SHAWORDS

har samt samundar hai har samt ravaan paani — Anwar Sadeed

HomeAnwar SadeedGhazal
"har samt samundar hai har samt ravaan paani chhaagal hai miri khaali socho hai kahaan paani baarish na agar karti dariyaa mein ravaan paani baazaar mein bikne ko aa jaataa giraan paani khud-rau hai agar chashma aaegaa miri jaanib main bhi vahin baiThaa huun martaa hai jahaan paani kal shaam parindon ko uDte hue yuun dekhaa be-aab samundar mein jaise ho ravaan paani jis khet se dahqaan ko mil jaati thi kuchh rozi us khet pe dekhaa hai haakim hai ravaan paani chashme ki tarah phuTaa aur aap hi bah niklaa rakhtaa bhalaa main kab tak aankhon mein nihaan paani bah jaati hai saath us ke shahron ki ghalaazat bhi jaarub-kash-e-aalam lagtaa hai ravaan paani bas ek hi rele mein Duube the makaan saare 'anvar' kaa vahin ghar thaa bahtaa thaa jahaan paani"
Urdu

ہر سمت سمندر ہے ہر سمت رواں پانی چھاگل ہے مری خالی سوچو ہے کہاں پانی بارش نہ اگر کرتی دریا میں رواں پانی بازار میں بکنے کو آ جاتا گراں پانی خود رو ہے اگر چشمہ آئے گا مری جانب میں بھی وہیں بیٹھا ہوں مرتا ہے جہاں پانی کل شام پرندوں کو اڑتے ہوئے یوں دیکھا بے آب سمندر میں جیسے ہو رواں پانی جس کھیت سے دہقاں کو مل جاتی تھی کچھ روزی اس کھیت پہ دیکھا ہے حاکم ہے رواں پانی چشمے کی طرح پھوٹا اور آپ ہی بہہ نکلا رکھتا بھلا میں کب تک آنکھوں میں نہاں پانی بہہ جاتی ہے ساتھ اس کے شہروں کی غلاظت بھی جاروب کش عالم لگتا ہے رواں پانی بس ایک ہی ریلے میں ڈوبے تھے مکاں سارے انورؔ کا وہیں گھر تھا بہتا تھا جہاں پانی

Hindi

हर सम्त समुंदर है हर सम्त रवाँ पानी छागल है मिरी ख़ाली सोचो है कहाँ पानी बारिश न अगर करती दरिया में रवाँ पानी बाज़ार में बिकने को आ जाता गिराँ पानी ख़ुद-रौ है अगर चश्मा आएगा मिरी जानिब मैं भी वहीं बैठा हूँ मरता है जहाँ पानी कल शाम परिंदों को उड़ते हुए यूँ देखा बे-आब समुंदर में जैसे हो रवाँ पानी जिस खेत से दहक़ाँ को मिल जाती थी कुछ रोज़ी उस खेत पे देखा है हाकिम है रवाँ पानी चश्मे की तरह फूटा और आप ही बह निकला रखता भला मैं कब तक आँखों में निहाँ पानी बह जाती है साथ उस के शहरों की ग़लाज़त भी जारूब-कश-ए-आलम लगता है रवाँ पानी बस एक ही रेले में डूबे थे मकाँ सारे 'अनवर' का वहीं घर था बहता था जहाँ पानी

har samt samundar hai har samt ravāñ paanī
Anwar Sadeed
Anwar Sadeed
Anwar Sadeed
poet39 quotes

More by Anwar Sadeed

View all →
Quote
"zor se aandhi chali to bujh gae saare charaagh gum hue jaate hain taariki mein manzar aur main haath se bachchon ke nikle meri jholi mein gire ban gae hain dost ye bachchon ke patthar aur main par nahin lekin mayassar taaqat-e-parvaaz hai dekhiye uDte fazaaon mein kabutar aur main ab tamaaniyyat bahut mahsus hoti hai mujhe ho gayaa hai ham-sukhan niilaa samundar aur main kaise kaise khub-ru chehre the sab ke saamne mahv-e-hairat ho gayaa hai saaraa daftar aur main koi bhi pechidgi haael nahin anvar-'sadid' zindagi hai saamne manzar-ba-manzar aur main"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"tujh ko to quvvat-e-izhaar zamaane se mili mujh ko aazaada-ravi khuun jalaane se mili qarya-e-jaan ki tarah un pe udaasi thi muhit dar-o-divaar ko raunaq tire aane se mili yuun tasalli ko to ik yaad bhi kaafi thi magar dil ko taskin tire lauT ke aane se mili main khizaan-dida shajar ki tarah gumnaam saa thaa mujh ko vaqat tiri tasvir banaane se mili shaakh-e-ehsaas pe jo phuul khile hain un ko zindagi husn kaa idraak baDhaane se mili jaagti aankh se jo khvaab thaa dekhaa 'anvar' us ki taabir mujhe dil ke jalaane se mili"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"aarzu thi ye bikherein apni kirnein subh tak rote rote bujh gai hain saari shamein subh tak shab ki muTThi mein parindon ki tarah vo so gaiin ho gaiin zinda hatheli par lakirein subh tak vaqt ki guzri ibaarat ki tilaavat ke liye raat ki tanhaaiyon mein aao ghumein subh tak din kaa suraj un pe likkhegaa anokhe tabsire ham ne jo taalif kiin dil par kitaabein subh tak zindagi ke raaston mein jo kahin gum ho gae DhunDti ab un ko hain khvaabon mein aankhein subh tak aashiyaanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid' duur tak takti rahin shaakhon mein aankhein subh tak"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"saanson mein mil gai tiri saanson ki baas thi bahki hui nazar thi ki phir bhi udaas thi be-shak shikast-e-dil pe vo mabhut rah gayaa lekin shikast-e-dil mein bhi zinda ik aas thi gar tu mire havaas pe chhaayaa huaa na thaa hasti vo kaun thi jo mire dil ke paas thi baarish se aasmaan kaa chehra to dhul gayaa dharti ke honT par abhi sadiyon ki pyaas thi konpal ne aankh kholi to hairaan rah gai hadd-e-nazar talak ye zamin be-libaas thi honTon pe ik gulaab thaa taaza khilaa huaa aankhon ke aainon mein tamannaa udaas thi 'anvar'-sadid sochtaa rahtaa huun in dinon vo kaun thaa ki jis ke liye dil mein pyaas thi"
Anwar SadeedAnwar Sadeed