"hai faqat yahi fasaana miri 'umr-e-mukhtasar kaa miri kyaa bisaat-e-hasti huun charaagh raat bhar kaa baDi hausle se kheli huun ye zindagi ki baazi mujhe kyaa miTaa sakegaa koi gham idhar-udhar kaa mire sina-e-jahaan ko mire gham ne phunk Daalaa miraa ghar jalaayaa jis ne vo charaagh bhi thaa ghar kaa mujhe raas hi na aae mire nim-shab ke sajde mujhe dekh lo nishaan huun main du’aa-e-be-asar kaa jo bahaar-e-gulsitaan mein yunhi ban sanvar ke niklin ye bataao mujh ko 'mariyam' ki hai qasd ab kidhar kaa"
khaamushi ko lab-e-izhaar nahin kar sakte — Khadeeja Mariyam
"khaamushi ko lab-e-izhaar nahin kar sakte apne lahje ko to talvaar nahin kar sakte aap har phuul ko paaband-e-qafas kar leinge us ki khushbu ko giraftaar nahin kar sakte ham ne vo kaam kiye hain ye hami jaante hain vo jo is daur ke fankaar nahin kar sakte un ki shohrat ke liye ashk bahaane honge gham ki tashhir to akhbaar nahin kar sakte ham ne rahzan se hi manzil kaa pataa puchhaa hai kaam ye qaafila-saalaar nahin kar sakte dekhiye aap ne chaahaa hai 'khadija' ko bahut aap is baat se inkaar nahin kar sakte"
خامشی کو لب اظہار نہیں کر سکتے اپنے لہجے کو تو تلوار نہیں کر سکتے آپ ہر پھول کو پابند قفس کر لیں گے اس کی خوشبو کو گرفتار نہیں کر سکتے ہم نے وہ کام کیے ہیں یہ ہمی جانتے ہیں وہ جو اس دور کے فنکار نہیں کر سکتے ان کی شہرت کے لیے اشک بہانے ہوں گے غم کی تشہیر تو اخبار نہیں کر سکتے ہم نے رہزن سے ہی منزل کا پتا پوچھا ہے کام یہ قافلہ سالار نہیں کر سکتے دیکھیے آپ نے چاہا ہے خدیجہؔ کو بہت آپ اس بات سے انکار نہیں کر سکتے
ख़ामुशी को लब-ए-इज़हार नहीं कर सकते अपने लहजे को तो तलवार नहीं कर सकते आप हर फूल को पाबंद-ए-क़फ़स कर लेंगे उस की ख़ुशबू को गिरफ़्तार नहीं कर सकते हम ने वो काम किए हैं ये हमी जानते हैं वो जो इस दौर के फ़नकार नहीं कर सकते उन की शोहरत के लिए अश्क बहाने होंगे ग़म की तशहीर तो अख़बार नहीं कर सकते हम ने रह-ज़न से ही मंज़िल का पता पूछा है काम ये क़ाफ़िला-सालार नहीं कर सकते देखिए आप ने चाहा है 'ख़दीजा' को बहुत आप इस बात से इंकार नहीं कर सकते

More by Khadeeja Mariyam
View all →"tujh se ai mere sitamgar maa'zarat maa'zarat-dar-maa'zarat-dar-maa'zarat jo miri jaanib uchhaale the kabhi aaj karte hain vo patthar maa'zarat inkisaari se khaDe rahte hain ham tu guzar jaataa hai kah kar maa'zarat zulf-e-jaanaan ke jo dekhun pech-o-kham mujh ko aa jaate hain chakkar maa'zarat ik guzaarish thi tire barbaad ki kar li tasvir-e-junun par maa'zarat raat ke naalon kaa 'mariyam' kyaa kahein ham se kar lete hain aksar maa'zarat"
"boltaa hai tire ash'aar kaa jaadu dil mein aa rahi hai tire alfaaz ki khushbu dil mein aisaa lagtaa hai tiri yaad chali aai hai raushni phailti jaati hai jo harsu dil mein phir tire honT hanse hain miri barbaadi par kyon chamakne lage ummid ke jugnu dil mein tirgi phail gai khaana-e-gham mein shaayad hijr ki raat ne khole hain ye gesu dil mein hasratein tolne aae hain vo 'mariyam' kyunki le ke baiThe hain kai dard taraazu dil mein"
"zamaana-saaz khudaaon se Dar gae ham tum qasam khudaa ki mohabbat mein mar gae ham tum jahaan mein aae the kuchh 'aashiqaan-e-gham ke liye sadaa-e-'ishq lagaa kar guzar gae ham tum kabhi the jashn-e-bahaaraan kabhi the raunaq-e-gul so misl-e-barg-e-khizaan ab bikhar gae ham tum vabaal-e-gardish-e-dauraan hamein bataae to kahaan se aae the aur ab kidhar gae ham tum 'khadija' 'ishq-o-mohabbat ki daastaan ban kar koi to kaam zamaane mein kar gae ham tum"
"hasrat-e-dil thi kahaan ki vo kahaan tak pahunche phir bahaaron ke tamannaai khizaan tak pahunche dasht se ham ko nikaalaa baDi be-rahmi se kyon na phir qissa-e-gham sab ki zabaan tak pahunche tum kisi se bhi milo ham ne kabhi kuchh na kahaa tum falaane se mile aur fulaan tak pahunche aaj bhi saahib-e-idraak bahut milte hain aise bhi log hain jo dard-e-nihaan tak pahunche kuuch kar jaate hain gulshan se kahin aisaa na ho haath har phuul kaa meri rag-e-jaan tak pahunche shaa'iri shauq nahin balki zarurat hai miri taaki 'mariyam' ki sadaa saare jahaan tak pahunche"
"aap ko apni hi bedaad-gari yaad nahin is kaa matlab hai miri ham-safari yaad nahin ham se mat puchho sar-e-dasht safar kaisaa rahaa itnaa bhaTke hain ki ab dar-ba-dari yaad nahin kaaT degi yunhi barson kaa safar lamhon mein 'umr-e-dauraan tujhe aahista-ravi yaad nahin ham ko bhi yaad nahin aakhiri khat kaa mazmun naama-bar ko bhi koi naama-bari yaad nahin ham ne bhi 'ishq kiyaa thaa kabhi koi 'mariyam' is se haT ke to koi dard-e-sari yaad nahin"