SHAWORDS

har ek sher mein dil kaa qaraar rakh denaa — Dildar Hashmi

HomeDildar HashmiGhazal
"har ek sher mein dil kaa qaraar rakh denaa ghazal mein apni sukhan kaa vaqaar rakh denaa vo jis ne pyaar se duniyaa pe fath paai thi to us ke jaisaa hi lahje mein pyaar rakh denaa bhaTak na jaae kahin kaarvaan-e-ahl-e-khirad koi charaagh sar-e-rahguzaar rakh denaa khizaan ke aane se pahle chaman ke matavaalo gulon ke rukh pe lahu ki phuvaar rakh denaa kabhi to yaad karegaa zamaana paDh ke tujhe varaq varaq pe fasaane hazaar rakh denaa koi to baat zamaane ke dil mein utregi to sab ke saamne haq ki pukaar rakh denaa yahin se qaafila guzregaa meri yaadon kaa yahin kahin pe miraa intizaar rakh denaa dayaar-e-dil se guzar jis ghaDi bhi ho 'dildaar' mile na phuul to ashkon ke haar rakh denaa"
Urdu

ہر ایک شعر میں دل کا قرار رکھ دینا غزل میں اپنی سخن کا وقار رکھ دینا وہ جس نے پیار سے دنیا پہ فتح پائی تھی تو اس کے جیسا ہی لہجے میں پیار رکھ دینا بھٹک نہ جائے کہیں کاروان اہل خرد کوئی چراغ سر رہ گزار رکھ دینا خزاں کے آنے سے پہلے چمن کے متوالو گلوں کے رخ پہ لہو کی پھوار رکھ دینا کبھی تو یاد کرے گا زمانہ پڑھ کے تجھے ورق ورق پہ فسانے ہزار رکھ دینا کوئی تو بات زمانے کے دل میں اترے گی تو سب کے سامنے حق کی پکار رکھ دینا یہیں سے قافلہ گزرے گا میری یادوں کا یہیں کہیں پہ مرا انتظار رکھ دینا دیار دل سے گزر جس گھڑی بھی ہو دلدارؔ ملے نہ پھول تو اشکوں کے ہار رکھ دینا

Hindi

हर एक शेर में दिल का क़रार रख देना ग़ज़ल में अपनी सुख़न का वक़ार रख देना वो जिस ने प्यार से दुनिया पे फ़त्ह पाई थी तो उस के जैसा ही लहजे में प्यार रख देना भटक न जाए कहीं कारवान-ए-अहल-ए-ख़िरद कोई चराग़ सर-ए-रहगुज़ार रख देना ख़िज़ाँ के आने से पहले चमन के मतवालो गुलों के रुख़ पे लहू की फुवार रख देना कभी तो याद करेगा ज़माना पढ़ के तुझे वरक़ वरक़ पे फ़साने हज़ार रख देना कोई तो बात ज़माने के दिल में उतरेगी तो सब के सामने हक़ की पुकार रख देना यहीं से क़ाफ़िला गुज़रेगा मेरी यादों का यहीं कहीं पे मिरा इंतिज़ार रख देना दयार-ए-दिल से गुज़र जिस घड़ी भी हो 'दिलदार' मिले न फूल तो अश्कों के हार रख देना

har ek sher meñ dil kā qarār rakh denā
D
Dildar Hashmi
Dildar Hashmi
poet4 quotes

More by Dildar Hashmi

View all →
Quote
"main ne jab se chaahat ke jugnuon ko paalaa hai zindagi ki vaadi mein har taraf ujaalaa hai har taraf hain khushbuein har taraf ujaalaa hai aaj mere aangan mein koi aane vaalaa hai sar-phiri havaaon se khauf khaa nahin sakte jin charaagh-zaadon ko aandhiyon ne paalaa hai unche rutbe vaalon ko dekhiye to paamaali maqbaron mein shaahon ke makDiyon kaa jaalaa hai aarti utarti hai ahl-e-zar ki phulon se muflisi ke chehre par aansuon ki maalaa hai naaz kyaa kare 'dildaar' aati jaati saanson par zindagi jab insaan ki maut kaa nivaala hai"
D
Dildar Hashmi
Quote
"ravaani gham ki jis mein thi vo jauhar de diyaa main ne ghazal pyaasi thi jazbon kaa samundar de diyaa main ne jis aabaadi mein be-suraj andheraa hi andheraa thaa use bhi chaandni-raaton kaa manzar de diyaa main ne jo muddat se gire the be-par-o-baali ki khaai mein uDaanon ke liye un ko bhi shahpar de diyaa main ne jo palkon par sajaa kar aas ke kuchh khvaab baiThe the unhein un ki tamannaaon kaa mazhar de diyaa main ne kaho 'dildaar' mujh se aur kyaa ab chaahiye tum ko tumhaare shahr ko tahzib kaa ghar de diyaa main ne"
D
Dildar Hashmi
Quote
"jab koi zakhm ubhartaa hai kinaaron jaisaa dil taDaptaa hai miraa mauj ke dhaaron jaisaa jab koi aks chamaktaa hai sitaaron jaisaa meraa qad bhi nazar aataa hai minaaron jaisaa tere hi dar pe mujhe aa ke sukun miltaa hai ik sahaaraa bhi nahin tere sahaaron jaisaa aaj bhi sab ke dilon pe hai hukumat jis ki vo chaTaai pe bhi lagtaa hai dulaaron jaisaa mere hi dam se mahaktaa hai gulistaan phir bhi sab ki aankhon mein khaTaktaa huun main khaaron jaisaa ab to sukhe hue patte hi nazar aate hain mere aangan mein bahut kuchh thaa bahaaron jaisaa aaina kaun dikhaaegaa mujhe ai 'dildaar' mere dushman kaa bhi bartaav hai yaaron jaisaa"
D
Dildar Hashmi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari