"paate hain kuchh kami si tasvir-e-zindagi mein kyaa naqsh chhoD aae ham dasht-e-be-khudi mein zinjir-e-aagahi se shamshir-e-aagahi tak kyaa kyaa maqaam aae dil ki sipah-gari mein ji dekhne ko tarse dekhun to kis nazar se tufaan-e-khirgi hai jalvon ki raushni mein hasti bajaae khud hai ik kaar-gaah-e-hasti ham mast-bandagi mein vo banda-parvari mein DhunDe se bhi na paai sadiyon ki justuju ne shaamil thi jo tajalli tartib-e-unsuri mein vo shai kahaan hai pinhaan ai mauj-e-aab-e-haivaan jo vajh-e-sar-khushi thi barson ki tishnagi mein"
karte rahe taaaqub-e-ayyaam umr-bhar — Aziz Tamannai
"karte rahe taaaqub-e-ayyaam umr-bhar uDtaa rahaa ghubaar bahar-gaam umr-bhar hasrat se dekhte rahe har khush-khiraam ko ham surt-e-tuyyur tah-e-daam umr-bhar har-chand talkh-kaam thaa har jura-e-hayaat munh se lagaae baiThe rahe jaam umr-bhar har shaakh-e-nau-bahaar thi aaluda-e-ghubaar DhunDaa kiye nasheman-e-aaraam umr-bhar kuchh kaam aa sakin na yahaan be-gunaahiyaan ham par lagaa huaa thaa vo ilzaam umr-bhar detaa rahaa sadaaein hamein duur duur tak koi chhupaa huaa pas-e-asnaam umr-bhar baa-vasf-e-ehtiyaat 'tamannaai' ham rahe paa-basta-e-salaasil-e-auhaam umr-bhar"
کرتے رہے تعاقب ایام عمر بھر اڑتا رہا غبار بہر گام عمر بھر حسرت سے دیکھتے رہے ہر خوش خرام کو ہم صورت طیور تہ دام عمر بھر ہر چند تلخ کام تھا ہر جرعۂ حیات منہ سے لگائے بیٹھے رہے جام عمر بھر ہر شاخ نو بہار تھی آلودۂ غبار ڈھونڈا کئے نشیمن آرام عمر بھر کچھ کام آ سکیں نہ یہاں بے گناہیاں ہم پر لگا ہوا تھا وہ الزام عمر بھر دیتا رہا صدائیں ہمیں دور دور تک کوئی چھپا ہوا پس اصنام عمر بھر با وصف احتیاط تمنائیؔ ہم رہے پابستۂ سلاسل اوہام عمر بھر
करते रहे तआ'क़ुब-ए-अय्याम उम्र-भर उड़ता रहा ग़ुबार बहर-गाम उम्र-भर हसरत से देखते रहे हर ख़ुश-ख़िराम को हम सूरत-ए-तुयूर तह-ए-दाम उम्र-भर हर-चंद तल्ख़-काम था हर जुरआ-ए-हयात मुँह से लगाए बैठे रहे जाम उम्र-भर हर शाख़-ए-नौ-बहार थी आलूदा-ए-ग़ुबार ढूँडा किए नशेमन-ए-आराम उम्र-भर कुछ काम आ सकीं न यहाँ बे-गुनाहियाँ हम पर लगा हुआ था वो इल्ज़ाम उम्र-भर देता रहा सदाएँ हमें दूर दूर तक कोई छुपा हुआ पस-ए-अस्नाम उम्र-भर बा-वस्फ़-ए-एहतियात 'तमन्नाई' हम रहे पा-बस्ता-ए-सलासिल-ए-औहाम उम्र-भर
More by Aziz Tamannai
View all →"khalvat hui hai anjuman-aaraa kabhi kabhi khaamoshiyon ne ham ko pukaaraa kabhi kabhi le de ke ek saaya-e-divaar-e-aarzu detaa hai rahravon ko sahaaraa kabhi kabhi kis darja dil-fareb hain jhonke umiid ke ye zindagi hui hai gavaaraa kabhi kabhi saunpaa hai ham ne jis ko har ik lamha-e-hayaat ai kaash ho sake vo hamaaraa kabhi kabhi ai mauj-e-khush-khiraam zaraa tez tez chal banti hai sath-e-aab kinaara kabhi kabhi dast-e-tahi baDhaaiye kis ishtiyaaq se TuuTaa hai shaakh-e-shab se jo taaraa kabhi kabhi hadd-e-nazar ke paar 'tamannaai' kaun hai mahsus ho rahaa hai ishaaraa kabhi kabhi"
"karo talaash had-e-aasmaan milne na mile nishaan-e-rahguzar-e-kaarvaan mile na mile chalo jalaae hue mashal-e-yaqin dil mein kanaar-e-bahr-e-muhit-e-gumaan mile na mile ravaan-davaan huun har ik mauj-e-khush-khiraam ki samt pas-e-saraab vo ju-e-ravaan mile na mile abhi sadaa-e-jaras gunjti hai kaanon mein suraagh-e-qaafila-e-raftgaan mile na mile abhi na daaman-e-ummid chhuTne paae phir ek baar vo nazdik-e-jaan mile na mile har ek gaam hai ik sajda-gah 'tamannaai' jabin ko sang-e-dar-e-aastaan mile na mile"
"ab kaun si mataa-e-safar dil ke paas hai ik raushani-e-subh thi vo bhi udaas hai ik ek karke faash hue jaa rahe hain raaz shaayad ye kaaenaat qarin-e-qayaas hai samjhaa gai ye talkhi-e-paiham firaaq ki ik muzhda-e-visaal mein kitni miThaas hai har chiiz aa rahi hai nazar apne ruup mein utraa huaa fareb-e-nazar kaa libaas hai ik gardish-e-davaam mein roz azal se hai vo chashm-e-baa-khabar ki jo mardum-shanaas hai fitrat kahaan thi apni 'tamannaai' shabnami lekin kisi ki shoala-nigaahi kaa paas hai"
"uThaa ke mere zehn se shabaab koi le gayaa andhere chikhte hain aaftaab koi le gayaa main saare kaaghzaat le ke dekhtaa hi rah gayaa savaab koi le gayaa 'azaab koi le gayaa supurd kar ke khaamushi ki mohr-e-khush-numaa mujhe labon se naara-haa-e-inqalaab koi le gayaa hai e'tiraaf mere haath mein jo ek chiiz thi sanbhaal kar rakhaa to thaa janaab koi le gayaa ye gham nahin ki mujh ko jaagnaa paDaa hai 'umr bhar ye ranj hai ki mere saare khvaab koi le gayaa shajar shajar varaq varaq payaam-bar vahaan bhi hai jahaan se har sahifa har kitaab koi le gayaa shanaakht ho saki na phir bhi ye miraa qusur thaa hamaare darmiyaan thaa jo hijaab koi le gayaa"
"yunhi kaTe na rahguzar-e-mukhtasar kahin paDte hain paae shauq kahin aur nazar kahin mauhum-o-mukhtasar sahi pesh-e-nazar to hai dekhaa kisi ne khvaab ye baar-e-digar kahin maail-ba-justuju hain abhi ahl-e-ishtiyaaq duniyaaein aur bhi hain varaa-e-nazar kahin baaqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin ab ham hain aur tilism-e-tamannaa ki vusatein DhunDe se bhi na mil saki raah-e-mafar kahin har faasla hai jalva-gah-e-mauj-e-ittisaal yaani jabin-e-shauq kahin sang-e-dar kahin sadiyon kaa iztiraab 'tamannaai' saunp duun mil jaae koi lamha-e-fursat agar kahin"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"