SHAWORDS

kaifiyat ik nai tashkil hui jaati hai — Bharatdeep Mathur Deep

"kaifiyat ik nai tashkil hui jaati hai vo jo banjar thaa vahaan jhiil hui jaati hai baarhaa aap se milnaa ki khudaa khair kare unsiyat ishq mein tahlil hui jaati hai koi chupke se sajaa aaya hai ulfat ke gulaab khushbu khushbu miri zambil hui jaati hai jis pe khush-rang si tasvir sajaa di gai ho ziist divaar ki vo kiil hui jaati hai pahli baarish ki phuvaaron kaa asar hai shaayad yaas ab aas mein tabdil hui jaati hai dil hamaaraa bhi huaa jaataa hai jaltaa huaa 'dip' aap ki zaat jo qindil hui jaati hai"
Urdu

کیفیت اک نئی تشکیل ہوئی جاتی ہے وہ جو بنجر تھا وہاں جھیل ہوئی جاتی ہے بارہا آپ سے ملنا کہ خدا خیر کرے انسیت عشق میں تحلیل ہوئی جاتی ہے کوئی چپکے سے سجا آیا ہے الفت کے گلاب خوشبو خوشبو مری زنبیل ہوئی جاتی ہے جس پے خوش رنگ سی تصویر سجا دی گئی ہو زیست دیوار کی وہ کیل ہوئی جاتی ہے پہلی بارش کی پھواروں کا اثر ہے شاید یاس اب آس میں تبدیل ہوئی جاتی ہے دل ہمارا بھی ہوا جاتا ہے جلتا ہوا دیپؔ آپ کی ذات جو قندیل ہوئی جاتی ہے

Hindi

कैफ़ियत इक नई तश्कील हुई जाती है वो जो बंजर था वहाँ झील हुई जाती है बारहा आप से मिलना कि ख़ुदा ख़ैर करे उन्सियत इश्क़ में तहलील हुई जाती है कोई चुपके से सजा आया है उल्फ़त के गुलाब ख़ुशबू ख़ुशबू मिरी ज़म्बील हुई जाती है जिस पे ख़ुश-रंग सी तस्वीर सजा दी गई हो ज़ीस्त दीवार की वो कील हुई जाती है पहली बारिश की फुवारों का असर है शायद यास अब आस में तब्दील हुई जाती है दिल हमारा भी हुआ जाता है जलता हुआ 'दीप' आप की ज़ात जो क़िंदील हुई जाती है

kaifiyat ik na.ī tashkīl huī jaatī hai
Bharatdeep Mathur Deep
Bharatdeep Mathur Deep
Bharatdeep Mathur Deep
poet2 quotes

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil