"jang mein kaam 'alam-daar nahin aa sakte phir bhi in haathon mein hathiyaar nahin aa sakte kam zaminon pe chalaa huun main faqiron ki tarah mere raston pe zamin-daar nahin aa sakte aap ke aane ki khabron pe yaqin kaise karun subh ko gaanv mein akhbaar nahin aa sakte ban ke maarich pukaaro ho magar raam qasam aise dhoke mein samajh-daar nahin aa sakte main zarurat pe akelaa thaa lihaazaa 'aalok' mujh ko paane mire haqdaar nahin aa sakte"
kuchh roz ho gae hain kiye bevafaai ko — Alok
"kuchh roz ho gae hain kiye bevafaai ko kuchh aur 'ishq karne hain haajat-ravaai ko karte na qat' ham ye ta'alluq to aur kaun aage khaDaa huaa thaa tiri rahnumaai ko le kar maraz ye aap bhi masjid mein jaaiye aaraam kuchh davaa se nahin paarsaai ko hogaa na mujh se 'ishq dubaara kisi tarah karte rahe jo yaad miri kaj-adaai ko jo tisraa hai fard masaail kaa hai sabab she'r-o-sukhan se kaam nahin do-tihaai ko hanste the jo sukhan pe ye 'aalok' hain vahi ab dekhte hain duur se teri rasaai ko"
کچھ روز ہو گئے ہیں کئے بے وفائی کو کچھ اور عشق کرنے ہیں حاجت روائی کو کرتے نہ قطع ہم یہ تعلق تو اور کون آگے کھڑا ہوا تھا تری رہنمائی کو لے کر مرض یہ آپ بھی مسجد میں جائیے آرام کچھ دوا سے نہیں پارسائی کو ہوگا نہ مجھ سے عشق دوبارہ کسی طرح کرتے رہے جو یاد مری کج ادائی کو جو تیسرا ہے فرد مسائل کا ہے سبب شعر و سخن سے کام نہیں دو تہائی کو ہنستے تھے جو سخن پہ یہ آلوکؔ ہیں وہی اب دیکھتے ہیں دور سے تیری رسائی کو
कुछ रोज़ हो गए हैं किए बेवफ़ाई को कुछ और 'इश्क़ करने हैं हाजत-रवाई को करते न क़त' हम ये त'अल्लुक़ तो और कौन आगे खड़ा हुआ था तिरी रहनुमाई को ले कर मरज़ ये आप भी मस्जिद में जाइए आराम कुछ दवा से नहीं पारसाई को होगा न मुझ से 'इश्क़ दुबारा किसी तरह करते रहे जो याद मिरी कज-अदाई को जो तीसरा है फ़र्द मसाइल का है सबब शे'र-ओ-सुख़न से काम नहीं दो-तिहाई को हँसते थे जो सुख़न पे ये 'आलोक' हैं वही अब देखते हैं दूर से तेरी रसाई को

More by Alok
View all →"bujh jaaein agar aap mohabbat ke diye hain jalte hi raheinge jo zarurat ke diye hain ham se ye lavein aur lahu maang rahein hain ham log udaasi ki 'imaarat ke diye hain jalte bhi nahin Thiik se bujhte bhi nahin hain go dil ki jagah chaar nadaamat ke diye hain divaar kaa sar piiT havaa-daar dariche ham bujhne nahin vaale aziyyat ke diye hain donon ke badan ki hai zarurat unhein 'aalok' varna na jaleinge jo rifaaqat ke diye hain"
"mujh se pataa na puchh vo kis jaa hai aaj-kal imkaan us ke hone kaa dariyaa ke paas hai duniyaa 'ajib shai hai ki sab jaante hue mujh se udaas shakhs ke aage udaas hai us ki udaasiyon kaa sabab jaantaa huun main aur ye bhi jaantaa huun vo kitnaa udaas hai teraa badan bhi meri tarah zard zard hai ye aur baat hai tu zaraa khush-libaas hai"
"jo tere zehn mein zaalim ki taraf-daari hai chaaraagar DhunD mire dost ye bimaari hai us ne samjhaa thaa mohabbat hai miraa us pe karam main bhi kahtaa to bhalaa kaise ravaadaari hai husn vaalon se koi rabt nahin rakhte hain 'ishq par zor hai bas 'ishq ki tayyaari hai shauq-e-dil us pe 'ayaan hone nahin denaa hai masala ab ke mohabbat mein nigah-daari hai ik ghazal aur kahungaa ki abhi bhi 'aalok' us ki khaatir jo mire dil mein vafaadaari hai"
"baghair naav ke dariyaa ko paar karnaa hai safar ke saath mujhe intizaar karnaa hai visaal-e-yaar ki yaadon pe guftugu kiije tavil hijr agar khush-gavaar karnaa hai vo apne lab bhi mire lab ke paas laaegaa jabin chuum use sogvaar karnaa hai udaas laDkiyon ko marg-e-naa-gahaan se qabl gharon ki qaid se yaa-rab faraar karnaa hai nami zamin ki paanv se chuum kar 'aalok' nadi nadi ko use mauj-daar karnaa hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"