SHAWORDS

kyaa yaadgaar dil pe lagaai kharaash hai — Mohammad Iftikharul Haq Samaj

"kyaa yaadgaar dil pe lagaai kharaash hai jarraah-e-kam-hunar mujhe teri talaash hai saiqal-gar-e-zamaan tu zaraa mo'jiza dikhaa yaadon ke aaine mein koi paash paash hai maazi ki sarhadon se pare jaa ke ek din puchhungaa apne aap se kyaa bud-o-baash hai kyaa kijiyegaa paDh ke miri khud-navisht ko likkhaa varaq varaq pe agar aur kaash hai is kashmakash mein rahte hain fikr-o-qalam sadaa rakhnaa bhi raaz hai use karnaa bhi faash hai be-rozgaar hijr ke taajir ne kar diyaa mazdur-e-vasl huun so talaash-e-maaash hai qaab-e-jahaan pe rakkhe phalon ne mujhe kahaa mehmaan tere hisse mein ik-aadh qaash hai"
Urdu

کیا یادگار دل پہ لگائی خراش ہے جراح کم ہنر مجھے تیری تلاش ہے صیقل گر زماں تو ذرا معجزہ دکھا یادوں کے آئنے میں کوئی پاش پاش ہے ماضی کی سرحدوں سے پرے جا کے ایک دن پوچھوں گا اپنے آپ سے کیا بود و باش ہے کیا کیجئے گا پڑھ کے مری خود نوشت کو لکھا ورق ورق پہ اگر اور کاش ہے اس کشمکش میں رہتے ہیں فکر و قلم صدا رکھنا بھی راز ہے اسے کرنا بھی فاش ہے بے روزگار ہجر کے تاجر نے کر دیا مزدور وصل ہوں سو تلاش معاش ہے قاب جہاں پہ رکھے پھلوں نے مجھے کہا مہمان تیرے حصے میں اک آدھ قاش ہے

Hindi

क्या यादगार दिल पे लगाई ख़राश है जर्राह-ए-कम-ए-हुनर मुझे तेरी तलाश है सैक़ल-गर-ए-ज़माँ तू ज़रा मो'जिज़ा दिखा यादों के आइने में कोई पाश पाश है माज़ी की सरहदों से परे जा के एक दिन पूछूँगा अपने आप से क्या बूद-ओ-बाश है क्या कीजिएगा पढ़ के मिरी ख़ुद-नविश्त को लिक्खा वरक़ वरक़ पे अगर और काश है इस कश्मकश में रहते हैं फ़िक्र-ओ-क़लम सदा रखना भी राज़ है उसे करना भी फ़ाश है बे-रोज़गार हिज्र के ताजिर ने कर दिया मज़दूर-ए-वस्ल हूँ सो तलाश-ए-मआश है क़ाब-ए-जहाँ पे रक्खे फलों ने मुझे कहा मेहमान तेरे हिस्से में इक-आध क़ाश है

kyā yādgār dil pe lagā.ī ḳharāsh hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
poet11 quotes

More by Mohammad Iftikharul Haq Samaj

View all →
Quote
"kohsaar-e-hunar mujh se abhi sar na huaa thaa main chaak-e-garebaan kaa rafu-gar na huaa thaa divaar ki tahrir ne koshish to bahut ki aamokhta aksar mujhe azbar na huaa thaa duniyaa ke liye mujh mein kashish kis liye hoti gardish mein rahaa main kabhi mehvar na huaa thaa maalum use khuub the ik sar ke masaarif divaar banaa shakhs kabhi dar na huaa thaa us ke to makaan jaise khad-o-khaal nahin the jab tak ki yahi dasht miraa ghar na huaa thaa daarogha-e-gham khuub nazar rakhte the lekin ik saaneha is dil pe muqarrar na huaa thaa har niind ke pahlu mein kai phuul the lekin taabir se har khvaab moattar na huaa thaa is baar sitaaron ne bhi 'atiyaat diye the is baar magar chaand munavvar na huaa thaa"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj
Quote
"saahil ki himaayat mein jazire nikal aae paani se baghaavat ke vasile nikal aae jab maand paDin yaad ke suraj ki shuaaein nisyaan ki khalaaon mein sitaare nikal aae tai ho gai taabir se jab in ki sagaai khvaabon se mire aur bhi rishte nikal aae kis niind se jaagaa huun ki har jeb se meri fardaa mein chhupaae hue sikke nikal aae pairaahan-e-alfaaz badalne ke amal mein kuchh maani lakiron ke badan se nikal aae Daalaa jo kabhi dhuup ke saanche mein badan ko kaamil mujhe karne kai saae nikal aae kholaa jo khalish ne kabhi sanduq-e-judaai imkaan se likhe vasl ke nuskhe nikal aae leTaa thaa main ik dasht-e-tayaqqun mein akelaa eDi bhi na ragDi thi ki chashme nikal aae yuun zabt ki muTThi se bikharte gae daane har gumbad-e-khvaahish se parinde nikal aae"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj
Quote
"diye andheron ne baDh kar sahaare khvaabon ko siraat-e-shab se guzarte hamaare khvaabon ko kuchh aur bojh uThaanaa bhi un ke zimme hai koi to aankhon ke sar se utaare khvaabon ko chalaa gayaa hai jo nindein bikher kar meri bulaaun kaise ki aa kar sanvaare khvaabon ko kahin khalaa-e-adam mein zuhur-e-nur huaa dikhaai dene lage hain nazaare khvaabon ko kahin jazira-e-imkaan kahin pe taabirein bulaa rahe hain bahut se kinaare khvaabon ko chhuDaa ke haath hue ratjagon mein gum aise talaash karte hain ab istikhaare khvaabon ko mizaaj us ne bigaaDaa hai umr bhar in kaa so ab ye vaqt ki marzi sudhaare khvaabon ko"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj
Quote
"kuchh the mere haathon mein kuchh muqim siine mein ab savaar hain saare ajnabi safine mein karb se hue saiqal aks kar gae mohmal aarzu ke aaine aas ke khazine mein koi ek lamha hai jis mein din samaa jaaein saal Duub sakte hain sirf ik mahine mein aarzu ki hiddat se barf-e-tishnagi pighli umr ghul gai lekin chand ghunT piine mein haath jab uThaate hain un ke but nahin girte munfarid munaafiq hain ziist ke madine mein pesha-var mahaarat se ijtinaab bartaa hai sozan-e-muqaddar ne mere zakhm siine mein un ko mai takhayyul ki raas jab bhi aa jaae lafz raqs karte hain dil ke aabgine mein"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj
Quote
"pahle mujhe nisaab se ghaafil kiyaa gayaa phir imtihaan ke vaaste qaail kiyaa gayaa saari sipaah dusri jaanib chali gai mujh ko jo mere madd-e-muqaabil kiyaa gayaa phir khvaahishon ko dil ki sifaarish pe ek din khvaabon ki khaanqaah mein daakhil kiyaa gayaa kuchh kashtiyon ne mil ke jazire banaa liye dariyaa jo saahilon ke mumaasil kiyaa gayaa aainda marhabon se ulajhnaa nahin kabhi khaibar se kyaa sabaq yahi haasil kiyaa gayaa shauq-e-safar ke izn-e-junun se milaap par kitne hi raaston ko manaazil kiyaa gayaa tafsir matn-e-khauf ki likkhi na jaa saki vahshat bharaa sahifa jo naazil kiyaa gayaa reg-e-talab ko sath-e-qanaaat pe Daal kar dariyaa-e-mumkinaat kaa saahil kiyaa gayaa lafzon ki shakl khuun bahegaa tamaam umr main tez dhaar vaqt se ghaayal kiyaa gayaa"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj
Quote
"ajab aaraam hai jis ne thakan se chuur kar Daalaa safar ki tishnagi se jism ko maamur kar Daalaa usi ne laa-makaan ki tirgi ko irtiqaa bakhshaa makaan ko ek din jis ne achaanak nuur kar Daalaa takhayyul ko nazar aane lage the chaak lafzon ke shikasta pairahan saalim badan se duur kar Daalaa kinaare haath malte rah gae dariyaa ke paani mein bahut ghul-mil gae jis se usi ne duur kar Daalaa zamaana munharif hone lagaa kohna rivaayat se huval-haq bhi kahaa jis ne use mansur kar Daalaa guzarte vaqt ne Taanke lagaae mere zakhmon ko rukaa kuchh soch kar aur phir unhein naasur kar Daalaa utar kar sath se gahraai mein rishte nae DhunDun samundar ki rifaaqat ne mujhe majbur kar Daalaa"
Mohammad Iftikharul Haq SamajMohammad Iftikharul Haq Samaj

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari