SHAWORDS

khud-aagahi ke liye bahr-e-bekaraan mein utar — Arshad Nazar

HomeArshad NazarGhazal
"khud-aagahi ke liye bahr-e-bekaraan mein utar shanaavari kaa hunar hai to jism-o-jaan mein utar har ek baat mujhe be-yaqin si lagti hai yaqin ban ke miri zaat-e-be-gumaan mein utar main dhuup dhuup ghani pyaas pi chukaa huun bahut kabhi to abr-e-ravaan dasht-e-be-karaan mein utar har ek lamha gurezaan saa lag rahaa hai mujhe kabhi to shoala-e-khanjar ghubaar-e-jaan mein utar nikal ke yaas ki in sard sard lahron se ai zindagi tu har ik shoala-e-javaan mein utar chamak uTheinge andheron mein anginat suraj tu barq ban ke mire qalb-e-naa-tavaan mein utar tujhe bhi karb ke dariyaa mein main Dubo dungaa jo ho sake to miri chashm-e-khun-fishaan mein utar har ek lamha hai tegh-e-sitam to kyaa gham hai daraaz-dasti-e-qaatil ke imtihaan mein utar faqih-e-shahr se qat-e-nazar kabhi to 'nazar' tu mere ashk ki be-harf daastaan mein utar"
Urdu

خود آگہی کے لیے بحر‌ بیکراں میں اتر شناوری کا ہنر ہے تو جسم و جاں میں اتر ہر ایک بات مجھے بے یقیں سی لگتی ہے یقین بن کے مری ذات بے گماں میں اتر میں دھوپ دھوپ گھنی پیاس پی چکا ہوں بہت کبھی تو ابر رواں دشت بے کراں میں اتر ہر ایک لمحہ گریزاں سا لگ رہا ہے مجھے کبھی تو شعلۂ خنجر غبار جاں میں اتر نکل کے یاس کی ان سرد سرد لہروں سے اے زندگی تو ہر اک شعلۂ جواں میں اتر چمک اٹھیں گے اندھیروں میں انگنت سورج تو برق بن کے مرے قلب ناتواں میں اتر تجھے بھی کرب کے دریا میں میں ڈبو دوں گا جو ہو سکے تو مری چشم خوں فشاں میں اتر ہر ایک لمحہ ہے تیغ ستم تو کیا غم ہے دراز دستی قاتل کے امتحاں میں اتر فقیہ شہر سے قطع نظر کبھی تو نظرؔ تو میرے اشک کی بے حرف داستاں میں اتر

Hindi

ख़ुद-आगही के लिए बहर-ए-बेकराँ में उतर शनावरी का हुनर है तो जिस्म-ओ-जाँ में उतर हर एक बात मुझे बे-यक़ीं सी लगती है यक़ीन बन के मिरी ज़ात-ए-बे-गुमाँ में उतर मैं धूप धूप घनी प्यास पी चुका हूँ बहुत कभी तो अब्र-ए-रवाँ दश्त-ए-बे-कराँ में उतर हर एक लम्हा गुरेज़ाँ सा लग रहा है मुझे कभी तो शोला-ए-ख़ंजर ग़ुबार-ए-जाँ में उतर निकल के यास की इन सर्द सर्द लहरों से ऐ ज़िंदगी तू हर इक शोला-ए-जवाँ में उतर चमक उठेंगे अँधेरों में अनगिनत सूरज तू बर्क़ बन के मिरे क़ल्ब-ए-ना-तवाँ में उतर तुझे भी कर्ब के दरिया में मैं डुबो दूँगा जो हो सके तो मिरी चश्म-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ में उतर हर एक लम्हा है तेग़-ए-सितम तो क्या ग़म है दराज़-दस्ती-ए-क़ातिल के इम्तिहाँ में उतर फ़क़ीह-ए-शहर से क़त-ए-नज़र कभी तो 'नज़र' तू मेरे अश्क की बे-हर्फ़ दास्ताँ में उतर

ḳhud-āgahī ke liye bahr-e-bekarāñ meñ utar
Arshad Nazar
Arshad Nazar
Arshad Nazar
poet24 quotes

More by Arshad Nazar

View all →
Quote
"dhuup samundar sahraa main thaa apni zaat mein kyaa kyaa main thaa sho'le mein thi phuul ki khushbu phuul ke andar sho'la main thaa jaagti aankhein bhaagte manzar jaane kis kaa sapnaa main thaa buDhaa maanjhi TuuTi kashti apne safar mein tanhaa main thaa mere lahu se chaand thaa raushan tujh bin jaltaa saveraa main thaa baahar baahar thi khaamoshi andar andar chikhaa main thaa biich samundar sairaabi thi saahil saahil pyaasaa main thaa peD se uljhaa peD se lipTaa jaise havaa kaa jhonkaa main thaa ruup dhaar ke jogi jaisaa jangal jangal bhaTkaa main thaa manzil kab thi mere safar ki phir bhi safar mein rahtaa main thaa mere lab pe hansi thi lekin dard mein Duubaa naghma main thaa mujh ko dekho meri ghazal mein aap hi apnaa lahja main thaa"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"be-dili se hi sahi naaz uThaao saahib kuchh na kuchh rasm-e-mohabbat to nibhaao saahib kab se bechain hai ye pyaas samundar ke liye jism ke sahraa ki aatish ko bujhaao saahib jins-e-baazaar mein qaanun bhi hai qaatil bhi bikne vaale hain sabhi daam lagaao saahib apne qad se jo main niklun to bikhar jaaungaa aaina-ghar kaa pata mujh ko bataao saahib dil ki basti kaa musaafir huun guzar jaane do tikhi nazron ke yuun pahre na lagaao saahib Thokarein khaa ke yunhi jaati hain sar-kash maujein zinda qaumon ki ye pahchaan bataao saahib dil ke jazbon se munavvar hain manaazir har su raakh ke Dher pe naghme na sunaao saahib ham ujaale hain andheron se guzar jaate hain tirgi raah ki kuchh aur baDhaao saahib koi chehra nahin sadiyon se tasavvur mein 'nazar' phir koi sham' in aankhon mein jalaao saahib"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"koi na puchhe 'nazar' vajh-e-sarkashi ham se zamaane-bhar ne bahut ki hai dil-lagi ham se ayaan hai dard samandar kaa unchi lahron se chhupaa na paaeinge ashkon ko vo kabhi ham se kiran koi miri raaton mein aa gai hogi kuchh aur baDh gai suraj ki be-rukhi ham se jahaan ruki thi kabhi raah-e-zindagi aa kar vahin se paaegi ik moD zindagi ham se gae the abr-e-karam ban ke jaanib-e-sahraa kuchh aur baDh gai sahraa ki tishnagi ham se jo kal talak hamein taarik-tar samajhte the vo aaj aae hain lene ko raushni ham se"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"ai sim-tan tujhe gul-pairahan kahaa jaae ki aaftaab ki pahli kiran kahaa jaae hukumatein ki jahaan shah-garon kaa ghalba ho is eqtidaar ko daar-o-rasan kahaa jaae aziyyaton kaa sila hai mahak uThin galiyaan hamaare zakhm ko mushk-e-khutan kahaa jaae jise chhuaa hai na dekhaa nigaah-e-baatin ne use khayaal gumaan yaa badan kahaa jaae ye raushni kaa nagar subh shaam kyaa maani barahna tan ko jahaan pairahan kahaa jaae hamaare ahd ke sayyaad ham se chaaheinge ki qatl-gaah ko apnaa chaman kahaa jaae lagaa de aag jo khaamosh aabginon mein use hamaaraa hi tarz-e-sukhan kahaa jaae vo jin kaa qad se bhi unchaa anaa kaa paikar ho vo chaahte hain unhein anjuman kahaa jaae hazaar rang nasibon mein baandh laae jo use jahaan mein magar kohkan kahaa jaae vo raushni ki talab mein vahaan talak pahunche jahaan pe dhuup ko saaya-fagan kahaa jaae bujhaa ke rakh de jo jalte hue charaaghon ko to kyaa ise bhi havaa kaa sukhan kahaa jaae mashaqqatein jo ayaan hon udaas aankhon se unhein khumaar kahein yaa thakan kahaa jaae nikhar gayaa ho koi husn jab pasine mein use to subh ki pahli kiran kahaa jaae hujum-e-fikr mein dil ko lahu lahu kar lein ghazal mein tab kahin ramz-e-sukhan kahaa jaae haqiqatein ki jo dekhi hain kitni aankhon ne 'nazar' kahein to ise su-e-zan kahaa jaae"
Arshad NazarArshad Nazar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi