SHAWORDS

kaaba-e-dil ko agar Dhaaiyegaa — Haqeer

HomeHaqeerGhazal
"kaaba-e-dil ko agar Dhaaiyegaa yaad rakhiye ki sazaa paaiyegaa yaad mein meri jo ghabraaiyegaa meri turbat pe chale aaiyegaa thoDi taklif sahi aane mein do ghaDi baiTh ke uTh jaaiyegaa yaad dilvaa ke vo agli baatein bhari mahfil mein na rulvaaiyegaa haal-e-dil kahiye to farmaate hain bakte bakte miraa sar khaaiyegaa yak zaraa aap ko ham dekh to lein baiThiye baiThiye phir jaaiyegaa ye 'haqir' aap se Darne kaa nahin aankhein bas ghair ko dikhlaaiyegaa"
Urdu

کعبۂ دل کو اگر ڈھایئے گا یاد رکھئے کہ سزا پائیے گا یاد میں میری جو گھبرائیے گا میری تربت پہ چلے آئیے گا تھوڑی تکلیف سہی آنے میں دو گھڑی بیٹھ کے اٹھ جائیے گا یاد دلوا کے وہ اگلی باتیں بھری محفل میں نہ رلوائیے گا حال دل کہیے تو فرماتے ہیں بکتے بکتے مرا سر کھائیے گا یک ذرا آپ کو ہم دیکھ تو لیں بیٹھیے بیٹھیے پھر جائیے گا یہ حقیرؔ آپ سے ڈرنے کا نہیں آنکھیں بس غیر کو دکھلائیے گا

Hindi

काबा-ए-दिल को अगर ढाइएगा याद रखिए कि सज़ा पाइएगा याद में मेरी जो घबराइगा मेरी तुर्बत पे चले आइएगा थोड़ी तकलीफ़ सही आने में दो घड़ी बैठ के उठ जाइएगा याद दिलवा के वो अगली बातें भरी महफ़िल में न रुलवाइएगा हाल-ए-दिल कहिए तो फ़रमाते हैं बकते बकते मिरा सर खाइएगा यक ज़रा आप को हम देख तो लें बैठिए बैठिए फिर जाइएगा ये 'हक़ीर' आप से डरने का नहीं आँखें बस ग़ैर को दिखलाइएगा

ka.aba-e-dil ko agar Dhā.iyegā
H
Haqeer
Haqeer
poet32 quotes

More by Haqeer

View all →
Quote
"kis ki us tak rasaai hoti hai haan magar jis ki aai hoti hai yaar ham se siyaah-bakhton ki zulf tak kab rasaai hoti hai khuub mil kar gale se ro lenaa is se dil ki safaai hoti hai Dubti hai hamaari kashti-e-dil aap se aashnaai hoti hai shor hai al-firaaq kaa har dam ham se un se judaai hoti hai lashkar-e-gham ki kishvar-e-dil par raat din ab chaDhaai hoti hai un ki mahfil mein jaate Dartaa huun vaan lagaai-bujhaai hoti hai us ke dar par 'haqir' tum bhi chalo vahin mushkil-kushaai hoti hai"
H
Haqeer
Quote
"ai yaas jo tu dil mein aai sab kuchh huaa par kuchh bhi na huaa yaan ho gai khaana-viraani aur teraa zarar kuchh bhi na huaa thaa qasd ki un ko rokeingi shab guzri inhin andeshon mein par haae-re naakaami dil ki hangaam-e-sahar kuchh bhi na huaa ehsaan tiraa mujh par hotaa gar ruuh ko kartaa tan se judaa jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na huaa ai kaash vo baatein ki hotin jo vahshat-e-dil ko kam kartin itnaa jo bakaa to ai naaseh mujh ko to asar kuchh bhi na huaa ab chaahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazaare ki Thahre har vaqt ke rone se haasil ai dida-e-tar kuchh bhi na huaa dil aur jigar jaan aur ye sar ham shauq se laae paas tire qismat kaa gila ab kis se karein manzur-e-nazar kuchh bhi na huaa yaa us se javaab-e-khat laanaa yaa qaasid itnaa kah denaa bachne kaa nahin bimaar tiraa irshaad agar kuchh bhi na huaa dhun vasl ki tujh par ghaalib hai tu aish-o-tarab kaa taalib hai kyaa lutf 'haqir' is ulfat kaa betaab agar kuchh bhi na huaa"
H
Haqeer

More on Yaad

View all →
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari