SHAWORDS

is se pahle ki jhulas jaaun main jangal ki tarah — Danish Karanjavi

"is se pahle ki jhulas jaaun main jangal ki tarah Tuut ke mujh pe baras jaa kisi baadal ki tarah dil ki divaar ko zaalim tiri ummid-e-vasl chaak karti hi chali jaati hai pipal ki tarah ye miraa khun-e-jigar hai ise zaae' mat kar aankh par apni sajaa le ise kaajal ki tarah is se pahle ki zamin bojh samajh le ham ko ham zamin oDh ke so jaaeinge kambal ki tarah"
Urdu

اس سے پہلے کہ جھلس جاؤں میں جنگل کی طرح ٹوٹ کے مجھ پہ برس جا کسی بادل کی طرح دل کی دیوار کو ظالم تری امید وصل چاک کرتی ہی چلی جاتی ہے پیپل کی طرح یہ مرا خون جگر ہے اسے ضائع مت کر آنکھ پر اپنی سجا لے اسے کاجل کی طرح اس سے پہلے کہ زمیں بوجھ سمجھ لے ہم کو ہم زمیں اوڑھ کے سو جائیں گے کمبل کی طرح

Hindi

इस से पहले कि झुलस जाऊँ मैं जंगल की तरह टूट के मुझ पे बरस जा किसी बादल की तरह दिल की दीवार को ज़ालिम तिरी उम्मीद-ए-वस्ल चाक करती ही चली जाती है पीपल की तरह ये मिरा ख़ून-ए-जिगर है इसे ज़ाए' मत कर आँख पर अपनी सजा ले इसे काजल की तरह इस से पहले कि ज़मीं बोझ समझ ले हम को हम ज़मीं ओढ़ के सो जाएँगे कम्बल की तरह

is se pahle ki jhulas jā.ūñ maiñ jangal kī tarah
Danish Karanjavi
Danish Karanjavi
Danish Karanjavi
poet6 quotes

More by Danish Karanjavi

View all →
Quote
"lahu bahtaa hai chhaalon se kaleja suukh jaataa hai ghamon ki dhuup mein tapne se chehra suukh jaataa hai sitam dekho firaaq-e-yaar mein ro bhi nahin sakte agar rote hain to aankhon kaa jharnaa suukh jaataa hai bhalaa izhaar ham kaise karein apni tamanna kaa labon tak baat aati hai to lahja suukh jaataa hai sadaa tum husn-e-zan rakhnaa agar rishta nibhaanaa ho ghalat-fahmi ne dastak di to rishta suukh jaataa hai ziyaada paasdaari 'ishq mein achchhi nahin 'daanish' agar paani ziyaada do to paudaa suukh jaataa hai"
Danish KaranjaviDanish Karanjavi
Quote
"hamaare darmiyaan kuchh silsile jaisaa nahin lagtaa so us se guftugu karnaa bhi ab achchhaa nahin lagtaa ye mumkin hai ki haq-goi mein meraa sar utar jaae tumhaare shahr kaa munsif mujhe sachchaa nahin lagtaa bulandi peD se saae ki chaadar chhin leti hai jo saaya-daar hotaa hai bahut unchaa nahin lagtaa main qimat dekh kar ik din khilaunaa chhoD aayaa thaa magar bachchi ne maangaa hai to ab mahngaa nahin lagtaa agar mohlat mile to 'ishq kaa izhaar kar lenaa ziyaada sabr bhi karne se phal miThaa nahin lagtaa"
Danish KaranjaviDanish Karanjavi
Quote
"vo mayassar bhi nahin aur kabhi hogaa bhi nahin ham use DhunDne nikle jise dekhaa bhi nahin ab ke tajdid-e-mulaaqaat ke armaan bhi nahin dil mein ab vo bhi nahin us ki tamanna bhi nahin us ki aankhon pe ham ilzaam-e-vafaa kyaa rakhte us ne to aankh uThaa kar hamein dekhaa bhi nahin tishnagi had se sivaa hai miri par kyaa kijiye har taraf dasht paDaa hai koi dariyaa bhi nahin lag rahaa thaa ki bichhaDne pe naa mar jaae magar vo bhi zinda hain buraa haal hamaaraa bhi nahin"
Danish KaranjaviDanish Karanjavi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil