SHAWORDS

gard-e-gumaan havaa-e-yaqin baiThne lagi — Badr Mohammadi

HomeBadr MohammadiGhazal
"gard-e-gumaan havaa-e-yaqin baiThne lagi baiThe na aasmaan ki zamin baiThne lagi sar yuun uThaa rahi hai tamannaa-e-ku-e-yaar phir aarzu-e-khuld-e-barin baiThne lagi ham be-makaan hue ki hamaare makaan mein ab be-ghari hi ban ke makin baiThne lagi aisaa nahin ki shak hai mujhe us ke aane mein lekin ye kyaa ki nabz-e-yaqin baiThne lagi tufaan tham gayaa to ruki zarre ki uDaan thi jis jagah ki khaak vahin baiThne lagi haalaanki vo khaDaa hai isi par jamaa ke paanv phir kyaa kiyaa falak ne zamin baiThne lagi ai 'badr' tere she'r kaa lahja hai dil-nashin har baat mere dil mein kahin baiThne lagi"
Urdu

گرد گماں ہوائے یقیں بیٹھنے لگی بیٹھے نہ آسماں کہ زمیں بیٹھنے لگی سر یوں اٹھا رہی ہے تمنائے کوئے یار پھر آرزوئے خلد بریں بیٹھنے لگی ہم بے مکاں ہوئے کہ ہمارے مکان میں اب بے گھری ہی بن کے مکیں بیٹھنے لگی ایسا نہیں کہ شک ہے مجھے اس کے آنے میں لیکن یہ کیا کہ نبض یقیں بیٹھنے لگی طوفان تھم گیا تو رکی ذرے کی اڑان تھی جس جگہ کی خاک وہیں بیٹھنے لگی حالانکہ وہ کھڑا ہے اسی پر جما کے پاؤں پھر کیا کیا فلک نے زمیں بیٹھنے لگی اے بدرؔ تیرے شعر کا لہجہ ہے دل نشیں ہر بات میرے دل میں کہیں بیٹھنے لگی

Hindi

गर्द-ए-गुमाँ हवा-ए-यक़ीं बैठने लगी बैठे न आसमाँ कि ज़मीं बैठने लगी सर यूँ उठा रही है तमन्ना-ए-कू-ए-यार फिर आरज़ु-ए-ख़ुल्द-ए-बरीं बैठने लगी हम बे-मकाँ हुए कि हमारे मकान में अब बे-घरी ही बन के मकीं बैठने लगी ऐसा नहीं कि शक है मुझे उस के आने में लेकिन ये क्या कि नब्ज़-ए-यक़ीं बैठने लगी तूफ़ान थम गया तो रुकी ज़र्रे की उड़ान थी जिस जगह की ख़ाक वहीं बैठने लगी हालाँकि वो खड़ा है इसी पर जमा के पाँव फिर क्या किया फ़लक ने ज़मीं बैठने लगी ऐ 'बद्र' तेरे शे'र का लहजा है दिल-नशीं हर बात मेरे दिल में कहीं बैठने लगी

gard-e-gumāñ havā-e-yaqīñ baiThne lagī
Badr Mohammadi
Badr Mohammadi
Badr Mohammadi
poet19 quotes

More by Badr Mohammadi

View all →
Quote
"tumhaari yaad yuun ehsaas-e-tanhaai baDhaati hai ki jaise qimatein chizon ki mahngaai baDhaati hai nazar aati hai duniyaa khubsurat dekh kar tum ko tumhaari diid in aankhon ki binaai baDhaati hai kisi ki aankhon mein gharqaab ho kar ham ne ye jaanaa nadi ki qadr-o-qimat us ki gahraai baDhaati hai agar dil ho kushaada to khushi rahti hai chehre par gharon ki raunaqein jis tarah angnaai baDhaati hai mohabbat mein izaafe se miyaan hushiyaar hi rahnaa ye aisi nek-naami hai jo rusvaai baDhaati hai qayaamat hai nahin kuchh dekhtaa apne sivaa koi ye duniyaa kis liye phir bazm-aaraai baDhaati hai mulaaqaaton se koi 'badr' hai gumnaam saa lekin miri gosha-nashini hi shanaasaai baDhaati hai"
Badr MohammadiBadr Mohammadi
Quote
"chali na jaae ye jaan tan ke daaere se alag mujhe na kijiye yuun apne aasare se alag jo apni aankhon mein khvaabon ko paaltaa hi nahin haqiqaton ke jahaan mein hai vo sire se alag hamaare dil mein mohabbat muqim hai ab bhi qiyaam-e-taaj-mahal kab thaa aagre se alag miri nigaah mein sikka har ek chehra hai main kar rahaa huun abhi khoTe ko khare se alag dil-o-dimaagh ki is kashmakash se baaz aae hayaat chaahiye ham ko munaazre se alag tariqa aur bhi hai yaar se takhaatub kaa ki lafz aur koi laao ai are se alag vo ek shakhs jo har ghar ki baat kartaa hai use samajhti hai duniyaa mu'aashre se alag"
Badr MohammadiBadr Mohammadi
Quote
"us se alag ho aisi miri zaat hi nahin meraa nahin hai vo to koi baat hi nahin auron se mil ke bachtaa hai kuchh vaqt hi kahaan hoti hai khud se meri mulaaqaat hi nahin jumbish hai tan-badan mein dhaDaktaa nahin hai dil yuun ho gae mashini ki jazbaat hi nahin maa'dud-e-chand hain ye magar qad alag alag apni to ungliyon mein musaavaat hi nahin aisi jagah bhi hai ki jalaate nahin charaagh jaise vahaan pe aati kabhi raat hi nahin rahti hai pyaas kab jo nazar se nazar mile aankhon se baDh ke koi kharaabaat hi nahin ai 'badr' shaa'iraana ta'alli hai khuub shai aisaa ye daa'vaa hai ki jise maat hi nahin"
Badr MohammadiBadr Mohammadi
Quote
"duur ghar se kahin is tarh bhi jaayaa jaae der tak dhuup ki baarish mein nahaayaa jaae apni yaadon ko mire paas koi chhoD gayaa gham judaa hone kaa kis tarh bhulaayaa jaae sab paraae hue hone se paraayaa us ke sochtaa huun kise ab apnaa banaayaa jaae dil dukhaane se kisi kaa unhein milti hai khushi baat aisi hai to phir mujh ko rulaayaa jaae hone vaali hai charaaghon ki hukumat qaaem raat-bhar ke liye suraj ko chhupaayaa jaae khaamushi dekh ke phaili hui aabaadi mein ye parindon ne kahaa shor machaayaa jaae mil ke jiine ke liye log hue hain yakjaa ziist kaa bojh hai tanhaa na uThaayaa jaae"
Badr MohammadiBadr Mohammadi
Quote
"tumhaari zulf kaa ho kar asiir zinda hai kisi tarah se sahi ye faqir zinda hai makaan-e-hasti kaa fard-e-amir zinda hai main zinda huun abhi meraa zamir zinda hai hamaari khaak bas apni jagah pe Thahregi chale chalo ki abhi to khamir zinda hai vo phuul ho gayaa amn-o-amaan ki khaatir laDo na shaikh-o-barahman kabir zinda hai taDapti zindagi akhbaar ke varaq-ba-varaq bataa rahi hain ye khabrein mudir zinda hai bayaan-e-maut ne bakhshi hayaat kitnon ko 'anis' baaqi hai ab tak 'dabir' zinda hai ghazal ke jism ko marne na do to baat bane ghazal ki ruuh mein ai 'badr' 'mir' zinda hai"
Badr MohammadiBadr Mohammadi
Quote
"nazar hamaari sar-e-koh-e-tur aa jaae dayaar-e-dil mein zaraa us kaa nuur aa jaae vo itni duur hai mujh se ki sochtaa huun main badan mein kaash adaa-e-tuyur aa jaae sabab hai khuub kahin duur us ke rahne kaa nazar ko diid kaa pahle shu'ur aa jaae hujum-e-dahr mein chehra dikhaai de us kaa bayaan koi to bainassutur aa jaae har ek dil ko musalsal TaTolte rahiye na jaane kaun se dil mein futur aa jaae phir is se duur bahut duur ho rahegaa khudaa na had ke paar dil-e-naa-subur aa jaae churaae fikr na aankhein ye 'badr' us se kaho tumhaare fan kaa huaa hai zuhur aa jaae"
Badr MohammadiBadr Mohammadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil