SHAWORDS

siyaahiyon kaa nagar raushni se aT jaae — Anwar Sadeed

HomeAnwar SadeedGhazal
"siyaahiyon kaa nagar raushni se aT jaae bahut tavil hai yaa-rab ye raat kaT jaae zamin kaa rizq huun lekin nazar falak par hai kaho falak se mire raaste se haT jaae tamaam raat sitaara yahi pukaartaa thaa havaa ke saath chalo baadbaan na phaT jaae miri ghazal kaa hai 'anvar-sadid' ye haasil mataa-e-dard mire doston mein baT jaae"
Urdu

سیاہیوں کا نگر روشنی سے اٹ جائے بہت طویل ہے یارب یہ رات کٹ جائے زمیں کا رزق ہوں لیکن نظر فلک پر ہے کہو فلک سے مرے راستے سے ہٹ جائے تمام رات ستارہ یہی پکارتا تھا ہوا کے ساتھ چلو بادباں نہ پھٹ جائے مری غزل کا ہے انورؔ سدید یہ حاصل متاع درد مرے دوستوں میں بٹ جائے

Hindi

सियाहियों का नगर रौशनी से अट जाए बहुत तवील है या-रब ये रात कट जाए ज़मीं का रिज़्क़ हूँ लेकिन नज़र फ़लक पर है कहो फ़लक से मिरे रास्ते से हट जाए तमाम रात सितारा यही पुकारता था हवा के साथ चलो बादबाँ न फट जाए मिरी ग़ज़ल का है 'अनवर-सदीद' ये हासिल मता-ए-दर्द मिरे दोस्तों में बट जाए

siyāhiyoñ kā nagar raushnī se aT jaa.e
Anwar Sadeed
Anwar Sadeed
Anwar Sadeed
poet39 quotes

More by Anwar Sadeed

View all →
Quote
"zor se aandhi chali to bujh gae saare charaagh gum hue jaate hain taariki mein manzar aur main haath se bachchon ke nikle meri jholi mein gire ban gae hain dost ye bachchon ke patthar aur main par nahin lekin mayassar taaqat-e-parvaaz hai dekhiye uDte fazaaon mein kabutar aur main ab tamaaniyyat bahut mahsus hoti hai mujhe ho gayaa hai ham-sukhan niilaa samundar aur main kaise kaise khub-ru chehre the sab ke saamne mahv-e-hairat ho gayaa hai saaraa daftar aur main koi bhi pechidgi haael nahin anvar-'sadid' zindagi hai saamne manzar-ba-manzar aur main"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"tujh ko to quvvat-e-izhaar zamaane se mili mujh ko aazaada-ravi khuun jalaane se mili qarya-e-jaan ki tarah un pe udaasi thi muhit dar-o-divaar ko raunaq tire aane se mili yuun tasalli ko to ik yaad bhi kaafi thi magar dil ko taskin tire lauT ke aane se mili main khizaan-dida shajar ki tarah gumnaam saa thaa mujh ko vaqat tiri tasvir banaane se mili shaakh-e-ehsaas pe jo phuul khile hain un ko zindagi husn kaa idraak baDhaane se mili jaagti aankh se jo khvaab thaa dekhaa 'anvar' us ki taabir mujhe dil ke jalaane se mili"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"aarzu thi ye bikherein apni kirnein subh tak rote rote bujh gai hain saari shamein subh tak shab ki muTThi mein parindon ki tarah vo so gaiin ho gaiin zinda hatheli par lakirein subh tak vaqt ki guzri ibaarat ki tilaavat ke liye raat ki tanhaaiyon mein aao ghumein subh tak din kaa suraj un pe likkhegaa anokhe tabsire ham ne jo taalif kiin dil par kitaabein subh tak zindagi ke raaston mein jo kahin gum ho gae DhunDti ab un ko hain khvaabon mein aankhein subh tak aashiyaanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid' duur tak takti rahin shaakhon mein aankhein subh tak"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"safina le gae maujon ki garm-joshi mein hazimat aai nazar jab kinaaraa-koshi mein nasha chaDhaa to zabaan par na ikhtiyaar rahaa vo munkashif hue khud apni baada-noshi mein banaa liyaa use saani phir apni fitrat kaa sukun jo milne lagaa un ko zahr-noshi mein qubul rabb-e-karim-o-rahim ne kar li miri zabaan pe jo aai duaa khamoshi mein khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein pasand ki na zamaane ne saadgi meri bharam rakkhaa hai khudaa ne safed-poshi mein zad-e-itaab mein un ke jo aa gae 'anvar' na jaane kah gae kyaa kyaa vo garm-joshi mein"
Anwar SadeedAnwar Sadeed
Quote
"saanson mein mil gai tiri saanson ki baas thi bahki hui nazar thi ki phir bhi udaas thi be-shak shikast-e-dil pe vo mabhut rah gayaa lekin shikast-e-dil mein bhi zinda ik aas thi gar tu mire havaas pe chhaayaa huaa na thaa hasti vo kaun thi jo mire dil ke paas thi baarish se aasmaan kaa chehra to dhul gayaa dharti ke honT par abhi sadiyon ki pyaas thi konpal ne aankh kholi to hairaan rah gai hadd-e-nazar talak ye zamin be-libaas thi honTon pe ik gulaab thaa taaza khilaa huaa aankhon ke aainon mein tamannaa udaas thi 'anvar'-sadid sochtaa rahtaa huun in dinon vo kaun thaa ki jis ke liye dil mein pyaas thi"
Anwar SadeedAnwar Sadeed

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui