SHAWORDS

qatl meraa huaa makaan se duur — Aleem Saba Navedi

"qatl meraa huaa makaan se duur mehrbaanon mein mehrbaan se duur meraa apnaa safar hai laa-mahdud meri apni pahunch gumaan se duur mere apne vajud kaa sahraa aag hi aag hai dhuaan se duur chikhte zakhm noch kar mujh ko le chalo aur kuchh yahaan se duur band kamron mein hai latif maza lazzaton ki khuli dukaan se duur khushk mausam 'sabaa' ko raas aae sabz patton ke aashiyaan se duur"
Urdu

قتل میرا ہوا مکاں سے دور مہربانوں میں مہرباں سے دور میرا اپنا سفر ہے لا محدود میری اپنی پہنچ گماں سے دور میرے اپنے وجود کا صحرا آگ ہی آگ ہے دھواں سے دور چیختے زخم نوچ کر مجھ کو لے چلو اور کچھ یہاں سے دور بند کمروں میں ہے لطیف مزہ لذتوں کی کھلی دکاں سے دور خشک موسم صباؔ کو راس آئے سبز پتوں کے آشیاں سے دور

Hindi

क़त्ल मेरा हुआ मकाँ से दूर मेहरबानों में मेहरबाँ से दूर मेरा अपना सफ़र है ला-महदूद मेरी अपनी पहुँच गुमाँ से दूर मेरे अपने वजूद का सहरा आग ही आग है धुआँ से दूर चीख़ते ज़ख़्म नोच कर मुझ को ले चलो और कुछ यहाँ से दूर बंद कमरों में है लतीफ़ मज़ा लज़्ज़तों की खुली दुकाँ से दूर ख़ुश्क मौसम 'सबा' को रास आए सब्ज़ पत्तों के आशियाँ से दूर

qatl merā huā makāñ se duur
Aleem Saba Navedi
Aleem Saba Navedi
Aleem Saba Navedi
poet28 quotes

More by Aleem Saba Navedi

View all →
Quote
"hasratein jalne ki khugar ho gaiin daagh ki samtein munavvar ho gaiin yuun huaa hai tere vaadon kaa zavaal qurbatein majruh jauhar ho gaiin sabz tufaani havaaon kaa julus Tahniyaan be-kaif manzar ho gaiin qatra qatra aasmaani ho gayaa saari nadiyaan jab samundar ho gaiin sirf le de ke jo apne paas thiin vo nigaahein un ki naukar ho gaiin haath mein aaina le kar aaj-kal juratein sab ki sikandar ho gaiin nek-naami aur an-miT shohratein ab 'navedi' kaa muqaddar ho gaiin"
Aleem Saba NavediAleem Saba Navedi
Quote
"apni hatheliyon mein ujaale sameT lo main shab-gazida huun mujhe tum duur pheink do nazron ki rakh ke ungliyaan meri shabon pe tum mere akele-pan kaa zaraa zahr chuus lo sadiyon ko de ke aaya huun kitne nae khayaal meraa bhi naam safha-e-taarikh par likho jitni tavil umr andheron ne paai hai utni tavil hai miri tanhaai naap lo miltaa nahin hai sab ko ye sarmaaya vaqt kaa sochon kaa karb paas sanbhaale hue rakho kitnaa aziim shakhs hai is daur kaa 'sabaa' is ke basit zehn ki taarikh ko paDho"
Aleem Saba NavediAleem Saba Navedi
Quote
"naazil huaa thaa shahr mein kaalaa azaab ek ghaarat-gar-e-nasib thaa khaana-kharaab ek saansein sisakti rah gaiin divaar-o-dar ke biich barpaa huaa thaa chhat pe nayaa inqalaab ek meraa safar thaa jism ke baahar falak ki samt utraa thaa meri qabr pe jab aaftaab ek mere liye bahut thi khizaan-dida raushni us ki pasand laakh miraa intikhaab ek arz-o-samaa se koi taalluq na raabta raas aa gayaa hai mujh ko safar laa-javaab ek shahr-e-ghazal mein jauhar-e-naayaab fan 'alim' hain sainkaDon janaab mein aali-janaab ek"
Aleem Saba NavediAleem Saba Navedi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar