Quote
"duniyaa ki masarrat apnaa le zid chhoD de mahv-e-khvaab na ho main tere liye betaab sahi tu mere liye betaab na ho is pyaas ki shiddat ne mujh ko maikhaane mein azmat bakhshi hai allaah kare ye ruuh miri tishna hi rahe sairaab na ho didaar se jab mahrum rahaa tab mujh ko ye mahsus huaa phir dil se parastish kaun kare gar husn tiraa naayaab na ho hai sab se unchaa naam tiraa qismat kaa badalnaa kaam teraa tu jis pe inaayat farmaae vo zarra kyon mahtaab na ho hans kar na sahi aansu pi kar ye umr to kaT hi jaaegi par tujh ko log kaheinge kyaa 'ghamgin' agar shaadaab na ho"
G
Ghamgeen Qureshi