SHAWORDS

khultaa hai yuun havaa kaa daricha samajh liyaa — Saeed Ahmad

HomeSaeed AhmadGhazal
"khultaa hai yuun havaa kaa daricha samajh liyaa khud ko shajar pe aakhiri pattaa samajh liyaa bhaTke hue khayaal ki surat use mile bhulaa huaa umiid kaa rastaa samajh liyaa ik ye savaal hal nahin hotaa visaal mein kitnaa qarib aa gae kitnaa samajh liyaa milti rahegi khvaab ki saughaat khvaab mein hotaa rahegaa tai safar apnaa samajh liyaa uThne lagi hai shaam ki divaar phir kahin girne lagaa hai dhuup kaa khema samajh liyaa apnaa miraa qadim makaanon mein hai koi ek is sabab se dil kaa ujaDnaa samajh liyaa us din se paaniyon ki tarah bah rahe hain ham jis din se pattharon kaa iraada samajh liyaa"
Urdu

کھلتا ہے یوں ہوا کا دریچہ سمجھ لیا خود کو شجر پہ آخری پتا سمجھ لیا بھٹکے ہوئے خیال کی صورت اسے ملے بھولا ہوا امید کا رستا سمجھ لیا اک یہ سوال حل نہیں ہوتا وصال میں کتنا قریب آ گئے کتنا سمجھ لیا ملتی رہے گی خواب کی سوغات خواب میں ہوتا رہے گا طے سفر اپنا سمجھ لیا اٹھنے لگی ہے شام کی دیوار پھر کہیں گرنے لگا ہے دھوپ کا خیمہ سمجھ لیا اپنا مرا قدیم مکانوں میں ہے کوئی ایک اس سبب سے دل کا اجڑنا سمجھ لیا اس دن سے پانیوں کی طرح بہہ رہے ہیں ہم جس دن سے پتھروں کا ارادہ سمجھ لیا

Hindi

खुलता है यूँ हवा का दरीचा समझ लिया ख़ुद को शजर पे आख़िरी पत्ता समझ लिया भटके हुए ख़याल की सूरत उसे मिले भूला हुआ उमीद का रस्ता समझ लिया इक ये सवाल हल नहीं होता विसाल में कितना क़रीब आ गए कितना समझ लिया मिलती रहेगी ख़्वाब की सौग़ात ख़्वाब में होता रहेगा तय सफ़र अपना समझ लिया उठने लगी है शाम की दीवार फिर कहीं गिरने लगा है धूप का ख़ेमा समझ लिया अपना मिरा क़दीम मकानों में है कोई एक इस सबब से दिल का उजड़ना समझ लिया उस दिन से पानियों की तरह बह रहे हैं हम जिस दिन से पत्थरों का इरादा समझ लिया

khultā hai yuuñ havā kā darīcha samajh liyā
Saeed Ahmad
Saeed Ahmad
Saeed Ahmad
poet14 quotes

More by Saeed Ahmad

View all →
Quote
"hairat-e-paiham hue khvaab se mehmaan tire raat charaaghon mein kyuun bujh gae imkaan tire ek qadam laghzishein raah mein aa kar milin ruuTh gae tujh se phir dasht-o-bayaabaan tire ishq ke andhe khudaa husn kaa rasta dikhaa dar pe tire aa gae be-sar-o-saamaan tire nashsha thaa kaisaa ajab khvaab kahaani mein jab aankh thi raushan miri naqsh the uryaan tire ik abadi hijr ki fasl hari ho gai bhuul gae vaqt ko vaada-o-paimaan tire shauq-e-bahaar-e-khayaal chuum ke chal Daal Daal phuul pareshaan tire baagh hain viraan tire"
Saeed AhmadSaeed Ahmad
Quote
"vahi kharaaba-e-imkaan vahi sifaal-e-qadim humak rahaa hai kahin dil mein ik khayaal-e-qadim khaDaa huun jaise abhi tak azal ke ziine par nazar mein hai vahi nazzaara-e-jamaal-e-qadim firaaq-raat mein zinda rahe ki zinda thi hamaari ruuh mein sarshaari-e-visaal-e-qadim miraa vajud havaala tiraa huaa aakhir to khaa gayaa naa mujhe tu mire savaal-e-qadim ye habs-e-vaqt ye laa-intihaa ghuTan ki rutein baras ke khul bhi kabhi abr-e-ehtimaal-e-qadim 'said' kahne ko kyaa kuchh badal gayaa lekin vahi hai tu vahi zindaan-e-maah-o-saal-e-qadim"
Saeed AhmadSaeed Ahmad
Quote
"jab samaa'at tiri aavaaz talak jaati hai jaane kyuun paanv ki zanjir chhanak jaati hai phir usi ghaar ke asraar mujhe khinchte hain jis taraf shaam ki sunsaan saDak jaati hai jaane kis qarya-e-imkaan se vo lafz aataa hai jis ki khushbu se har ik satr mahak jaati hai mu-qalam khuun mein Dubotaa hai musavvir shaayad aankh ki putli se tasvir chipak jaati hai daastaanon ke zamaanon ki khabar milti hai aaine mein vo pari jab bhi jhalak jaati hai khushk patton mein kisi yaad kaa sho'la hai 'said' main bujhaataa huun magar aag bhaDak jaati hai"
Saeed AhmadSaeed Ahmad

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil