"khayaalon mein tiraa chehra nahin thaa tujhe chaahun main ye achchhaa nahin thaa nigaahein aasmaan ki mujh pe kyon hain miraa qad to yahaan unchaa nahin thaa gavaahi de ke main mujrim banaa huun mire lab kaa safar jhuTaa nahin thaa kahaan ye martaba hai sab ko haasil miraa jo ijz thaa sajda nahin thaa nai khushbu nai aab-o-havaa hai main apni qabr mein tanhaa nahin thaa hamaaraa naam kyaa hai kaun hain ham tumhaare shahr se naata nahin thaa"
jalaa ke apne badan ko dhuaan huaa thaa main — Aleem Saba Navedi
"jalaa ke apne badan ko dhuaan huaa thaa main bikhar bikhar ke zamaan-o-makaan huaa thaa main tumhaare shahr ke suraj se kaun Dartaa hai ghamon ki dhuup mein jal kar javaan huaa thaa main samundaron ne mujhe kitne bhed samjhaae zamin pe phail ke jab be-karaan huaa thaa main varaq varaq ne mire haath mein qalam saunpaa ghazal ke shahr mein jab be-zabaan huaa thaa main hisaar-e-dard se niklaa to yuun huaa taqsim kahin zamin kahin aasmaan huaa thaa main nai sadi ke ujaale sameT kar ai 'sabaa' nae ufuq ki taraf hi ravaan huaa thaa main"
جلا کے اپنے بدن کو دھواں ہوا تھا میں بکھر بکھر کے زمان و مکاں ہوا تھا میں تمہارے شہر کے سورج سے کون ڈرتا ہے غموں کی دھوپ میں جل کر جواں ہوا تھا میں سمندروں نے مجھے کتنے بھید سمجھائے زمیں پہ پھیل کے جب بے کراں ہوا تھا میں ورق ورق نے مرے ہاتھ میں قلم سونپا غزل کے شہر میں جب بے زباں ہوا تھا میں حصار درد سے نکلا تو یوں ہوا تقسیم کہیں زمین کہیں آسماں ہوا تھا میں نئی صدی کے اجالے سمیٹ کر اے صباؔ نئے افق کی طرف ہی رواں ہوا تھا میں
जला के अपने बदन को धुआँ हुआ था मैं बिखर बिखर के ज़मान-ओ-मकाँ हुआ था मैं तुम्हारे शहर के सूरज से कौन डरता है ग़मों की धूप में जल कर जवाँ हुआ था मैं समुंदरों ने मुझे कितने भेद समझाए ज़मीं पे फैल के जब बे-कराँ हुआ था मैं वरक़ वरक़ ने मिरे हाथ में क़लम सौंपा ग़ज़ल के शहर में जब बे-ज़बाँ हुआ था मैं हिसार-ए-दर्द से निकला तो यूँ हुआ तक़्सीम कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ हुआ था मैं नई सदी के उजाले समेट कर ऐ 'सबा' नए उफ़ुक़ की तरफ़ ही रवाँ हुआ था मैं

More by Aleem Saba Navedi
View all →"zakhm rakh denaa daagh rakh denaa siina siina charaagh rakh denaa sapnaa sapnaa mahak mahak jaaun meri nindon mein baagh rakh denaa jism ke sur tamaam chheDungaa ungliyon mein dimaagh rakh denaa chaah ki be-qaraar nabzon par baDh ke dast-e-suraagh rakh denaa tapte honTon se main bhi chhu lungaa muskuraate ayaagh rakh denaa sard lamhon ki taaq par apnaa shoala-saamaan dimaagh rakh denaa"
"hasratein jalne ki khugar ho gaiin daagh ki samtein munavvar ho gaiin yuun huaa hai tere vaadon kaa zavaal qurbatein majruh jauhar ho gaiin sabz tufaani havaaon kaa julus Tahniyaan be-kaif manzar ho gaiin qatra qatra aasmaani ho gayaa saari nadiyaan jab samundar ho gaiin sirf le de ke jo apne paas thiin vo nigaahein un ki naukar ho gaiin haath mein aaina le kar aaj-kal juratein sab ki sikandar ho gaiin nek-naami aur an-miT shohratein ab 'navedi' kaa muqaddar ho gaiin"
"qatl meraa huaa makaan se duur mehrbaanon mein mehrbaan se duur meraa apnaa safar hai laa-mahdud meri apni pahunch gumaan se duur mere apne vajud kaa sahraa aag hi aag hai dhuaan se duur chikhte zakhm noch kar mujh ko le chalo aur kuchh yahaan se duur band kamron mein hai latif maza lazzaton ki khuli dukaan se duur khushk mausam 'sabaa' ko raas aae sabz patton ke aashiyaan se duur"
"apni hatheliyon mein ujaale sameT lo main shab-gazida huun mujhe tum duur pheink do nazron ki rakh ke ungliyaan meri shabon pe tum mere akele-pan kaa zaraa zahr chuus lo sadiyon ko de ke aaya huun kitne nae khayaal meraa bhi naam safha-e-taarikh par likho jitni tavil umr andheron ne paai hai utni tavil hai miri tanhaai naap lo miltaa nahin hai sab ko ye sarmaaya vaqt kaa sochon kaa karb paas sanbhaale hue rakho kitnaa aziim shakhs hai is daur kaa 'sabaa' is ke basit zehn ki taarikh ko paDho"
"jab nazar uTThi thi apne ghar taraf saari khushiyaan ho gai thiin bartaraf roz-o-shab ubhri hain sach ki manzilein apne andar ke hasin manzar taraf phir kunvaari rut ke haathon thaa khumaar phir mahakti Tahniyaan thiin har taraf meri apni zaat ki hai ye shanaakht hain nigaahein masnad-e-anvar taraf aasmaan se jaa mili divaangi ek patthar aur mere sar taraf jaagte rahne ke fan mein taaq huun kyon thakan le jaaegi bistar taraf"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"