SHAWORDS

hon mubaarak tum ko shaidaai bahut — Anwar Khalil

HomeAnwar KhalilGhazal
"hon mubaarak tum ko shaidaai bahut hain hamaare bhi tamannaai bahut ham hi kuchh us ke na kaam aae kabhi zindagi to apne kaam aai bahut raat bhi the gosh-bar-aavaaz ham dil dhaDakne ki sadaa aai bahut Dubnaa chaahein to ai zaalim hamein hai tiri aankhon ki gahraai bahut ham hi kuchh socheinge ab ai chaaragar dekh li teri masihaai bahut bad-gumaan hote na the yuun tujh se ham aaj-kal rahti hai tanhaai bahut bevafaa us ko hi kyuun kahiye 'khalil' hai hamaaraa dil bhi harjaai bahut"
Urdu

ہوں مبارک تم کو شیدائی بہت ہیں ہمارے بھی تمنائی بہت ہم ہی کچھ اس کے نہ کام آئے کبھی زندگی تو اپنے کام آئی بہت رات بھی تھے گوش بر آواز ہم دل دھڑکنے کی صدا آئی بہت ڈوبنا چاہیں تو اے ظالم ہمیں ہے تری آنکھوں کی گہرائی بہت ہم ہی کچھ سوچیں گے اب اے چارہ گر دیکھ لی تیری مسیحائی بہت بد گماں ہوتے نہ تھے یوں تجھ سے ہم آج کل رہتی ہے تنہائی بہت بے وفا اس کو ہی کیوں کہیے خلیلؔ ہے ہمارا دل بھی ہرجائی بہت

Hindi

हों मुबारक तुम को शैदाई बहुत हैं हमारे भी तमन्नाई बहुत हम ही कुछ उस के न काम आए कभी ज़िंदगी तो अपने काम आई बहुत रात भी थे गोश-बर-आवाज़ हम दिल धड़कने की सदा आई बहुत डूबना चाहें तो ऐ ज़ालिम हमें है तिरी आँखों की गहराई बहुत हम ही कुछ सोचेंगे अब ऐ चारागर देख ली तेरी मसीहाई बहुत बद-गुमाँ होते न थे यूँ तुझ से हम आज-कल रहती है तन्हाई बहुत बेवफ़ा उस को ही क्यूँ कहिए 'ख़लील' है हमारा दिल भी हरजाई बहुत

hoñ mubārak tum ko shaidā.ī bahut
Anwar Khalil
Anwar Khalil
Anwar Khalil
poet9 quotes

More by Anwar Khalil

View all →
Quote
"is bhuul mein na rah ki ye jhonke havaa ke hain tevar to un ke dekh zaraa kis balaa ke hain kyaa maajraa hai ai but-e-tauba-shikan ki aaj charche tiri gali mein kisi paarsaa ke hain is chashm-e-nim-vaa ki hai masti sharaab mein saaghar mein saare rang usi ki hayaa ke hain hasti ki qaid kaaTte rahte hain raat-din kyaa jaane kitne saal hamaari sazaa ke hain ai shaikh kyaa Daraataa hai maidaan-e-hashr se ham bandagaan-e-khalq bhi bande khudaa ke hain hai khauf kuchh to mauj-e-talaatum kaa bhi magar ham log zakhm-khurda but-e-naakhudaa ke hain rahnaa paDaa hai duur karachi se varna ham is shahr-e-be-misaal ke aashiq sadaa ke hain raaij raheinge shahr-e-sukhan mein hamaare sher sikke hain ye khare ki ye qisse vafaa ke hain rakhtaa hai ik saliqa-e-izhaar mukhtalif sab mo'tarif 'khalil' ki tarz-e-adaa ke hain"
Anwar KhalilAnwar Khalil
Quote
"vo ek gham ki sahaaraa thaa zindagi ke liye bhulaa rahaa huun use bhi tiri khushi ke liye to yuun khayaal ke darvaaze ham pe band na kar hazaar shahr khule honge ajnabi ke liye jahaan mein kaun bachaa hai hamaare qatl ke baad jo teri zulf machalti hai barhami ke liye khizaan kaa daur chaman mein nayaa nahin hai magar kali kali na tarasti thi taazgi ke liye har ek samt saraabon ke qaafile hain ravaan nazar nazar mein bayaabaan hai aadmi ke liye jigar ke daagh chhupaae kabhi jo ham ne 'khalil' andhere dil mein utar aae raushni ke liye"
Anwar KhalilAnwar Khalil
Quote
"dil mein viraaniyaan sisakti hain kaisi ruhein yahaan bhaTakti hain ye taaaqub mein kaun aataa hai kis ki parchhaaiyaan lapakti hain raunaqein jangalon mein girya-kunaan shahr mein aandhiyaan bilakti hain aasmaan TuuT kar nahin girtaa bijliyaan raat-bhar kaDakti hain 'ishq aaseb ho gayaa jaise khvaahishein zahr ban ke pakti hain gum hue qaafile tamannaa ke manzilein raaston ko takti hain dil mein rukti nahin tiri yaadein nok-e-mizhgaan se aa Tapakti hain khauf aataa hai jaagne se hamein varna aankhein kahaan jhapakti hain"
Anwar KhalilAnwar Khalil

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari