SHAWORDS

kuchh aise ki hai adaa rasm-e-bandagi main ne — Aish Meeruthi

HomeAish MeeruthiGhazal
"kuchh aise ki hai adaa rasm-e-bandagi main ne guzaar di tire vaade pe zindagi main ne uDaa ke dhajjiyaan daaman ki kartaa kyon rusvaa junun mein ki na gavaara darindagi main ne zaraa bhi shikva-e-jaur-o-jafaa nahin lab par tiri razaa ko jo samjhaa hai bandagi main ne aziiz jaan se zyaada mujhe hai ye gham dost ki gham mein paai hai ik sharh-e-zindagi main ne huzur-e-husn huaa hai ye vaaqia aksar havaas-o-hosh ki dekhi parindagi main ne ziyaa-e-mehr-e-hidaayat ki taabishein le kar jalaa di kufr-o-zalaalat ki gandagi main ne misaal-e-laala-o-sahraa saham saham ke rahaa hujum-e-khaar mein kaaTi hai zindagi main ne lagaaein kufr ke fatve hazaar ahl-e-khirad kiyaa hai pesh-e-sanam ahd-e-bandagi main ne na milne par bhi use 'aish' pyaar kartaa huun yuun unchaa kar diyaa meaar-e-zindagi main ne"
Urdu

کچھ ایسے کی ہے ادا رسم بندگی میں نے گزار دی ترے وعدے پہ زندگی میں نے اڑا کے دھجیاں دامن کی کرتا کیوں رسوا جنوں میں کی نہ گوارہ درندگی میں نے ذرا بھی شکوۂ جور و جفا نہیں لب پر تری رضا کو جو سمجھا ہے بندگی میں نے عزیز جان سے زیادہ مجھے ہے یہ غم دوست کہ غم میں پائی ہے اک شرح زندگی میں نے حضور حسن ہوا ہے یہ واقعہ اکثر حواس و ہوش کی دیکھی پرندگی میں نے ضیائے مہر ہدایت کی تابشیں لے کر جلا دی کفر و ضلالت کی گندگی میں نے مثال لالہ و صحرا سہم سہم کے رہا ہجوم خار میں کاٹی ہے زندگی میں نے لگائیں کفر کے فتوے ہزار اہل خرد کیا ہے پیش صنم عہد بندگی میں نے نہ ملنے پر بھی اسے عیشؔ پیار کرتا ہوں یوں اونچا کر دیا معیار زندگی میں نے

Hindi

कुछ ऐसे की है अदा रस्म-ए-बंदगी मैं ने गुज़ार दी तिरे वा'दे पे ज़िंदगी मैं ने उड़ा के धज्जियाँ दामन की करता क्यों रुस्वा जुनूँ में की न गवारा दरिंदगी मैं ने ज़रा भी शिकवा-ए-जौर-ओ-जफ़ा नहीं लब पर तिरी रज़ा को जो समझा है बंदगी मैं ने अज़ीज़ जान से ज़्यादा मुझे है ये ग़म दोस्त कि ग़म में पाई है इक शरह-ए-ज़िंदगी मैं ने हुज़ूर-ए-हुस्न हुआ है ये वाक़िआ' अक्सर हवास-ओ-होश की देखी परिंदगी मैं ने ज़िया-ए-मेहर-ए-हिदायत की ताबिशें ले कर जला दी कुफ़्र-ओ-ज़लालत की गंदगी मैं ने मिसाल-ए-लाला-ओ-सहरा सहम सहम के रहा हुजूम-ए-ख़ार में काटी है ज़िंदगी मैं ने लगाएँ कुफ़्र के फ़तवे हज़ार अहल-ए-ख़िरद किया है पेश-ए-सनम अहद-ए-बंदगी मैं ने न मिलने पर भी उसे 'ऐश' प्यार करता हूँ यूँ ऊँचा कर दिया मेआ'र-ए-ज़िंदगी मैं ने

kuchh aise kī hai adā rasm-e-bandagī maiñ ne
A
Aish Meeruthi
Aish Meeruthi
poet17 quotes

More by Aish Meeruthi

View all →
Quote
"ye gul bhi zinat-e-aaghosh-e-dariyaa-e-qazaa nikle jinhein ham baa-vafaa samjhe the vo bhi bevafaa nikle natija justuju-e-shauq kaa kyaa jaane kyaa nikle pas-e-parda ye mumkin hai vahi rangin-adaa nikle karishma hai ye saaraa ishq kaa hi varna kab mumkin lahu ke qatre qatre se anal-haq ki sadaa nikle mataa-e-zindagi aaraam-e-jaan sabr-o-qaraar-e-dil khudaa ki shaan hai ham un ko kyaa samjhe vo kyaa nikle hue majruh barg-e-gul inhin khaaron se gulshan ke chaman ke paasbaan hi baani-e-jaur-o-jafaa nikle maaaz-allaah ilzaam apni barbaadi kaa ghairon par Dubone vaale kashti ke jab apne naakhudaa nikle karun kis kaa gila kahte hue bhi sharm aati hai raqib afsos apne hi puraane aashnaa nikle hamaare baad vo aae ayaadat ko to kyaa aae kisi ke is tarah nikle agar armaan to kyaa nikle bahut mushkil hai 'aish' is daur mein nikle koi hasrat ye kyaa kam hai koi daaman agar apnaa bachaa nikle"
A
Aish Meeruthi
Quote
"har nafas aaina mauj-e-fanaa hotaa hai aah kartaa huun to dard aur sivaa hotaa hai khinchti jaati hai usi samt jabin-e-sajda jis taraf aap kaa naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai phuuT jaa aabla-e-paa ki baDhe teraa vaqaar khaar-e-sahraa tujhe angusht-numaa hotaa hai junbishein hone lagin parda-e-zangaari mein naala-e-aashiq-e-dil-gir balaa hotaa hai vo na aaeinge unhein zid hai tamanna se miri main kahun laakh to kyaa meraa kahaa hotaa hai hai jabin khaak pe aur 'arsh-e-mu'allaa pe dimaagh naqsha aankhon mein tire dar kaa khinchaa hotaa hai saail aayaa hai tire dar pe khudi ko kho kar dekhnaa hai mujhe kyaa aaj 'ataa hotaa hai har ravish un ki qayaamat hai qayaamat ai 'aish' jis taraf jaate hain ik hashr bapaa hotaa hai"
A
Aish Meeruthi
Quote
"ye inqalaab huaa jaane runumaa kaise badal gae tiri mahfil mein aashnaa kaise tumhaari bazm mein aakhir main luT gayaa kaise ye saaneha to huaa hai magar huaa kaise zaraa ye dekh ki mere sujud-e-paiham se miTaa to naqsh-e-kaf-e-paa magar miTaa kaise vafaa kaa ghair ki bhi imtihaan ho jaae hamaare hote hue us ne ye kahaa kaise uThaane vaale hamein bazm se zaraa ye dekh ki TuTtaa hai gharibon kaa aasraa kaise main koi qatra-e-shabnam thaa taabish-e-rukh se vajud-e-harf-e-ghalat ki tarah miTaa kaise hai 'aish' saath koi raahbar na hamraahi kaTegi dekhiye tanhaa rah-e-vafaa kaise"
A
Aish Meeruthi
Quote
"hai jamaal-e-husn kaa partav sanam-khaana kahin but-kada kaaba kahin hai aur mai-khaana kahin sidhe raste se bhaTak jaae na farzaana kahin aa na jaae aql ki baaton mein divaana kahin ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas dil kahin hai ham kahin hain aur jaanaana kahin taabish-e-barq-e-sitam se yaa ilaahi jal na jaae andalib-e-zaar kaa gulshan mein kaashaana kahin phir na dohraae kahin taarikh anjaam-e-sitam ho na jaae sabr kaa labrez paimaana kahin un ke daaman se lipaT hi jaaegi bas khaak-e-dil zid pe aa jaae na apnaa josh-e-rindaana kahin kaisi ujDi hai ye mahfil 'aish' hangaam-e-sahar sham-e-kushta hai kahin aur khaak-e-parvaana kahin"
A
Aish Meeruthi
Quote
"barbaad-e-mohabbat ho kar bhi jiine kaa sahaaraa ho na sakaa ik dil pe bharosa thaa apne vo bhi to hamaaraa ho na sakaa jalvon ki faraavaani tauba dam bhar mein huiin khira nazrein vo saamne be-parda the magar ham se hi nazaara ho na sakaa aankhon ki zabaani shikva-e-gham karnaa thaa bahut un se lekin khud husn pashemaan ho jaataa ye ham se gavaaraa ho na sakaa maanaa ki bhari mahfil thi magar kaafi thi mujhe duzdida nazar taskin-e-dil-e-muztar ke liye itnaa saa ishaaraa ho na sakaa ghairon ki tarah munh takte rahe har ek kaa ham is mahfil mein aankhon mein chhalak aae aansu phir zabt kaa yaaraa ho na sakaa aai jo idhar mauj-e-tufaan kashti thi shikasta Duub gai afsos payaam-e-aafiyyat dariyaa mein kinaaraa ho na sakaa har bazm-e-nashaat ai 'aish' hui us shokh ke jalvon se raushan kaashaana-e-gham mein jalva-fagan lekin vo dil-aaraa ho na sakaa"
A
Aish Meeruthi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi