Quote
"daryaaft kar liyaa hai basaayaa nahin mujhe saamaan rakh diyaa hai sajaayaa nahin mujhe kaisaa ajiib shakhs hai uTh kar chalaa gayaa barbaad ho gayaa to bataayaa nahin mujhe vo mere khvaab le ke sirhaane khaDaa rahaa main so rahi thi us ne jagaayaa nahin mujhe baazi to us ke haath thi phir bhi na jaane kyuun mohra samajh ke us ne baDhaayaa nahin mujhe us ne hazaar ahd-e-mohabbat ke baavajud jo raaz puchhti huun bataayaa nahin mujhe vo intihaa-e-shauq thi yaa intihaa-e-zabt tanhaai mein bhi haath lagaayaa nahin mujhe"
