"apni aankhon se faqat ashk-e-ravaan dekhaa kiye ik sulagte aashiyaan kaa ham dhuaan dekhaa kiye bijliyon ne yak-ba-yak gulshan jalaa Daalaa magar phir bhi khaamoshi se ham saaraa samaan dekhaa kiye koi hamdardi se shaayad saath le le ham ko bhi ham baDi hasrat se su-e-kaarvaan dekhaa kiye aa gayaa muusaa mire dariyaa-e-gham mein iztiraab Dubtaa maujon mein ham apnaa jahaan dekhaa kiye"
honge vo koi aur jo ghabraate hain gham se — Ashant Barabankavi
"honge vo koi aur jo ghabraate hain gham se ham khelte rahte hain inhin ranj-o-alam se kahte hain sabhi log mujhe un kaa divaana zinda hai miraa naam faqat un ke hi dam se baiThaa huun dar-e-yaar pe dil mein hai yaqin ye ik din vo navaazeinge mujhe apne karam se aansu na bahaataa miri haalat pe vo aa kar ulfat na agar kartaa main patthar ke sanam se kuchh aise main taDpaa thaa shab-e-hijr mein 'musaa' rote the mire haal pe taare bhi qasam se"
ہوں گے وہ کوئی اور جو گھبراتے ہیں غم سے ہم کھیلتے رہتے ہیں انہیں رنج و الم سے کہتے ہیں سبھی لوگ مجھے ان کا دوانہ زندہ ہے مرا نام فقط ان کے ہی دم سے بیٹھا ہوں در یار پہ دل میں ہے یقیں یہ اک دن وہ نوازیں گے مجھے اپنے کرم سے آنسو نہ بہاتا مری حالت پہ وہ آ کر الفت نہ اگر کرتا میں پتھر کے صنم سے کچھ ایسے میں تڑپا تھا شب ہجر میں موسیٰؔ روتے تھے مرے حال پہ تارے بھی قسم سے
होंगे वो कोई और जो घबराते हैं ग़म से हम खेलते रहते हैं इन्हीं रंज-ओ-अलम से कहते हैं सभी लोग मुझे उन का दिवाना ज़िंदा है मिरा नाम फ़क़त उन के ही दम से बैठा हूँ दर-ए-यार पे दिल में है यक़ीं ये इक दिन वो नवाज़ेंगे मुझे अपने करम से आँसू न बहाता मिरी हालत पे वो आ कर उल्फ़त न अगर करता मैं पत्थर के सनम से कुछ ऐसे मैं तड़पा था शब-ए-हिज्र में 'मूसा' रोते थे मिरे हाल पे तारे भी क़सम से

More by Ashant Barabankavi
View all →"rahte ho sadaa paas mire qalb-o-jigar mein chehra hai tumhaaraa hi sanam meri nazar mein hote nahin tum khvaab mein bhi mujh se judaa yaar tum saath mire chalte ho yaadon ke safar mein pyaasi hai nazar ab tire didaar ko meri baiThaa huun sanam kab se tiri raahguzar mein ab Duub ke dekheinge samundar ki tahon mein kashti ko utaaraa hai tabhi ham ne bhanvar mein 'musaa' mire mahbub ke chehre kaa hasin 'aks aataa hai nazar saare zamaane ko qamar mein"
"vaqt miltaa hi nahin hai muskuraane ke liye dard hi baaqi bachaa bas gungunaane ke liye kuchh kamaane ke liye ghaTtaa rahaa huun raat-din so nahin paayaa huun kab se chaar aane ke liye qarz ik ik saans kaa is 'umr par apni hai yaar har jatan main ne kiyaa us ko lubhaane ke liye har qadam rusvaa kiyaa hai is gharibi ne mujhe kuchh nahin hai paas 'musaa' ab dikhaane ke liye"
"jo bekason pe sitam baar-baar karte hain vaqaar-e-ins ko vo daagh-daar karte hain hayaat-e-ins ko be-shak jo zau-fishaan kar de ghamon ke lamhe vo paidaa shi'aar karte hain vo vaa'da kar ke nahin aae aaj tak lekin hamaaraa zarf ki ham intizaar karte hain miri khataaon ko is tarh darguzar kar ke haqiqatan vo mujhe sharmsaar karte hain ye baat soch ke 'musaa' kaa zehn hai bechain charaagh kaise havaa kaa shikaar karte hain"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"