SHAWORDS

koi na ham-safar na koi rahnumaa milaa — Zyesha Usmaan

HomeZyesha UsmaanGhazal
"koi na ham-safar na koi rahnumaa milaa jis samt bhi gayaa main faqat naqsh-e-paa milaa asraar apni zaat ke mujh par khule tamaam jab aap hi main apne muqaabil khaDaa milaa puchhaa jo sham' se to use chup si lag gai badle mein raushni ke tujhe kyaa sila milaa dekhaa jo dil mein jhaank ke us ke nishaan mile ik aaine mein aur bhi ik aaina milaa vo mujh se mukhtalif thaa main us se thaa mukhtalif phir us ke dil se kaise miraa dil ye jaa milaa kuchh khvaahishein thiin shauq the thoDe se khvaab the kyaa chaahiye thaa ham ko magar kyaa se kyaa milaa shaayad ye zindagi ke hi sadmaat the ki jo har shakhs apne aap se behad khafaa milaa"
Urdu

کوئی نہ ہم سفر نہ کوئی رہنما ملا جس سمت بھی گیا میں فقط نقش پا ملا اسرار اپنی ذات کے مجھ پر کھلے تمام جب آپ ہی میں اپنے مقابل کھڑا ملا پوچھا جو شمع سے تو اسے چپ سی لگ گئی بدلے میں روشنی کے تجھے کیا صلہ ملا دیکھا جو دل میں جھانک کے اس کے نشاں ملے اک آئنے میں اور بھی اک آئنہ ملا وہ مجھ سے مختلف تھا میں اس سے تھا مختلف پھر اس کے دل سے کیسے مرا دل یہ جا ملا کچھ خواہشیں تھیں شوق تھے تھوڑے سے خواب تھے کیا چاہیے تھا ہم کو مگر کیا سے کیا ملا شاید یہ زندگی کے ہی صدمات تھے کہ جو ہر شخص اپنے آپ سے بے حد خفا ملا

Hindi

कोई न हम-सफ़र न कोई रहनुमा मिला जिस सम्त भी गया मैं फ़क़त नक़्श-ए-पा मिला असरार अपनी ज़ात के मुझ पर खुले तमाम जब आप ही मैं अपने मुक़ाबिल खड़ा मिला पूछा जो शम' से तो उसे चुप सी लग गई बदले में रौशनी के तुझे क्या सिला मिला देखा जो दिल में झाँक के उस के निशाँ मिले इक आइने में और भी इक आइना मिला वो मुझ से मुख़्तलिफ़ था मैं उस से था मुख़्तलिफ़ फिर उस के दिल से कैसे मिरा दिल ये जा मिला कुछ ख़्वाहिशें थीं शौक़ थे थोड़े से ख़्वाब थे क्या चाहिए था हम को मगर क्या से क्या मिला शायद ये ज़िंदगी के ही सदमात थे कि जो हर शख़्स अपने आप से बेहद ख़फ़ा मिला

koī na ham-safar na koī rahnumā milā
Z
Zyesha Usmaan
Zyesha Usmaan
poet18 quotes

More by Zyesha Usmaan

View all →
Quote
"tire hi rahm-o-karam pe zinda tujhi se ghaafil the 'umr bhar ham hamin ne yaa-rab ye rah chuni thi to kyon na hote yuun dar-ba-dar ham jahaan ne Thukraa diyaa ho jis ko vo phir bhalaa kis ke dar pe jaate tiri hi jaanib thaa lauT aanaa so aa gae hain jhukaae sar ham jo yaad aaiin khataaein apni qusur apne gunaah apne jabin nadaamat se jhuk gai hai hue hain ashkon se tar-ba-tar ham na ham ko fariyaad kaa saliqa na iltijaa kaa shu'ur maulaa tu apne mangton ki laaj rakh le hain sar-ba-sajda is aas par ham"
Z
Zyesha Usmaan
Quote
"kis samt baDh rahe hain qadam kuchh pataa nahin tanhaa safar kaa mujh ko koi tajraba nahin ai dil dayaar-e-ghair se vaapas chale-chalo is shahr mein milegaa koi ham-navaa nahin kaisaa ye marhala hai ki ik dusre se ham kahne ko aashnaa hain magar aashnaa nahin ham ko hi tere baa'd na kuchh raas aa sakaa duniyaa mein dil lagaane ko varna thaa kyaa nahin aise to TuTte nahin chaahat ke silsile paiham bhulaane se to koi bhultaa nahin ai khvaab-e-khush-numaa tiri hasrat bajaa magar aankhon kaa khush-numaai pe ab haq rahaa nahin dil ik khizaan-rasida chaman hai ki jis mein phir taa-'umr aarzu kaa koi gul khilaa nahin"
Z
Zyesha Usmaan
Quote
"aankh mein ashk kaa jis tarh sitaara chamke kaash us tarh muqaddar bhi hamaaraa chamke koi hasrat koi khvaahish na adhuri rah jaae khvaab chamke jo agar saare kaa saaraa chamke bujh gae jo bhi diye vaqt ki is aandhi mein un ki qismat kaa sitaara bhi dubaara chamke daagh jitne bhi mile tum se mujhe ulfat mein hai du'aa meri vo har daagh tumhaaraa chamke vo ho gulshan mein to gulshan ki fazaa raushan ho vo ho manzar mein to har ek nazaara chamke zindagi tu ne diye sirf khasaare ham ko ham khasaaron kaa magar le ke sahaaraa chamke aankh aise hi nahin hoti hai nam har lahza us ne chaahaa thaa ki dariyaa kaa kinaara chamke muntazir huun main kisi roz du'aaon ke 'evaz mere daaman mein bhi qudrat kaa ishaara chamke"
Z
Zyesha Usmaan
Quote
"kyaa bataaun ki kyaa thaa aankhon mein qahr koi bapaa thaa aankhon mein ek sannaaTaa saa thaa aankhon mein jaise tufaan chhupaa thaa aankhon mein dil mein aatish-fishaan thaa zakhm koi aur dhuaan uTh rahaa thaa aankhon mein jis ke dam se thi raushni vo hi khvaab chubhne lagaa thaa aankhon mein dard Dhalne lage the ashkon mein zabt TuuTaa milaa thaa aankhon mein guzre vaqton ki har masarrat kaa 'aks dhundlaa gayaa thaa aankhon mein khauf maayusi bebasi vahshat karb kaa silsila thaa aankhon mein"
Z
Zyesha Usmaan

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari