SHAWORDS

haal kyaa kar diyaa divaane kaa — Faisal Qadri Gunnauri

"haal kyaa kar diyaa divaane kaa shukriya mujh ko aazmaane kaa ye bahaanaa diyaa jagaane kaa us ne vaa'da kiyaa hai aane kaa mere haalaat kyaa zaraa bigDe rukh badalne lagaa zamaane kaa main hasinon ke dil mein rahtaa huun ye pata hai mire Thikaane kaa ham se milnaa nahin to ghar jaao faaeda kyaa hai dil jalaane kaa chain ki niind soegaa 'faisal' kaash takiya ho tere shaane kaa"
Urdu

حال کیا کر دیا دوانے کا شکریہ مجھ کو آزمانے کا یہ بہانا دیا جگانے کا اس نے وعدہ کیا ہے آنے کا میرے حالات کیا ذرا بگڑے رخ بدلنے لگا زمانے کا میں حسینوں کے دل میں رہتا ہوں یہ پتہ ہے مرے ٹھکانے کا ہم سے ملنا نہیں تو گھر جاؤ فائدہ کیا ہے دل جلانے کا چین کی نیند سوئے گا فیصلؔ کاش تکیہ ہو تیرے شانے کا

Hindi

हाल क्या कर दिया दिवाने का शुक्रिया मुझ को आज़माने का ये बहाना दिया जगाने का उस ने वा'दा किया है आने का मेरे हालात क्या ज़रा बिगड़े रुख़ बदलने लगा ज़माने का मैं हसीनों के दिल में रहता हूँ ये पता है मिरे ठिकाने का हम से मिलना नहीं तो घर जाओ फ़ाएदा क्या है दिल जलाने का चैन की नींद सोएगा 'फ़ैसल' काश तकिया हो तेरे शाने का

haal kyā kar diyā divāne kā
Faisal Qadri Gunnauri
Faisal Qadri Gunnauri
Faisal Qadri Gunnauri
poet81 quotes

More by Faisal Qadri Gunnauri

View all →
Quote
"kab nazaaron kaa samaan dekhaa hai tum ne bas daur-e-khizaan dekhaa hai tum ne khud ko hi nahin dekhaa abhi tum jo kahte ho jahaan dekhaa hai aag dekhi hi kahaan hai tum ne tum ne to sirf dhuaan dekhaa hai dar-haqiqat unhein dekhaa bhi nahin aur kah baiThe ki haan dekhaa hai un ki mahfil mein 'ajab dekhaa haal shaikh ko raqs-kunaan dekhaa hai tere sajdon ki taDap rab jaane ham ne maathe kaa nishaan dekhaa hai kyaa kisi aur ko dekhe 'faisal' us ne khud ko hi kahaan dekhaa hai"
Faisal Qadri GunnauriFaisal Qadri Gunnauri
Quote
"kyaa doge davaa tum ko pata kuchh bhi nahin hai bimaar-e-mohabbat ki davaa kuchh bhi nahin hai divaana-e-ulfat pe bachaa kuchh bhi nahin hai is dil mein tire gham ke sivaa kuchh bhi nahin hai izhaar ke aasaar 'ayaan ho gae rukh se main ne to abhi lab se kahaa kuchh bhi nahin hai naadaan the us shakhs se ki ham ne mohabbat jis shakhs ki nazron mein vafaa kuchh bhi nahin hai didaar ki hasrat mein guzar jaae na jaan se bimaar ko aaraam zaraa kuchh bhi nahin hai ye nazm-e-jahaan kaun chalaataa hai bataaein jo log ye kahte hain khudaa kuchh bhi nahin hai ai husn ke paikar mire mahbub ke aage ye naaz ye shokhi ye adaa kuchh bhi nahin hai mujrim hai khule-aam ye insaaf to dekho hai us ko sazaa jis ki khataa kuchh bhi nahin hai 'faisal' rah-e-ulfat mein ganvaayaa hai sabhi kuchh bas dard hi paae hain milaa kuchh bhi nahin hai"
Faisal Qadri GunnauriFaisal Qadri Gunnauri
Quote
"apne mahbub kaa in'aam nazar mein rakhnaa vaa'da-e-vasl ki vo shaam nazar mein rakhnaa tu mujhe pyaar se aavaaz lagaane ke liye khubsurat saa koi naam nazar mein rakhnaa roz 'aaed nayaa qaanun jo kar dete ho is nae kaam kaa anjaam nazar mein rakhnaa apne vaa'de ko are jaan-e-jahaan bhuul gae meraa vaa'da miraa paighaam nazar mein rakhnaa shab-e-vaa'da na agar aane ki fursat ho tumhein mere sar rakhne ko ilzaam nazar mein rakhnaa baada-kash teraa na rah jaae kahin tishna-dahan us ke hisse kaa bhi ik jaam nazar mein rakhnaa chhoD kar chal diye is shahr ko 'faisal' phir bhi ye gali kucha dar-o-baam nazar mein rakhnaa"
Faisal Qadri GunnauriFaisal Qadri Gunnauri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil