SHAWORDS

aaj khalvat mein khudaa yaad aayaa — Karamat Bukhari

"aaj khalvat mein khudaa yaad aayaa phir mujhe harf-e-duaa yaad aayaa yaad na aane kaa vaada kar ke vo to pahle se sivaa yaad aayaa jab kahin phuul mahakte dekhe phir tiraa band-e-qabaa yaad aayaa jab ghaTaaein kabhi ghir kar aaiin kyaa bataaein hamein kyaa yaad aayaa yaad aai tire chehre ki chamak zulmat-e-shab mein diyaa yaad aayaa pyaas mein jab hui paani ki talab vaaqia-e-karb-o-balaa yaad aayaa"
Urdu

آج خلوت میں خدا یاد آیا پھر مجھے حرف دعا یاد آیا یاد نہ آنے کا وعدہ کر کے وہ تو پہلے سے سوا یاد آیا جب کہیں پھول مہکتے دیکھے پھر ترا بند قبا یاد آیا جب گھٹائیں کبھی گھر کر آئیں کیا بتائیں ہمیں کیا یاد آیا یاد آئی ترے چہرے کی چمک ظلمت شب میں دیا یاد آیا پیاس میں جب ہوئی پانی کی طلب واقعۂ کرب و بلا یاد آیا

Hindi

आज ख़ल्वत में ख़ुदा याद आया फिर मुझे हर्फ़-ए-दुआ याद आया याद न आने का व'अदा कर के वो तो पहले से सिवा याद आया जब कहीं फूल महकते देखे फिर तिरा बंद-ए-क़बा याद आया जब घटाएँ कभी घिर कर आईं क्या बताएँ हमें क्या याद आया याद आई तिरे चेहरे की चमक ज़ुल्मत-ए-शब में दिया याद आया प्यास में जब हुई पानी की तलब वाक़िआ-ए-कर्ब-ओ-बला याद आया

aaj ḳhalvat meñ ḳhudā yaad aayā
Karamat Bukhari
Karamat Bukhari
Karamat Bukhari
poet20 quotes

More by Karamat Bukhari

View all →
Quote
"ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jaate to achchhaa thaa ye phailaae hue manzar simaT jaate to achchhaa thaa ye dil taarik hujra hai ise raushan karo aa kar ye din taarikiyon vaale jo kaT jaate to achchhaa thaa maqaam-e-dil kahin aabaadiyon se duur hai shaayad magar ye faasle dil ke simaT jaate to achchhaa thaa ye daur-e-habs TuuTe to ham apnaa baadbaan kholein magar baad-e-mukhaalif mein jo DaT jaate to achchhaa thaa kahin gard-e-malaamat se kahin gard-e-nadaamat se ye chehre gard-e-gardun se jo aT jaate to achchhaa thaa"
Karamat BukhariKaramat Bukhari
Quote
"be-maqsad jab shor machaayaa jaataa hai aksar is mein zulm chhupaayaa jaataa hai patte khud hi Tahni chhoD ke girte hain mausam par ilzaam lagaayaa jaataa hai sadiyon pyaasi is dharti ke siine par qatra qatra meinh barsaayaa jaataa hai lafzon ke ambaar lagaa kar kaaghaz par maani ko is mein dafnaayaa jaataa hai is duniyaa mein jurm chhupaane ki khaatir jurm vahi aksar dohraayaa jaataa hai baDhne phalne phulne vaale sapnon ko bachpan mein hi qatl karaayaa jaataa hai muflis ko insaaf dilaane vaalon kaa daulat se darbaar sajaayaa jaataa hai"
Karamat BukhariKaramat Bukhari
Quote
"jis shajar par samar nahin hotaa us ko patthar kaa Dar nahin hotaa aankh mein bhi chamak nahin hoti jab vo pesh-e-nazar nahin hotaa mai-kade mein ye ek khubi hai naasehaa teraa Dar nahin hotaa ab to baazaar bhi hain be-raunaq koi yusuf idhar nahin hotaa jo sadaf saahilon pe rah jaae us mein koi guhar nahin hotaa aah to ab bhi dil se uThti hai lekin us mein asar nahin hotaa gham ke maaron kaa jo bhi maskan ho ghar to hotaa hai par nahin hotaa ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain us mein shaitaan kaa shar nahin hotaa"
Karamat BukhariKaramat Bukhari
Quote
"duniyaa ki is bhiiD mein kho gae jaane kitne log in aankhon se ojhal ho gae jaane kitne log sadme sahte sahte saari umrein biit gaiin aur zamin ko oDh ke so gae jaane kitne log kuchh logon ke ghar mein utri khushiyon ki baaraat aur ghamon ke bojh ko Dho gae jaane kitne log vaqt ke is bahte dariyaa mein khaamoshi ke saath apni naav aap Dubo gae jaane kitne log ek nazar mein us ne har ik dil ko jiit liyaa ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log ashkon ki barsaat mein bah gai mahjuri ki raakh apne dil ke daagh ko dho gae jaane kitne log"
Karamat BukhariKaramat Bukhari

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer