"main jo duniyaa ki kahaani mein na khoyaa hotaa mere khaame ne musalsal mujhe likkhaa hotaa masala sakht sahi aur na uljhaa hotaa vaqt ne bhi jo mire zehn se sochaa hotaa us ne pyaaraa saa koi khat mujhe likkhaa hotaa kaash kuchh din ke liye mujh se vo bichhDaa hotaa niind aankhon se na uD jaati to achchhaa hotaa kam se kam khvaab mein us shokh ko dekhaa hotaa teri yaadon ne kisi raat ye mohlat hi na di ki main do-chaar ghaDi ko bhi akelaa hotaa itnaa naazuk thaa ki chhu lete agar ham us ko vo bhi shishe ki tarah farsh pe bikhraa hotaa kaaTte 'umr tire aane ki ummid mein ham tere raste mein agar vaqt bhi Thahraa hotaa kyaa buraa hai jo giraayaa hai havaaon ne use zard pattaa thaa kisi roz to TuuTaa hotaa kitni be-sud thi ye chup ki miri baaton ko sun bhi letaa to koi shakhs na samjhaa hotaa koi sikka to nahin the ki na milte 'khaavar' kho gae the to kisi ne hamein DhunDaa hotaa"
mahsus ho rahaa hai jo gham meri zaat kaa — Badiuzzaman Khawar
"mahsus ho rahaa hai jo gham meri zaat kaa sach puchhiye to dard hai vo kaaenaat kaa ghar ki ghuTan se duur nikal jaae aadmi saDkon pe khauf ho na agar haadsaat kaa apne badan ko aur thakaao na dosto Dhal jaae din to bojh uThaanaa hai raat kaa ik dusre ko zahr pilaate hain log ab baaton mein shahd ghol ke qand-o-nabaat kaa har shakhs tere shahr mein mujrim banaa huaa phirtaa hai DhunDhtaa huaa rishta najaat kaa is mein kisi kaa aks na chehra dikhaai de dhundlaa gayaa hai aaina 'khaavar' hayaat kaa"
محسوس ہو رہا ہے جو غم میری ذات کا سچ پوچھیے تو درد ہے وہ کائنات کا گھر کی گھٹن سے دور نکل جائے آدمی سڑکوں پہ خوف ہو نہ اگر حادثات کا اپنے بدن کو اور تھکاؤ نہ دوستو ڈھل جائے دن تو بوجھ اٹھانا ہے رات کا اک دوسرے کو زہر پلاتے ہیں لوگ اب باتوں میں شہد گھول کے قند و نبات کا ہر شخص تیرے شہر میں مجرم بنا ہوا پھرتا ہے ڈھونڈھتا ہوا رشتہ نجات کا اس میں کسی کا عکس نہ چہرہ دکھائی دے دھندلا گیا ہے آئنہ خاورؔ حیات کا
महसूस हो रहा है जो ग़म मेरी ज़ात का सच पूछिए तो दर्द है वो काएनात का घर की घुटन से दूर निकल जाए आदमी सड़कों पे ख़ौफ़ हो न अगर हादसात का अपने बदन को और थकाओ न दोस्तो ढल जाए दिन तो बोझ उठाना है रात का इक दूसरे को ज़हर पिलाते हैं लोग अब बातों में शहद घोल के क़ंद-ओ-नबात का हर शख़्स तेरे शहर में मुजरिम बना हुआ फिरता है ढूँढता हुआ रिश्ता नजात का इस में किसी का अक्स न चेहरा दिखाई दे धुँदला गया है आइना 'ख़ावर' हयात का

More by Badiuzzaman Khawar
View all →"siyaah naama-e-aamaal ik bahaana thaa kisi tariqe se maqsad mujhe jalaanaa thaa sunaa rahaa thaa har ik nakhl daastaan koi har ik makaan ke lab par koi fasaana thaa libaas mein vo hasin aur purkashish Thahre sharir nazron se jin ko badan chhupaanaa thaa jagaa diyaa thaa use bhi azaan ke Dar ne mujhe bhi subh-savere safar pe jaanaa thaa bichhaa huaa thaa samundar nigaah ke aage chamakti ret kaa manzar bhi kyaa suhaanaa thaa pahunch rahaa huun main taakhir se sar-e-manzil ki qaafile ko mujhe saath le kar aanaa thaa koi panaah mayassar hai aaj 'khaavar' ko na kal jahaan mein kahin qais kaa Thikaanaa thaa"
"kis liye dasht mein ghar koi banaayaa jaae paas kyaa hai jo fasilon mein chhupaayaa jaae main jazira huun miri pyaas bujhaane ke liye ik samundar mire atraaf bichhaayaa jaae kisi sahraa mein bahaa jaae nadi ki surat abr ban kar kisi kohsaar pe chhaayaa jaae roz chaTke kisi ummid kaa ghuncha dil mein roz palkon pe koi khvaab sajaayaa jaae dukh se jalte hue is daur mein jiine se baDaa mo'jiza kaunsaa duniyaa ko dikhaayaa jaae baat kyaa hai ki ba-in-khvaari-o-aashufta-dili chhoD kar ham se tiraa shahr na jaayaa jaae raushni huun to kahaa jaae charaagh-e-manzil sang huun to mujhe raste se haTaayaa jaae puchhte rahte hain ye log na jaane kyaa kyaa ham se to naam bhi apnaa na bataayaa jaae rah gai hai yahi ik ham-safari ki surat bojh ho khvaah kisi kaa bhi uThaayaa jaae haae ye dhuup machaataa huaa saavan jis se kisi chaTTaan pe sabza na ugaayaa jaae aaj mar jaaun agar main to 'ajab kyaa 'khaavar' sau baras baa'd miraa sog manaayaa jaae"
"gum huun khalaaon mein ki sar-e-aasmaan rahein bichhDe jo ham zamin se to jaane kahaan rahein haail hazaar raah mein sang-e-giraan rahein dariyaa hain ham to kyon na musalsal ravaan rahein ye chaahte hue bhi ki ban jaaein aaina aakhir badan ke parde mein kab tak nihaan rahein ghurbat ho ham pe sahl jo yaadon ke ruup mein tum bhi hamaare saath raho ham jahaan rahein ji chaahtaa hai raunaq-e-baazaar dekh kar is shahr hi mein koi banaa kar makaan rahein qurbat 'ajab nahin ki dilon ko nasib ho jismon ke faasle na agar darmiyaan rahein jab marhale varaa-e-takhayyul hain aur bhi ham kyon asir-e-manzil-e-vahm-o-gumaan rahein ham bhi hain phuul ham pe zamin-e-chaman ke saath faslon ke devtaa bhi zaraa mehrbaan rahein 'khaavar' hamaare baa'd bahut hai ki chaar din lauh-e-jahaan pe sabt hamaare nishaan rahein"
"mujhe miTaataa rahaa hai ye aasmaan bahut magar zamin pe hain ab bhi mire nishaan bahut hai lutf kuchh to hai mere jadid lahje mein qadim varna hai meri bhi daastaan bahut talaash ho bhi to kyaa saaya-e-shajar ki mujhe mire liye hai ye suraj kaa saaebaan bahut ab aage un ke dilon mein hai kyaa khudaa jaane nazar to aate hain ye log mehrbaan bahut ajab nahin ki main dariyaa na paar kar paaun shikasta hai miri kashti kaa baadbaan bahut bahaae pyaar ne chashme hazaar-haa lekin hai sakht ab bhi tire dard ki chaTaan bahut pataa nahin ye mujhe aaj-kal huaa kyaa hai main apni zaat se 'khaavar' huun bad-gumaan bahut"
"kis aarzu mein nikle hain us paar kyaa kahein dekheinge jaa ke kyaa pas-e-divaar kyaa kahein kyaa ho gae tamaam kharidaar kyaa kahein kyon so gae hain shahr ke baazaar kyaa kahein sab log chal rahe the salibein liye hue thaa un mein kaun kaun gunahgaar kyaa kahein hai kaun jis ko chhaanv se hai itni dushmani rakkhe hain kis ne kaaT ke ashjaar kyaa kahein pindaar-e-dard kyaa hai ye jin ko nahin khabar un sar-khushon se lazzat-e-aazaar kyaa kahein rusvaaiyon se tujh ko bachaane ki fikr mein kyaa kyaa hue hain tere liye khvaar kyaa kahein 'khaavar' unhein ye zid hai sunaao nai ghazal ham soch mein paDe hain ki ash'aar kyaa kahein"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"