SHAWORDS

ghar se baahar kabhi niklaa kiije — Jaleel Hashmi

HomeJaleel HashmiGhazal
"ghar se baahar kabhi niklaa kiije 'hashami' galiyon mein Tahlaa kiije husn baaton mein bhi paidaa kiije saamne aaina rakkhaa kiije kyuun kisi aur ko rusvaa kiije ab ke apnaa hi tamaashaa kiije pahle khud aap ko parkhaa kiije aur phir shikva-e-duniyaa kiije kahin suuli na samajh le koi apni baanhon ko na kholaa kiije sochiye phuul khilaa hai kyaa kyaa surat-e-sang na dekhaa kiije itni fursat bhi kise hai lekin gaahe-gaahe hamein puchhaa kiije har koi munh mein zabaan rakhtaa hai roktaa kaun hai bolaa kiije ye bhi andaaz hai ik chhupne kaa is qadar paas na aayaa kiije aane lagti hai shikaston ki sadaa aise khaamosh na baiThaa kiije rabt bhi rakhtaa hai maa'ni apne baat be-baat na Tokaa kiije 'hashami' gham ne phir angDaai li 'hashami' phir ghazal inshaa kiije"
Urdu

گھر سے باہر کبھی نکلا کیجے حشمیؔ گلیوں میں ٹہلا کیجے حسن باتوں میں بھی پیدا کیجے سامنے آئنہ رکھا کیجے کیوں کسی اور کو رسوا کیجے اب کے اپنا ہی تماشا کیجے پہلے خود آپ کو پرکھا کیجے اور پھر شکوۂ دنیا کیجے کہیں سولی نہ سمجھ لے کوئی اپنی بانہوں کو نہ کھولا کیجے سوچئے پھول کھلا ہے کیا کیا صورت سنگ نہ دیکھا کیجے اتنی فرصت بھی کسے ہے لیکن گاہے گاہے ہمیں پوچھا کیجے ہر کوئی منہ میں زباں رکھتا ہے روکتا کون ہے بولا کیجے یہ بھی انداز ہے اک چھپنے کا اس قدر پاس نہ آیا کیجے آنے لگتی ہے شکستوں کی صدا ایسے خاموش نہ بیٹھا کیجے ربط بھی رکھتا ہے معنی اپنے بات بے بات نہ ٹوکا کیجے حشمیؔ غم نے پھر انگڑائی لی حشمیؔ پھر غزل انشا کیجے

Hindi

घर से बाहर कभी निकला कीजे 'हशमी' गलियों में टहला कीजे हुस्न बातों में भी पैदा कीजे सामने आइना रक्खा कीजे क्यूँ किसी और को रुस्वा कीजे अब के अपना ही तमाशा कीजे पहले ख़ुद आप को परखा कीजे और फिर शिकवा-ए-दुनिया कीजे कहीं सूली न समझ ले कोई अपनी बाँहों को न खोला कीजे सोचिए फूल खिला है क्या क्या सूरत-ए-संग न देखा कीजे इतनी फ़ुर्सत भी किसे है लेकिन गाहे-गाहे हमें पूछा कीजे हर कोई मुँह में ज़बाँ रखता है रोकता कौन है बोला कीजे ये भी अंदाज़ है इक छुपने का इस क़दर पास न आया कीजे आने लगती है शिकस्तों की सदा ऐसे ख़ामोश न बैठा कीजे रब्त भी रखता है मा'नी अपने बात बे-बात न टोका कीजे 'हशमी' ग़म ने फिर अंगड़ाई ली 'हशमी' फिर ग़ज़ल इंशा कीजे

ghar se bāhar kabhī niklā kiije
Jaleel Hashmi
Jaleel Hashmi
Jaleel Hashmi
poet15 quotes

More by Jaleel Hashmi

View all →
Quote
"shaakhcha khaak-e-gulistaan mein paDaa hai yaaro us se ehsaan-e-bahaaraan na uThaa hai yaaro tum ne puchhaa hai na kuchh ham ne kahaa hai yaaro haadisa ham pe jo guzraa hai to kyaa hai yaaro kar gayaa khaak hamein rukhsat-e-gul kaa manzar zakhm-e-nazzaara magar ab bhi haraa hai yaaro maryam-e-shaam khule baal phir aati dekho phir masihaa koi suuli pe chaDhaa hai yaaro raat andheri sahi maayus nahin nuur se ham ashk palkon pe abhi kaanp rahaa hai yaaro ab miri shab mire ashkon se rahegi raushan shaam ke vaqt diyaa meraa bujhaa hai yaaro saamne aate ho ab ajnabiyon ki surat ye bhi shaayad koi yaari ki adaa hai yaaro paanv hain khaak pe khurshid pe saaya us kaa 'hashami' khoj mein ye kis ki chalaa hai yaaro"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi
Quote
"jo teri afshaan sanvaarein zindagi ai zindagi roz-o-shab aise guzaarein zindagi ai zindagi baDh gayaa dariyaa kaa paani kaf uDaataa mauj mauj uD gaiin kunjon ki Daarein zindagi ai zindagi har taraf chhaayaa huaa hai ik sukut-e-bekaraan phir bhi ham tujh ko pukaarein zindagi ai zindagi teri surat par gumaan-e-dasht-o-sahraa haae haae tere qadmon mein bahaarein zindagi ai zindagi sar uThaaein daar par yaadein sar-e-maqtal sadaa naqsh tere hi ubhaarein zindagi ai zindagi jin ke honTon par sadaa rahte hain tere zamzame un ke sinon mein kaTaarein zindagi ai zindagi shahr hai aakhir ye koi sard viraana nahin jiine vaale dam na maarein zindagi ai zindagi dein jo tujh ko fursat yak do nafas ki tohmatein un se bhi ham log haarein zindagi ai zindagi duur tak miltaa na ho naam-o-nishaan teraa jahaan ham vahaan daaman pasaarein zindagi ai zindagi"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi
Quote
"siikh liyaa jiinaa main ne itnaa zahr piyaa main ne shikva nahin kiyaa main ne aansu ponchh liyaa main ne un se mil kar aayaa huun khvaab nahin dekhaa main ne havaa ko aate jab dekhaa raushan kiyaa diyaa main ne pyaasaa thaa kartaa bhi kyaa likh Daalaa dariyaa main ne parcham saa lahraayaa huun khaai tez havaa main ne husn-e-chaman likhtaa kaise paDhaa na ik pattaa main ne divaaron ki basti mein darvaaza likkhaa main ne paash paash huaa phir bhi sar unchaa rakkhaa main ne kisi ko kyaa denaa 'hashmi' qarz hi kiye adaa main ne"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi
Quote
"jo shikva karte hain 'hashmi' se kam-numaai kaa unhein bhi Dar hai zamaane ki kaj-adaai kaa phire hain dhuup mein saae ko saath saath liye ki khul na jaae bharam apni be-navaai kaa magar kuchh aur hai yaari ki baat shauq se tum lagaao chehron pe ilzaam aashnaai kaa 'araq 'araq the nadaamat ki aanch se khud hi gila karein bhi to kyaa teri bevafaai kaa kuchh is adaa se sataae gae hain ham ab ke har ek saans mein andaaz hai duhaai kaa chalaa to huun tire hamraah kuchh qadam hi sahi jo de to kyuun mujhe taana shikasta-paai kaa jo apne dar pe sadaa di to kyaa milaa pyaare yahi ki naam Dubo aae ham gadaai kaa nikal paDe ho use DhunDne magar 'hashami' ye raasta hai miri jaan naa-rasaai kaa"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi
Quote
"kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi ki aashnaai bhi thi sharm-e-aashnaai bhi koi talab thi to dast-e-savaal phailaate magar mili thi kahaan surat-e-gadaai bhi kaho havaa se chale aaj raat tham tham kar ki aag hai mire daaman mein kuchh paraai bhi tire karam ke fasaane to shahr bhar se kahe tire sitam ki kahaan jaa ke dein dahaai bhi tiri sadaa pe gumaan dhaDkanon kaa hotaa thaa 'ajab thaa ab ke sukut-e-shab-e-judaai bhi tumhaari ham-safari ke bhi the bahut ehsaan hui hai vajh-e-nadaamat shikasta-paai bhi nazar bujhi to mile raushni kahaan 'hashami' jalaa ke sham' bahut aankh se lagaai bhi"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi
Quote
"khaak un galiyon ki palkon se bahut chhaani thi phir bhi surat miri is shahr mein an-jaani thi ham bhi kuchh apni vafaaon pe hue the naadim un ko bhi tark-e-taalluq pe pashemaani thi khud-farebi to alag baat hai varna ham ne apni surat kahaan aaine mein pahchaani thi zindagi sang bani thi tujhe rukhsat kar ke dil na dhaDkaa thaa to marne mein bhi aasaani thi haadisa sakht thaa jaankaah thaa ab ke yaaro varna ham ne to kabhi haar nahin maani thi rah gai raah mein yuun sharm-e-shikasta-paai kyaa Thaharte kahin vo be-sar-o-saamaani thi naa-rasaai koi kis aankh se dekhe apni ham bhi TuuTe hue par, raat bhi tufaani thi gul hui sham' to daaman bhaDak uTThaa 'hashami' jab nazar bujh gai viraani hi viraani thi"
Jaleel HashmiJaleel Hashmi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari