"tez hai meraa qalam talvaar se dost khaaif hain miri raftaar se jeb mein kuchh bhi nahin thaa is liye lauT kar main aa gayaa baazaar se jholiyaan bhar bhar ke jaate hain sabhi nausha-e-lajpaal ke darbaar se phir rasaai mein nahin rah paayaa vo chaand uupar ho gayaa divaar se aap ghusse mein rahein aur mere dost luuT kar sab le gae hain pyaar se ek dil TuuTaa huaa hai ek main aur kuchh jazbaat hain be-kaar se thoDaa thoDaa khud se main khaaif rahaa thoDaa thoDaa ghaib ke asraar se"
lauT aaegaa dekhnaa mire dost — Ezaz Kazmi
"lauT aaegaa dekhnaa mire dost jagmagaaegaa raasta mire dost hazrat-e-'daagh' ke main saae mein huun hazrat-e-'jaun-eliyaa' mire dost kuchh gunahgaar bhi hain yaar mire aur hain chand paarsaa mire dost main tujhe chhoD kar na jaataa magar aaDe aai miri anaa mire dost main miraa kamra meri vahshat tu khaamushi shor ik khalaa mire dost kabhi fikr-e-maaash aur kabhi dil dukh hain mere judaa judaa mire dost yaar 'eazaaz' chal nikalte hain maut ne mujh se kah diyaa mire dost"
لوٹ آئے گا دیکھنا مرے دوست جگمگائے گا راستہ مرے دوست حضرت داغؔ کے میں سائے میں ہوں حضرت جون ایلیاؔ مرے دوست کچھ گنہ گار بھی ہیں یار مرے اور ہیں چند پارسا مرے دوست میں تجھے چھوڑ کر نہ جاتا مگر آڑے آئی مری انا مرے دوست میں مرا کمرہ میری وحشت تو خامشی شور اک خلا مرے دوست کبھی فکر معاش اور کبھی دل دکھ ہیں میرے جدا جدا مرے دوست یار اعزازؔ چل نکلتے ہیں موت نے مجھ سے کہہ دیا مرے دوست
लौट आएगा देखना मिरे दोस्त जगमगाएगा रास्ता मिरे दोस्त हज़रत-ए-'दाग़' के मैं साए में हूँ हज़रत-ए-'जौन-एलिया' मिरे दोस्त कुछ गुनहगार भी हैं यार मिरे और हैं चंद पारसा मिरे दोस्त मैं तुझे छोड़ कर न जाता मगर आड़े आई मिरी अना मिरे दोस्त मैं मिरा कमरा मेरी वहशत तू ख़ामुशी शोर इक ख़ला मिरे दोस्त कभी फ़िक्र-ए-मआ'श और कभी दिल दुख हैं मेरे जुदा जुदा मिरे दोस्त यार 'ए'ज़ाज़' चल निकलते हैं मौत ने मुझ से कह दिया मिरे दोस्त
More by Ezaz Kazmi
View all →"vo tark-e-ishq kaa thaa raasta chalaa gayaa main bilaa-iraada hi jis par chalaa chalaa gayaa main vo shakhs yunhi kahin raaste mein mil gayaa thaa palak jhapak ke use dekhtaa chalaa gayaa main miri hayaat mein ik dusri mohabbat thi use bhi aur koi mil gayaa chalaa gayaa main khabar nahin ki yahaan aur kaun hai maujud pata karo ki yahin par huun yaa chalaa gayaa main phir us ke baad kahaan thaa mujhe nahin maalum faqir-e-ishq se le kar duaa chalaa gayaa main"
"tire liye to mire paas bas duaa hai yaar tu is zamin pe bahut unchaa uD rahaa hai yaar ye khiDkiyaan to mujhe aur kah rahi hain kuchh samajh mire dil naadaan ye huaa hai yaar ye duniyaa-daar mujhe kis tarah se dekhte hain ki ye bashar hai farishta hai devtaa hai yaar agar ye shauq nahin hai to kyaa hai batlaa de tu kis liye mujhe khiDki se jhaanktaa hai yaar tu jis ko DhunD rahaa hai tujhe milegaa nahin vo shakhs mujh se kahin kab kaa jaa chukaa hai yaar ye tirgi ki hain aankhein ki hijr ki lau hai jo jal rahaa hai vahaan saamne diyaa hai yaar tu jaanaa chaahtaa hai to tujhe ijaazat hai magar pataa to chale main ne kyaa kahaa hai yaar"
"zinda rakhni hai mujhe ijz ke meaar ki dhun ek sandesa hai ye hukm se inkaar ki dhun tu palaT aa ki tujhe meri zarurat paDegi tujh ko zinda nahin chhoDegi ye be-kaar ki dhun dost mansur se hoti hui ham tak pahunchi haq ki aavaaz pe DaT jaate hue daar ki dhun aap aate hain chale jaate hain milte hi nahin dil mein rah jaati hai har baar hi izhaar ki dhun ai khudaa izn mile teri taraf aane kaa kitni betaab hai ab tere gunahgaar ki dhun shahr chhoDaa hai tire ishq ki vahshat ke sabab jaane le jaae kahaan ab dil-e-bimaar ki dhun"
"nahin ki zinda hai bas ek meri zaat mein ishq main sach kahun to faqat hai hi kaaenaat mein ishq main ishq-zaad charaaghon ki bazm mein rahaa huun so jal rahaa hai abhi mere daaein haat mein ishq vo husn nuur ki baarish mein jab nahaa rahaa thaa machal rahaa thaa bahut tab tajalliyaat mein ishq main sochtaa huun ki kyaa hotaa dahr mein har su agar na hotaa kahin tere shash-jahaat mein ishq qalam se likkhaa gayaa hai varaq pe harf-e-sukut taDap rahaa hai miri nilgun davaat mein ishq kahin pe zinda hai ye jiit ke har ik baazi kahin pe raushaniyaan kar rahaa hai maat mein ishq kahin hain duniyaa ki ranginiyaan taaaqub mein kahin jhalaktaa hai meri har ek baat mein ishq"
"tire baghair nahin dekh jhaank kar koi ye dil vo dil thaa ki jis kaa nahin thaa dar koi bataa de vahshaton ki fauj ko chali jaae bataa de jaa ke nahin yuun bhi aaj ghar koi main jaa rahaa huun fasilo, darkhto tasviro so tum mein to nahin hai meraa ham-safar koi use kaho ki kisi ko tiri zarurat hai kaho ki jaagtaa rahtaa hai raat-bhar koi ye dasht dasht nahin lag rahaa mujhe 'eazaaz' ki main ne chhoDi nahin us ki rahguzar koi"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"