"kitni mushkil se bahlaa thaa ye kyaa kar gai shaam hanste gaate dil ko pal mein tanhaa kar gai shaam duur ufuq par kis ki aankhein ro ro ho gaiin laal ret kinaare kis kaa aanchal giilaa kar gai shaam aataa, chaahe koi na aataa aas to thi din bhar ab kyaa rasta dekhein rasta dhundlaa kar gai shaam mere bichhDe dost se kitni milti-julti hai aai aur aa kar aankhon ko dariyaa kar gai shaam duur pahaaDi ki choTi par roti rah gai dhuup raat andhere se duniyaa kaa saudaa kar gai shaam panchhi lauTe maahi lauTe to bhi lauT 'hasan' dharti ambar kaa manzar suunaa kar gai shaam"
jaate jaate vo ye sazaa degaa — Hasan Kamal
"jaate jaate vo ye sazaa degaa mujh ko jiine ki vo duaa degaa main khilaunaa huun us ke haathon mein ji bahal jaaegaa bhulaa degaa vaqt ki muTThiyon mein kuchh bhi nahin vaqt degaa to ham ko kyaa degaa vo to aandhi kaa ek jhonkaa hai aaegaa aur diye bujhaa degaa kal sunegaa jo meraa naam kahin pher kar munh vo muskuraa degaa paaniyon par likhi kahaani huun koi tufaan mujhe miTaa degaa khud hi likkhegaa meraa ret pe naam khud hi qadmon se phir miTaa degaa mujh ko anjaan ban ke dekhegaa aur mujhe ajnabi banaa degaa sukhe patte ki tarah tum ko 'hasan' vaqt khud shaakh se giraa degaa"
جاتے جاتے وہ یہ سزا دے گا مجھ کو جینے کی وہ دعا دے گا میں کھلونا ہوں اس کے ہاتھوں میں جی بہل جائے گا بھلا دے گا وقت کی مٹھیوں میں کچھ بھی نہیں وقت دے گا تو ہم کو کیا دے گا وہ تو آندھی کا ایک جھونکا ہے آئے گا اور دیے بجھا دے گا کل سنے گا جو میرا نام کہیں پھیر کر منہ وہ مسکرا دے گا پانیوں پر لکھی کہانی ہوں کوئی طوفاں مجھے مٹا دے گا خود ہی لکھے گا میرا ریت پہ نام خود ہی قدموں سے پھر مٹا دے گا مجھ کو انجان بن کے دیکھے گا اور مجھے اجنبی بنا دے گا سوکھے پتے کی طرح تم کو حسنؔ وقت خود شاخ سے گرا دے گا
जाते जाते वो ये सज़ा देगा मुझ को जीने की वो दुआ देगा मैं खिलौना हूँ उस के हाथों में जी बहल जाएगा भुला देगा वक़्त की मुट्ठियों में कुछ भी नहीं वक़्त देगा तो हम को क्या देगा वो तो आँधी का एक झोंका है आएगा और दिए बुझा देगा कल सुनेगा जो मेरा नाम कहीं फेर कर मुँह वो मुस्कुरा देगा पानियों पर लिखी कहानी हूँ कोई तूफ़ाँ मुझे मिटा देगा ख़ुद ही लिक्खेगा मेरा रेत पे नाम ख़ुद ही क़दमों से फिर मिटा देगा मुझ को अंजान बन के देखेगा और मुझे अजनबी बना देगा सूखे पत्ते की तरह तुम को 'हसन' वक़्त ख़ुद शाख़ से गिरा देगा

More by Hasan Kamal
View all →"dar-ba-dar kucha-ba-kucha der tak bhaTkegi raat phir thakan se chuur ho kar mere ghar Thahregi raat pahle pi kar khuub hangaame karegi bazm mein dil ki tanhaai se aakhir dosti kar legi raat ujDi aankhon mein basaa kar jhuTe khvaabon ki khalish jhukti palkon ko miri phir pyaar se chumegi raat bevafaa mahbub ki maanind rukhsat din huaa ek ik pal kaa hisaab ab dekhnaa maangegi raat kaise tai honge bhalaa ye roz-o-shab ke faasle ham to so jaaeinge thak kar jaag kar sochegi raat aaiye ab lauT chaliye ghar ki jaanib ai 'hasan' aap ko ghar mein na paa kar raat bhar jaagegi raat"
"aise zaalim se shanaasaai hui umr bhar ki qaid-e-tanhaai hui sil gae lab aur zabaan jab kaT gai tab tiri mahfil mein shunvaai hui khvaab hasrat raushni khushbu nasha sab tiri shaklein hain man bhaai hui dekh kar tujh ko sharaabi ho gayaa toD di main ne qasam khaai hui ham tiri mahfil se pyaase uTh gae is mein teri bhi to rusvaai hui"
"zindagi paai hai ik chashm-e-sitam-gar ki tarah ham pareshaan hain gharibon ke muqaddar ki tarah apnaa tan karb-o-balaa ban ke jalaa hai barson ham bhi pyaase hain bahut aal-e-payambar ki tarah ab koi raam nahin gham kaa dhanush jo toDe zindagi roti hai siitaa ke svayamvar ki tarah ham ne chaahaa thaa ki ham apni tarah se ji lein ham pe ilzaam barasne lage patthar ki tarah roz ji uThte hain suraj ki kiran ke hamraah aur mar jaate hain har shaam samundar ki tarah jaate raston mein kahaan us ko ganvaa aae 'hasan' ek naqsha saa nigaahon mein jo thaa ghar ki tarah"
"puchhte hain sab ham se dil luTaa ke kyaa paayaa gham saa gauhar-e-yaktaa tum saa dilrubaa paayaa vahshat aur sunaa-pan apni zaat-e-tanhaai aaj mai-kade ko bhi khaana-e-khudaa paayaa tum ko kho ke ham ne to gham ki daulatein paa liin ham ko kho ke par tum ne ye bataao kyaa paayaa saikDon ki jaan chhuTi teri tegh to TuuTi ham ko sar kaa gham hi kyaa ham ne khun-bahaa paayaa ai 'hasan-kamaal’ aakhir ye bhi kyaa bhalaa kam hai be-hisi ki duniyaa mein dil dukhaa huaa paayaa"
"jhulse badan na sulgein aankhein aise hain din-raat mire kaash kabhi tum aa jaao badle hain haalaat mire main kyaa jaanun kis manzil ki kin raahon ki khoj mein huun meraa Thor Thikaanaa gham hai koi na aae saath mire tum rasvanti narm lajili taaza konpal sabz kali main patjhaD kaa maaraa pipal suukh chale hain paat mire tum kyaa jaano meraa jiinaa jite-ji mar jaanaa hai paap se dil ko laakh bachaa luun phans jaate hain haath mire"
More on Khudi
View all →"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"