SHAWORDS

jism ki divaar ke baahar na dekh — Farkhanda Razvi

"jism ki divaar ke baahar na dekh dusron ki aankh se manzar na dekh dushmanon ki khaamiyon par rakh nazar doston ke haath mein khanjar na dekh dahr mein rakh har nafas se khud gharaz ghar ke hote aur koi ghar na dekh yuun bhi hai tujh ko bikharnaa ek din zaat ke aaine se baahar na dekh be-qaraari hi muqaddar hai tiraa naaz-o-andaaz-e-dil-e-muztar na dekh ho chuki 'khanda' har ik sozish tamaam be-sabab ab raakh ke andar na dekh"
Urdu

جسم کی دیوار کے باہر نہ دیکھ دوسروں کی آنکھ سے منظر نہ دیکھ دشمنوں کی خامیوں پر رکھ نظر دوستوں کے ہاتھ میں خنجر نہ دیکھ دہر میں رکھ ہر نفس سے خود غرض گھر کے ہوتے اور کوئی گھر نہ دیکھ یوں بھی ہے تجھ کو بکھرنا ایک دن ذات کے آئینے سے باہر نہ دیکھ بے قراری ہی مقدر ہے ترا ناز و انداز دل مضطر نہ دیکھ ہو چکی خندہؔ ہر اک سوزش تمام بے سبب اب راکھ کے اندر نہ دیکھ

Hindi

जिस्म की दीवार के बाहर न देख दूसरों की आँख से मंज़र न देख दुश्मनों की ख़ामियों पर रख नज़र दोस्तों के हाथ में ख़ंजर न देख दहर में रख हर नफ़स से ख़ुद ग़रज़ घर के होते और कोई घर न देख यूँ भी है तुझ को बिखरना एक दिन ज़ात के आईने से बाहर न देख बे-क़रारी ही मुक़द्दर है तिरा नाज़-ओ-अंदाज़-ए-दिल-ए-मुज़्तर न देख हो चुकी 'ख़ंदा' हर इक सोज़िश तमाम बे-सबब अब राख के अंदर न देख

jism kī dīvār ke bāhar na dekh
Farkhanda Razvi
Farkhanda Razvi
Farkhanda Razvi
poet12 quotes

More by Farkhanda Razvi

View all →
Quote
"mumkin jo hui ham se vo tadbir kare hain jo zakhm hare the haan abhi tak vo hare hain batlaao to rakkhein bhi kahaan gham ke dafine bartan jo mayassar the hamein saare bhare hain ab kaise mile jannat-o-dozakh ki bashaarat aamaal ke sikke to sabhi khoTe khare hain barson se is ehsaas mein halchal nahin koi ik umr hui haath par ham haath dhare hain be-khauf hain is daur mein shaitaan ke pujaari allaah ke bande to sabhi sahme Dare hain rahtaa hi nahin hai kisi rishte mein tavaazun jo aql ke nazdik hain vo dil se pare hain marne ke liye kaun jiyaa hai yahaan 'khanda' dekhaa hai ki jiine ke liye log mare hain"
Farkhanda RazviFarkhanda Razvi
Quote
"kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre kitne murjhaae hain in chehron ke andar chehre ahl-e-kashti ko to saahil ke hi khvaab aate hain taktaa rahtaa hai safinon ke samundar chehre qahr kyaa TuuT paDaa raat ko is basti par aise jhulse jo nazar aate hain ghar ghar chehre bughz-o-nafrat ke hadaf hain ye siyaasat ke qatil bhuke nange hain ye bhaTke hue dar-dar chehre dil mein ik tiir jo surat se utar jaataa hai jab ghaDi bhar mein badal jaate hain tevar chehre ye nahin sochte qaatil bhi to ho sakte hain chaand ke bhes mein taarik se bad-tar chehre farsh kyaa arsh pe bhi milte hi nahin hain 'khanda' teri tasvir ke chehre ke baraabar chehre"
Farkhanda RazviFarkhanda Razvi
Quote
"zahraab rag-e-jaan mein utaaraa hi bahut thaa basti ne tiri mujh ko rulaayaa hi bahut thaa viraan hue aah ke asaraat se maskan logon ne mujhe mil ke sataayaa hi bahut thaa honaa thaa kisi roz hamein yuun bhi to paspaa palkon pe tujhe ham ne biThaayaa hi bahut thaa ik roz to milnaa thaa jafaa-kash ko sila bhi paighaam-e-vafaa ham ne sunaayaa hi bahut thaa girnaa thaa kisi roz bulandi se hamein bhi khvaabon kaa nasha aankh pe chhaayaa hi bahut thaa 'khanda' ye jo main deti bhi to qarz kahaan thaa pahle se azizon pe baqaayaa hi bahut thaa"
Farkhanda RazviFarkhanda Razvi
Quote
"karun tujh se bevafaai ye kabhi ravaa nahin thaa use bevafaa na kahnaa ki vo bevafaa nahin thaa ye kisi ki saazishein thiin yaa thi marzi-e-zamaana miraa tujh se duur honaa miraa faisla nahin thaa kahin duur aa gai thi main hudud-e-zindagi se mire paas vaapsi kaa koi raasta nahin thaa miri haalat-e-zubun se thaa har ek shakhs vaaqif main ye kaise maan jaaun ki tujhe pataa nahin thaa rahi saath zindagi ke main kuchh aise zindagi bhar kyaa faqat tiraa khudaa thaa kyaa miraa khudaa nahin thaa use bhulne ki 'khanda' ki hazaar baar koshish use bhulne kaa lekin mujhe hausla nahin thaa"
Farkhanda RazviFarkhanda Razvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil