SHAWORDS

huun be-qaraar magar ye bataa nahin saktaa — Haresh Vanza

HomeHaresh VanzaGhazal
"huun be-qaraar magar ye bataa nahin saktaa main baanT kar bhi alam ko ghaTaa nahin saktaa ye sirf saal nahin biitaa kaise samjhaaun main jashn chaah ke bhi ab manaa nahin saktaa use kaho ki nazar se nazar milaae nahin main ashk aur ziyaada chhupaa nahin saktaa main rahm khud pe zaraa bhi barattaa huun nahin par main aur kisi kaa kabhi dil dukhaa nahin saktaa lagi hai siine mein kuchh aag aisi ab ke 'haresh' main jaan de ke bhi is ko bujhaa nahin saktaa"
Urdu

ہوں بے قرار مگر یہ بتا نہیں سکتا میں بانٹ کر بھی الم کو گھٹا نہیں سکتا یہ صرف سال نہیں بیتا کیسے سمجھاؤں میں جشن چاہ کے بھی اب منا نہیں سکتا اسے کہو کہ نظر سے نظر ملائے نہیں میں اشک اور زیادہ چھپا نہیں سکتا میں رحم خود پہ ذرا بھی برتتا ہوں نہیں پر میں اور کسی کا کبھی دل دکھا نہیں سکتا لگی ہے سینے میں کچھ آگ ایسی اب کے ہریشؔ میں جان دے کے بھی اس کو بجھا نہیں سکتا

Hindi

हूँ बे-क़रार मगर ये बता नहीं सकता मैं बाँट कर भी अलम को घटा नहीं सकता ये सिर्फ़ साल नहीं बीता कैसे समझाऊँ मैं जश्न चाह के भी अब मना नहीं सकता उसे कहो कि नज़र से नज़र मिलाए नहीं मैं अश्क और ज़ियादा छुपा नहीं सकता मैं रहम ख़ुद पे ज़रा भी बरतता हूँ नहीं पर मैं और किसी का कभी दिल दुखा नहीं सकता लगी है सीने में कुछ आग ऐसी अब के 'हरेश' मैं जान दे के भी इस को बुझा नहीं सकता

huuñ be-qarār magar ye batā nahīñ saktā
Haresh Vanza
Haresh Vanza
Haresh Vanza
poet8 quotes

More by Haresh Vanza

View all →
Quote
"tamaasha banne se behtar yahi hai chup rahaa jaae bhale duniyaa phir andaaze lagaane par hi aa jaae jo zaahir thiin vo baatein to kitaabon mein bahut paDh liin chalo ab ke kisi ki khaamushi ko bhi paDhaa jaae talaashe jaaein sab se pahle to 'aib-o-hunar khud ke kisi ko baa'd mein achchhaa buraa insaan kahaa jaae tumhaari raae yakdam hi badalti jaaegi us par agar vo mudda'aa donon taraf se jo sunaa jaae musibat aur is afsurdagi se itnaa kyaa Darnaa kahin ye Dar tumhaari hausla-mandi na khaa jaae"
Haresh VanzaHaresh Vanza
Quote
"hamaare vaaste bas vo ghaDi bhar ko Thahar jaae hamein apnaa kahe ik baar phir chaahe mukar jaae ham aise log jin kaa saath koi bhi nahin detaa kahaan jaaein karein kyaa dard jab had se guzar jaae sanbhaale hain na jaane kab se aansu us ne aankhon mein koi pal bhar gale se bhi lagaa le to bikhar jaae kisi din zindagi ke bhi sahi maa'ni samajh loge mohabbat kaa nasha bas aap ke sar se utar jaae badaltaa jaa rahaa hai shauq vo bhi aaj-kal apne hamaare hisse ki ab ke mohabbat bhi na mar jaae"
Haresh VanzaHaresh Vanza

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb