SHAWORDS

is tarah dil mein tiri yaad ke paikar aae — Ameer Ahmad Khusro

"is tarah dil mein tiri yaad ke paikar aae jaise ujDi hui basti mein payambar aae zaat ke gham the ki haalaat ke jalte saae baDhte baDhte jo mire qad ke baraabar aae oDh li main ne tiri yaad ki chaadar ai dost jab bhi sar par mire haalaat ke patthar aae kabhi aisaa bhi ho dil mein ye khayaal aataa hai zakhm auron ke lage aankh miri bhar aae jin ko ikhlaas kaa daavaa thaa vahi dost mire aastinon mein chhupaae hue khanjar aae apni aankhon mein savaalaat ki bauchhaar liye kitne chehre mire maazi se nikal kar aae kyaa bataaun ki dar-e-zehn se shahr-e-dil tak kitne biite hue lamhaat ke lashkar aae muskuraaun main haalaat kaa mujrim kahlaaun rouun to shikvon kaa ilzaam mire sar aae haq ki raahon mein qadam jab bhi baDhe hain 'khusrav' raah dikhlaane mujhe raah ke patthar aae"
Urdu

اس طرح دل میں تری یاد کے پیکر آئے جیسے اجڑی ہوئی بستی میں پیمبر آئے ذات کے غم تھے کہ حالات کے جلتے سائے بڑھتے بڑھتے جو مرے قد کے برابر آئے اوڑھ لی میں نے تری یاد کی چادر اے دوست جب بھی سر پر مرے حالات کے پتھر آئے کبھی ایسا بھی ہو دل میں یہ خیال آتا ہے زخم اوروں کے لگے آنکھ مری بھر آئے جن کو اخلاص کا دعویٰ تھا وہی دوست مرے آستینوں میں چھپائے ہوئے خنجر آئے اپنی آنکھوں میں سوالات کی بوچھار لئے کتنے چہرے مرے ماضی سے نکل کر آئے کیا بتاؤں کہ در ذہن سے شہر دل تک کتنے بیتے ہوئے لمحات کے لشکر آئے مسکراؤں میں حالات کا مجرم کہلاؤں روؤں تو شکوؤں کا الزام مرے سر آئے حق کی راہوں میں قدم جب بھی بڑھے ہیں خسروؔ راہ دکھلانے مجھے راہ کے پتھر آئے

Hindi

इस तरह दिल में तिरी याद के पैकर आए जैसे उजड़ी हुई बस्ती में पयम्बर आए ज़ात के ग़म थे कि हालात के जलते साए बढ़ते बढ़ते जो मिरे क़द के बराबर आए ओढ़ ली मैं ने तिरी याद की चादर ऐ दोस्त जब भी सर पर मिरे हालात के पत्थर आए कभी ऐसा भी हो दिल में ये ख़याल आता है ज़ख़्म औरों के लगे आँख मिरी भर आए जिन को इख़्लास का दा'वा था वही दोस्त मिरे आस्तीनों में छुपाए हुए ख़ंजर आए अपनी आँखों में सवालात की बौछार लिए कितने चेहरे मिरे माज़ी से निकल कर आए क्या बताऊँ कि दर-ए-ज़ेहन से शहर-ए-दिल तक कितने बीते हुए लम्हात के लश्कर आए मुस्कुराऊँ मैं हालात का मुजरिम कहलाऊँ रोऊँ तो शिकवों का इल्ज़ाम मिरे सर आए हक़ की राहों में क़दम जब भी बढ़े हैं 'ख़ुसरव' राह दिखलाने मुझे राह के पत्थर आए

is tarah dil meñ tirī yaad ke paikar aa.e
A
Ameer Ahmad Khusro
Ameer Ahmad Khusro
poet12 quotes

More by Ameer Ahmad Khusro

View all →
Quote
"dil ko har haal mein masruf-e-duaa rakkhaa hai main ne ye jurm bhi apne pe ravaa rakkhaa hai meri har saans rasulon ki zabaan hai jaise main ne har saans mein ik harf-e-vafaa rakkhaa hai aap to garmi-e-haalaat se ghabraate hain ham ne suraj ko bhi siine mein chhupaa rakkhaa hai aagahi garm-e-safar hai nai manzil ki taraf chaand kaa zikr hi kyaa chaand mein kyaa rakkhaa hai ham ki haalaat ki tasvir bataane vaale ham ko haalaat ne tasvir banaa rakkhaa hai zindagi se kaho ab koi taqaaza na kare main ne har gham ko kaleje se lagaa rakkhaa hai jis jagah qaafila-e-dard rukaa thaa 'khusrav' dard-mandon ne vahin shahr basaa rakkhaa hai"
A
Ameer Ahmad Khusro
Quote
"chaar-su shahr mein maqtal kaa samaan hai ab ke apne saae pe bhi qaatil kaa gumaan hai ab ke jo kabhi shahr mein khurshid-ba-kaf bhartaa thaa koi batlaae ki vo shakhs kahaan hai ab ke kahkashaan lafzon ki honTon pe bikharne diije duur tak zehn ki galiyon mein dhuaan hai ab ke log aankhon mein nae khvaab liye phirte hain kuchh na hone pe bhi hone kaa gumaan hai ab ke mere maazi ne mujhe yaad kiyaa hai shaayad ik khalish hai ki qarib-e-rag-e-jaan hai ab ke vaqt kyaa vaqt se ummid-e-karam kyaa 'khusrav' vaqt haalaat kaa khud marsiyaan-khvaan hai ab ke"
A
Ameer Ahmad Khusro
Quote
"raushni le ke kahin chaand kahin taaron se ham bhi guzre the kabhi vaqt ke baazaaron se zindagi tujh se tire gham se to inkaar nahin haan magar lazzat-e-gham chhin gai gham-khvaaron se azmat-e-rafta ki miTti hui tasvir hain ham ham ko laTkaaiyē girti hui divaaron se is se pahle ki chhiDe zikr-e-vafaa pyaar ki baat mashvara kar lo zaraa vaqt ki sarkaaron se chaand jis vaqt utar aataa hai paimaanon mein mai-kade baat kiyaa karte hain mai-khvaaron se ham ko be-daam bhi bik jaane kaa fan aataa hai baat kahne ki nahin hai ye kharidaaron se vahi tanhaai ki baatein hain vahi zaat ke gham mujh ko shikva hai mire duur ke fankaaron se abr-e-rahmat ko liye apni nazar mein 'khusrav' ham bhi to dasht se guzre kabhi kohsaaron se"
A
Ameer Ahmad Khusro
Quote
"kaun kahtaa hai sar-e-arsh-e-barin rahtaa hai vo to ik dard hai jo dil ke qarin rahtaa hai chaand par apne qadam aap ne kyuun rok liye ek gaam aur ki suraj bhi yahin rahtaa hai shama ki tarah pighaltaa huun main lamha lamha mere ehsaas mein ik shoala-jabin rahtaa hai dil ke darvaaze pe ab kis ko sadaa dete ho muddatein guzrin yahaan koi nahin rahtaa hai vo jo suraj ko hatheli pe liye phirtaa thaa unhin taarik si galiyon mein kahin rahtaa hai jin fazaaon mein tamannaaon kaa dam ghaTtaa hai haan mire daur kaa fankaar vahin rahtaa hai jaane ye shauq ki hai kaun si manzil 'khusrav' main kahin rahtaa huun dil meraa kahin rahtaa hai"
A
Ameer Ahmad Khusro

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba