Quote
"ye gul bhi zinat-e-aaghosh-e-dariyaa-e-qazaa nikle jinhein ham baa-vafaa samjhe the vo bhi bevafaa nikle natija justuju-e-shauq kaa kyaa jaane kyaa nikle pas-e-parda ye mumkin hai vahi rangin-adaa nikle karishma hai ye saaraa ishq kaa hi varna kab mumkin lahu ke qatre qatre se anal-haq ki sadaa nikle mataa-e-zindagi aaraam-e-jaan sabr-o-qaraar-e-dil khudaa ki shaan hai ham un ko kyaa samjhe vo kyaa nikle hue majruh barg-e-gul inhin khaaron se gulshan ke chaman ke paasbaan hi baani-e-jaur-o-jafaa nikle maaaz-allaah ilzaam apni barbaadi kaa ghairon par Dubone vaale kashti ke jab apne naakhudaa nikle karun kis kaa gila kahte hue bhi sharm aati hai raqib afsos apne hi puraane aashnaa nikle hamaare baad vo aae ayaadat ko to kyaa aae kisi ke is tarah nikle agar armaan to kyaa nikle bahut mushkil hai 'aish' is daur mein nikle koi hasrat ye kyaa kam hai koi daaman agar apnaa bachaa nikle"
A
Aish Meeruthi