Quote
"kahaa na kuchh bhi dabaa di gai miri aavaaz uDaa na thaa ki shikasta hue par-e-parvaaz ajiib qaid mein dam hai ye kaisaa jiinaa hai ki zindagi hui jaati hai maut ki ghammaaz taDap taDap ke sar-e-daar mar gayaa koi hayaat kahiye ki marne hi kaa hai ik andaaz jigar kaa soz mayassar nahin to kuchh bhi nahin jigar ke soz se saaz-e-hayaat baa-aavaaz koi salib pe kyaa soch ke laTaktaa hai masih-e-vaqt se puchhe zaraa koi ye raaz firaaq-e-yaar mein har lamha zindagi hai azaab daraaz silsila-e-zist hai bahut hi daraaz gham-e-hayaat ne shaair banaa diyaa 'khurshid' vagarna main kahaan aur shaairi kaa ye eazaaz"
