"ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jaate to achchhaa thaa ye phailaae hue manzar simaT jaate to achchhaa thaa ye dil taarik hujra hai ise raushan karo aa kar ye din taarikiyon vaale jo kaT jaate to achchhaa thaa maqaam-e-dil kahin aabaadiyon se duur hai shaayad magar ye faasle dil ke simaT jaate to achchhaa thaa ye daur-e-habs TuuTe to ham apnaa baadbaan kholein magar baad-e-mukhaalif mein jo DaT jaate to achchhaa thaa kahin gard-e-malaamat se kahin gard-e-nadaamat se ye chehre gard-e-gardun se jo aT jaate to achchhaa thaa"
jis shajar par samar nahin hotaa — Karamat Bukhari
"jis shajar par samar nahin hotaa us ko patthar kaa Dar nahin hotaa aankh mein bhi chamak nahin hoti jab vo pesh-e-nazar nahin hotaa mai-kade mein ye ek khubi hai naasehaa teraa Dar nahin hotaa ab to baazaar bhi hain be-raunaq koi yusuf idhar nahin hotaa jo sadaf saahilon pe rah jaae us mein koi guhar nahin hotaa aah to ab bhi dil se uThti hai lekin us mein asar nahin hotaa gham ke maaron kaa jo bhi maskan ho ghar to hotaa hai par nahin hotaa ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain us mein shaitaan kaa shar nahin hotaa"
جس شجر پر ثمر نہیں ہوتا اس کو پتھر کا ڈر نہیں ہوتا آنکھ میں بھی چمک نہیں ہوتی جب وہ پیش نظر نہیں ہوتا مے کدے میں یہ ایک خوبی ہے ناصحا تیرا ڈر نہیں ہوتا اب تو بازار بھی ہیں بے رونق کوئی یوسف ادھر نہیں ہوتا جو صدف ساحلوں پہ رہ جائے اس میں کوئی گہر نہیں ہوتا آہ تو اب بھی دل سے اٹھتی ہے لیکن اس میں اثر نہیں ہوتا غم کے ماروں کا جو بھی مسکن ہو گھر تو ہوتا ہے پر نہیں ہوتا اہل دل جو بھی کام کرتے ہیں اس میں شیطاں کا شر نہیں ہوتا
जिस शजर पर समर नहीं होता उस को पत्थर का डर नहीं होता आँख में भी चमक नहीं होती जब वो पेश-ए-नज़र नहीं होता मय-कदे में ये एक ख़ूबी है नासेहा तेरा डर नहीं होता अब तो बाज़ार भी हैं बे-रौनक़ कोई यूसुफ़ इधर नहीं होता जो सदफ़ साहिलों पे रह जाए उस में कोई गुहर नहीं होता आह तो अब भी दिल से उठती है लेकिन उस में असर नहीं होता ग़म के मारों का जो भी मस्कन हो घर तो होता है पर नहीं होता अहल-ए-दिल जो भी काम करते हैं उस में शैताँ का शर नहीं होता

More by Karamat Bukhari
View all →"be-maqsad jab shor machaayaa jaataa hai aksar is mein zulm chhupaayaa jaataa hai patte khud hi Tahni chhoD ke girte hain mausam par ilzaam lagaayaa jaataa hai sadiyon pyaasi is dharti ke siine par qatra qatra meinh barsaayaa jaataa hai lafzon ke ambaar lagaa kar kaaghaz par maani ko is mein dafnaayaa jaataa hai is duniyaa mein jurm chhupaane ki khaatir jurm vahi aksar dohraayaa jaataa hai baDhne phalne phulne vaale sapnon ko bachpan mein hi qatl karaayaa jaataa hai muflis ko insaaf dilaane vaalon kaa daulat se darbaar sajaayaa jaataa hai"
"milne ki jab baat hui thi tanhaai bhi paas khaDi thi aankhon mein tufaan aayaa thaa dil ki basti Duub gai thi main ki tere dhyaan mein gum thaa duniyaa mujh ko DhunDh rahi thi ham donon khaamosh khaDe the saavan ki pur-zor jhaDi thi koson duur mujhe jaanaa thaa paanv mein zanjir paDi thi tum se judaai kaa kyaa ronaa ye to qismat mein likkhi thi khvaabon ke ik shahzaade se niind ki devi ruuTh gai thi saari umr sulagte guzri main thaa yaa giili lakDi thi"
"aaj khalvat mein khudaa yaad aayaa phir mujhe harf-e-duaa yaad aayaa yaad na aane kaa vaada kar ke vo to pahle se sivaa yaad aayaa jab kahin phuul mahakte dekhe phir tiraa band-e-qabaa yaad aayaa jab ghaTaaein kabhi ghir kar aaiin kyaa bataaein hamein kyaa yaad aayaa yaad aai tire chehre ki chamak zulmat-e-shab mein diyaa yaad aayaa pyaas mein jab hui paani ki talab vaaqia-e-karb-o-balaa yaad aayaa"
"lab pe kisi ujDi hui jaagir kaa maatam har lafz miraa halqa-e-zanjir kaa maatam dil mein kahin bujhte hue armaanon kaa nauha aankhon mein kisi yaad ki tasvir kaa maatam har soch mein sangin fazaaon kaa fasaana har fikr mein shaamil huaa tahrir kaa maatam jab se huaa maalum ki ye chaand hai patthar kartaa huun main ab chaand ki taskhir kaa maatam har harf miraa karb-e-musalsal ki ghuTan mein kartaa hai mire khaana-e-dil-gir kaa maatam"
"duniyaa ki is bhiiD mein kho gae jaane kitne log in aankhon se ojhal ho gae jaane kitne log sadme sahte sahte saari umrein biit gaiin aur zamin ko oDh ke so gae jaane kitne log kuchh logon ke ghar mein utri khushiyon ki baaraat aur ghamon ke bojh ko Dho gae jaane kitne log vaqt ke is bahte dariyaa mein khaamoshi ke saath apni naav aap Dubo gae jaane kitne log ek nazar mein us ne har ik dil ko jiit liyaa ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log ashkon ki barsaat mein bah gai mahjuri ki raakh apne dil ke daagh ko dho gae jaane kitne log"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"