SHAWORDS

hasratein betaab dil naashaad hai — Ghamgeen Qureshi

"hasratein betaab dil naashaad hai har tamanna maail-e-fariyaad hai zindagi sar-taa-ba-paa barbaad hai mukhtasar si ishq ki rudaad hai ku-e-jaanaan ki fazaaein kyaa kahun har taraf khuld-e-barin aabaad hai aap ke zulm-o-sitam ke saath saath aap kaa husn-e-karam bhi yaad hai hoshiyaar ai taairaan-e-gulsitaan baaghbaan ke bhes mein sayyaad hai ham-nashin har kaj-samaaat ke liye zamzama bhi surat-e-fariyaad hai mai-kada 'ghamgin' jab tak hai javaan meraa dil har fikr se aazaad hai"
Urdu

حسرتیں بیتاب دل ناشاد ہے ہر تمنا مائل فریاد ہے زندگی سر تا بہ پا برباد ہے مختصر سی عشق کی روداد ہے کوئے جاناں کی فضائیں کیا کہوں ہر طرف خلد بریں آباد ہے آپ کے ظلم و ستم کے ساتھ ساتھ آپ کا حسن‌ کرم بھی یاد ہے ہوشیار اے طائران گلستاں باغباں کے بھیس میں صیاد ہے ہم نشیں ہر کج سماعت کے لئے زمزمہ بھی صورت فریاد ہے میکدہ غمگینؔ جب تک ہے جواں میرا دل ہر فکر سے آزاد ہے

Hindi

हसरतें बेताब दिल नाशाद है हर तमन्ना माइल-ए-फ़रियाद है ज़िंदगी सर-ता-बा-पा बर्बाद है मुख़्तसर सी इश्क़ की रूदाद है कू-ए-जानाँ की फ़ज़ाएँ क्या कहूँ हर तरफ़ ख़ुल्द-ए-बरीं आबाद है आप के ज़ुल्म-ओ-सितम के साथ साथ आप का हुस्न-ए-करम भी याद है होशियार ऐ ताइरान-ए-गुलिस्ताँ बाग़बाँ के भेस में सय्याद है हम-नशीं हर कज-समाअ'त के लिए ज़मज़मा भी सूरत-ए-फ़रियाद है मै-कदा 'ग़मगीन' जब तक है जवाँ मेरा दिल हर फ़िक्र से आज़ाद है

hasrateñ betāb dil nāshād hai
G
Ghamgeen Qureshi
Ghamgeen Qureshi
poet11 quotes

More by Ghamgeen Qureshi

View all →
Quote
"duniyaa ki masarrat apnaa le zid chhoD de mahv-e-khvaab na ho main tere liye betaab sahi tu mere liye betaab na ho is pyaas ki shiddat ne mujh ko maikhaane mein azmat bakhshi hai allaah kare ye ruuh miri tishna hi rahe sairaab na ho didaar se jab mahrum rahaa tab mujh ko ye mahsus huaa phir dil se parastish kaun kare gar husn tiraa naayaab na ho hai sab se unchaa naam tiraa qismat kaa badalnaa kaam teraa tu jis pe inaayat farmaae vo zarra kyon mahtaab na ho hans kar na sahi aansu pi kar ye umr to kaT hi jaaegi par tujh ko log kaheinge kyaa 'ghamgin' agar shaadaab na ho"
G
Ghamgeen Qureshi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi