagari dekhi hai gham ne jis shaakh ko paalaa vo hari dekhi hai haae kis but ki khudaai kaa bharam TuuTaa hai khalq ne aaj in aankhon mein tari dekhi hai na milaa par na milaa ishq ko andaaz-e-junun ham ne majnun ki bhi aashufta-sari dekhi hai aab-o-gil ghuncha-o-gul dida-o-dil shams-o-qamar kin hijaabon mein tiri parda-dari dekhi hai haan kabhi khul na sakaa phuul pe mazmun-e-bahaar o sabaa ham ne tiri naama-bari dekhi hai kaun asir-e-gham-e-kotaahi-e-parvaaz nahin kis ne sayyaad ki be-baal-o-pari dekhi hai"
Anwar MoazzamAnwar Moazzam

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil