SHAWORDS

kucha-gardi mein javaani jaaegi — Dil Shahjahanpuri

"kucha-gardi mein javaani jaaegi khaak ho kar zindagaani jaaegi miT nahin saktaa hamaare dil kaa daagh qabr mein bhi ye nishaani jaaegi sach hai meri baat kaa kyaa e'tibaar sach kahungaa jhuuT jaani jaaegi hazrat-e-'dil' jab buDhaapaa aaegaa khair-maqdam ko javaani jaaegi"
Urdu

کوچہ گردی میں جوانی جائے گی خاک ہو کر زندگانی جائے گی مٹ نہیں سکتا ہمارے دل کا داغ قبر میں بھی یہ نشانی جائے گی سچ ہے میری بات کا کیا اعتبار سچ کہوں گا جھوٹ جانی جائے گی حضرت دلؔ جب بڑھاپا آئے گا خیر مقدم کو جوانی جائے گی

Hindi

कूचा-गर्दी में जवानी जाएगी ख़ाक हो कर ज़िंदगानी जाएगी मिट नहीं सकता हमारे दिल का दाग़ क़ब्र में भी ये निशानी जाएगी सच है मेरी बात का क्या ए'तिबार सच कहूँगा झूट जानी जाएगी हज़रत-ए-'दिल' जब बुढ़ापा आएगा ख़ैर-मक़्दम को जवानी जाएगी

kūcha-gardī meñ javānī jā.egī
Dil Shahjahanpuri
Dil Shahjahanpuri
Dil Shahjahanpuri
poet23 quotes

More by Dil Shahjahanpuri

View all →
Quote
"husn ne maan liyaa qaabil-e-taazir mujhe nazar aai hai mohabbat ki ye taqsir mujhe kyuun na ho baada-e-sar-josh ki tauqir mujhe mil gai pir-e-kharaabaat se tahrir mujhe jalva-e-husn ke mafhum pe jab ghaur kiyaa ek dhundli si nazar aai hai tasvir mujhe ab miri vahshat-e-rusvaa kaa 'ajab 'aalam hai kar diyaa aap ne vaabasta-e-zanjir mujhe be-takalluf rukh-e-zebaa se uThaae vo naqaab husn khud paaegaa ek paikar-e-tasvir mujhe zindagi ik nae 'aalam mein nazar aati hai le chali aaj kahaan gardish-e-taqdir mujhe khich gai dil-kashi-e-husn mari nazron mein ji bahalne ko mili aap ki tasvir mujhe zulf-e-shab-gun rukh-e-anvar ki sataaish ko sivaa koi mazmun na milaa qaabil-e-tahrir mujhe husn-e-dilkash ke talavvun pe nazar jab pahunchi na rahaa phir gila-e-gardish-e-taqdir mujhe"
Dil ShahjahanpuriDil Shahjahanpuri
Quote
"tamkin hai aur husn-e-garebaan hai aur ham khuddaariyon kaa khvaab-e-pareshaan hai aur ham saahil se duur gharq hui kashti-e-umid maujon ko chheDtaa huaa tufaan hai aur ham kis ne harim-e-naaz kaa parda ulaT diyaa nazron mein ek sho'la-e-larzaan hai aur ham teri tajalliyaan hain jahaan tak nazar gai asraar-e-kaaenaat kaa 'irfaan hai aur ham baalin se kaun mahv-e-tabassum guzar gayaa ab har nazar bahaar bad-amaan hai aur ham vaaraftagi-e-'ishq ne pahunchaa diyaa kahaan khaamosh ik fazaa-e-bayaabaan hai aur ham ai 'dil' ye sun rahe hain ki duniyaa badal gai ab tak unhin hadon mein bayaabaan hai aur ham"
Dil ShahjahanpuriDil Shahjahanpuri
Quote
"be-sud hai ye josh-e-girya ai shama sahar ho jaane tak chhinTaa tire ashk-e-paiham kaa pahunchaa na kabhi parvaane tak ai ahl-e-nazar meri hasti sab kuchh thi kabhi ab kuchh bhi nahin zinda huun magar mehmaan-e-baqaa ik saans ke aane jaane tak haan ghaur se ik khuddaar nazar apne hi garebaan par naaseh kyaa jaane rahegaa kis had mein divaana tire samjhaane tak ai khaak-e-pareshaan ke zarro aaghosh mein tum mujh ko le lo tamkin-o-khudi ko Thukraataa pahunchaa huun main viraane tak aashufta nizaam-e-hasti hai kuchh aur na barham ho jaae mashshsaata-e-fitrat ke haathon gesu-e-butaan suljhaane tak vaada hai magar kis aalam mein ik shokh-e-taghaaful fitrat kaa jab laila-e-shab ke bal khaate gesu utar aaein shaane tak"
Dil ShahjahanpuriDil Shahjahanpuri
Quote
"maayus-e-azal huun ye maanaa naakaam-e-tamannaa rahnaa hai jaate ho kahaan rukh pher ke tum mujh ko to abhi kuchh kahnaa hai khincheinge vahaan phir sard aahein aankhon se lahu phir bahnaa hai afsaana kahaa thaa jo ham ne dohraa ke vahin tak kahnaa hai dushvaar bahut ye manzil thi mar miT ke tah-e-turbat pahunche har qaid se ham aazaad hue duniyaa se alag ab rahnaa hai rakhtaa hai qadam is kucha mein zarre hain qayaamat-zaa jis ke anjaam-e-vafaa hai nazron mein aaghaaz hi se dukh sahnaa hai ai paik-e-ajal tere haathon aazaad-e-taalluq ruuh hui taa-hashr badal saktaa hi nahin ham ne vo libaas ab pahnaa hai ai girya-e-khun taasir dikhaa ai josh-e-fughaan kuchh himmat kar rangin ho kisi kaa daaman bhi ashkon kaa yahaan tak bahnaa hai apnaa hi savaal ai 'dil' hai javaab is bazm mein aakhir kyaa kahiye kahnaa hai vahi jo sunnaa hai sunnaa hai vahi jo kahnaa hai"
Dil ShahjahanpuriDil Shahjahanpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil