"ye qissa-e-gham-e-dil hai to baankpan se chale kisi nigaah pe Thahre kisi badan se chale na jaane kis ke karam se khile kali dil ki sumum-e-dasht se uTThe sabaa chaman se chale vo aae dil mein to yuun jaise shaam kaa taara misaal-e-maah sitaaron ki anjuman se chale fasaane chaak-e-garebaan ke paD gae phike junun ki baat kabhi tere pairahan se chale hujum-e-subh ki tanhaaiyon mein Duub gae vo qaafile jo andheron ki anjuman se chale"
dida-e-tar ne ajab jalvagari dekhi hai — Anwar Moazzam
"dida-e-tar ne ajab jalvagari dekhi hai gham ne jis shaakh ko paalaa vo hari dekhi hai haae kis but ki khudaai kaa bharam TuuTaa hai khalq ne aaj in aankhon mein tari dekhi hai na milaa par na milaa ishq ko andaaz-e-junun ham ne majnun ki bhi aashufta-sari dekhi hai aab-o-gil ghuncha-o-gul dida-o-dil shams-o-qamar kin hijaabon mein tiri parda-dari dekhi hai haan kabhi khul na sakaa phuul pe mazmun-e-bahaar o sabaa ham ne tiri naama-bari dekhi hai kaun asir-e-gham-e-kotaahi-e-parvaaz nahin kis ne sayyaad ki be-baal-o-pari dekhi hai"
دیدۂ تر نے عجب جلوہ گری دیکھی ہے غم نے جس شاخ کو پالا وہ ہری دیکھی ہے ہائے کس بت کی خدائی کا بھرم ٹوٹا ہے خلق نے آج ان آنکھوں میں تری دیکھی ہے نہ ملا پر نہ ملا عشق کو انداز جنوں ہم نے مجنوں کی بھی آشفتہ سری دیکھی ہے آب و گل غنچہ و گل دیدہ و دل شمس و قمر کن حجابوں میں تری پردہ دری دیکھی ہے ہاں کبھی کھل نہ سکا پھول پہ مضمون بہار او صبا ہم نے تری نامہ بری دیکھی ہے کون اسیر غم کوتاہیٔ پرواز نہیں کس نے صیاد کی بے بال و پری دیکھی ہے
दीदा-ए-तर ने अजब जल्वागरी देखी है ग़म ने जिस शाख़ को पाला वो हरी देखी है हाए किस बुत की ख़ुदाई का भरम टूटा है ख़ल्क़ ने आज इन आँखों में तरी देखी है न मिला पर न मिला इश्क़ को अंदाज़-ए-जुनूँ हम ने मजनूँ की भी आशुफ़्ता-सरी देखी है आब-ओ-गिल ग़ुंचा-ओ-गुल दीदा-ओ-दिल शम्स-ओ-क़मर किन हिजाबों में तिरी पर्दा-दरी देखी है हाँ कभी खुल न सका फूल पे मज़मून-ए-बहार ओ सबा हम ने तिरी नामा-बरी देखी है कौन असीर-ए-ग़म-ए-कोताही-ए-पर्वाज़ नहीं किस ने सय्याद की बे-बाल-ओ-परी देखी है

More by Anwar Moazzam
View all →"aao dekhein ahl-e-vafaa ki hoti hai tauqir kahaan kis mahfil kaa naam hai maqtal khinchti hai shamshir kahaan chhuT na paaoge dil vaalo chaahat ke is zindaan se chaaho to dil TuuT bhi jaaein TuTegi zanjir kahaan chashm-e-sahar mein aas umiid kyaa aansu ki ik buund nahin yuun daaman phailaae chale hain raaton ke rahgir kahaan sadiyon ke pahchaane khvaabon se bojhal in aankhon ko anjaane khvaabon ke shahr mein le aai taabir kahaan ik viraana ek shajar kuchh saae do pyaasi aankhein dekhein sajegi din ke makaan mein raat ki ye tasvir kahaan vaqt kaa dariyaa le bhi gayaa vo sab jo dil-o-jaan se thaa aziiz DhunDh rahe ho saahil par ab aansu ki tahrir kahaan"
"Dubte taaron se puchho na qamar se puchho qissa-e-rukhsat-e-shab sham-e-sahar se puchho kis ne bahlaayaa khizaan ko gul-e-tar se puchho gul pe kyaa guzri bahaaron ke jigar se puchho kaun royaa pas-e-divaar-e-chaman aakhir-e-shab kyuun sabaa lauT gai raahguzar se puchho raat bhar diip sar-e-raah jale kis ke liye kyuun andheraa thaa bhare ghar mein qamar se puchho kis ke daaman se lagi nikhat-e-gul roti hai kaun hotaa hai judaa ji ke nagar se puchho ek aavaaz to gunji thi ufuq-taa-ba-ufuq kaarvaan gum hai kahaan gard-e-safar se puchho"
"ye ghazal ki anjuman hai zaraa ehtimaam kar lo kisi gham ko mai banaa lo kisi dil ko jaam kar lo kahaan subh-e-gham kaa suraj kahaan shaam kaa sitaara isi rukh pe zulf bikhre yahi subh-o-shaam kar lo vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo ye kahaan ke mohtasib hain ye kahaan ki maslahat hai jo unhein nahin mayassar vahi shai haraam kar lo"
"jab miri ziist ke unvaan nae matlub hue mere aamaal mein armaan bhi mahsus hue un mein sab apnaa pata apnaa nishaan DhunDte hain jitne afsaane tire naam se mansub hue sab dikhaate hain tiraa aks miri aankhon mein ham zamaane ko isi taur se mahbub hue jin ko imaan thaa nazron ki masihaai par dil ki basti se jo guzre baDe mahjub hue qatre qatre se lahu ke ise sarsabz kiyaa aur divaane isi shaakh pe maslub hue"
"zakhm-e-nazaara khun-e-nazar dekhte raho jo kuchh dikhaae dida-e-tar dekhte raho chashm-e-sadaf ke dard se sarf-e-nazar karo kis tarah TuTte hain guhar dekhte raho shaayad kisi kaa naqsh-e-kaf-e-paa chamak uThe ai rahnumaao raahguzar dekhte raho gesu-e-shab sanvaarne vaalo kabhi kabhi aaina-e-nigaar-e-sahar dekhte raho aankhon mein ghul na jaaein kahin zulmaton ke rang jis samt raushni hai udhar dekhte raho"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"