SHAWORDS

siyaah naama-e-aamaal ik bahaana thaa — Badiuzzaman Khawar

"siyaah naama-e-aamaal ik bahaana thaa kisi tariqe se maqsad mujhe jalaanaa thaa sunaa rahaa thaa har ik nakhl daastaan koi har ik makaan ke lab par koi fasaana thaa libaas mein vo hasin aur purkashish Thahre sharir nazron se jin ko badan chhupaanaa thaa jagaa diyaa thaa use bhi azaan ke Dar ne mujhe bhi subh-savere safar pe jaanaa thaa bichhaa huaa thaa samundar nigaah ke aage chamakti ret kaa manzar bhi kyaa suhaanaa thaa pahunch rahaa huun main taakhir se sar-e-manzil ki qaafile ko mujhe saath le kar aanaa thaa koi panaah mayassar hai aaj 'khaavar' ko na kal jahaan mein kahin qais kaa Thikaanaa thaa"
Urdu

سیاہ نامۂ اعمال اک بہانہ تھا کسی طریقے سے مقصد مجھے جلانا تھا سنا رہا تھا ہر اک نخل داستاں کوئی ہر اک مکان کے لب پر کوئی فسانہ تھا لباس میں وہ حسیں اور پرکشش ٹھہرے شریر نظروں سے جن کو بدن چھپانا تھا جگا دیا تھا اسے بھی اذان کے ڈر نے مجھے بھی صبح سویرے سفر پہ جانا تھا بچھا ہوا تھا سمندر نگاہ کے آگے چمکتی ریت کا منظر بھی کیا سہانا تھا پہنچ رہا ہوں میں تاخیر سے سر منزل کہ قافلے کو مجھے ساتھ لے کر آنا تھا کوئی پناہ میسر ہے آج خاورؔ کو نہ کل جہاں میں کہیں قیس کا ٹھکانا تھا

Hindi

स्याह नामा-ए-आमाल इक बहाना था किसी तरीक़े से मक़्सद मुझे जलाना था सुना रहा था हर इक नख़्ल दास्ताँ कोई हर इक मकान के लब पर कोई फ़साना था लिबास में वो हसीं और पुरकशिश ठहरे शरीर नज़रों से जिन को बदन छुपाना था जगा दिया था उसे भी अज़ान के डर ने मुझे भी सुब्ह-सवेरे सफ़र पे जाना था बिछा हुआ था समुंदर निगाह के आगे चमकती रेत का मंज़र भी क्या सुहाना था पहुँच रहा हूँ मैं ताख़ीर से सर-ए-मंज़िल कि क़ाफ़िले को मुझे साथ ले कर आना था कोई पनाह मयस्सर है आज 'ख़ावर' को न कल जहाँ में कहीं क़ैस का ठिकाना था

siyāh nāma-e-a.amāl ik bahāna thā
Badiuzzaman Khawar
Badiuzzaman Khawar
Badiuzzaman Khawar
poet20 quotes

More by Badiuzzaman Khawar

View all →
Quote
"main jo duniyaa ki kahaani mein na khoyaa hotaa mere khaame ne musalsal mujhe likkhaa hotaa masala sakht sahi aur na uljhaa hotaa vaqt ne bhi jo mire zehn se sochaa hotaa us ne pyaaraa saa koi khat mujhe likkhaa hotaa kaash kuchh din ke liye mujh se vo bichhDaa hotaa niind aankhon se na uD jaati to achchhaa hotaa kam se kam khvaab mein us shokh ko dekhaa hotaa teri yaadon ne kisi raat ye mohlat hi na di ki main do-chaar ghaDi ko bhi akelaa hotaa itnaa naazuk thaa ki chhu lete agar ham us ko vo bhi shishe ki tarah farsh pe bikhraa hotaa kaaTte 'umr tire aane ki ummid mein ham tere raste mein agar vaqt bhi Thahraa hotaa kyaa buraa hai jo giraayaa hai havaaon ne use zard pattaa thaa kisi roz to TuuTaa hotaa kitni be-sud thi ye chup ki miri baaton ko sun bhi letaa to koi shakhs na samjhaa hotaa koi sikka to nahin the ki na milte 'khaavar' kho gae the to kisi ne hamein DhunDaa hotaa"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar
Quote
"kis liye dasht mein ghar koi banaayaa jaae paas kyaa hai jo fasilon mein chhupaayaa jaae main jazira huun miri pyaas bujhaane ke liye ik samundar mire atraaf bichhaayaa jaae kisi sahraa mein bahaa jaae nadi ki surat abr ban kar kisi kohsaar pe chhaayaa jaae roz chaTke kisi ummid kaa ghuncha dil mein roz palkon pe koi khvaab sajaayaa jaae dukh se jalte hue is daur mein jiine se baDaa mo'jiza kaunsaa duniyaa ko dikhaayaa jaae baat kyaa hai ki ba-in-khvaari-o-aashufta-dili chhoD kar ham se tiraa shahr na jaayaa jaae raushni huun to kahaa jaae charaagh-e-manzil sang huun to mujhe raste se haTaayaa jaae puchhte rahte hain ye log na jaane kyaa kyaa ham se to naam bhi apnaa na bataayaa jaae rah gai hai yahi ik ham-safari ki surat bojh ho khvaah kisi kaa bhi uThaayaa jaae haae ye dhuup machaataa huaa saavan jis se kisi chaTTaan pe sabza na ugaayaa jaae aaj mar jaaun agar main to 'ajab kyaa 'khaavar' sau baras baa'd miraa sog manaayaa jaae"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar
Quote
"gum huun khalaaon mein ki sar-e-aasmaan rahein bichhDe jo ham zamin se to jaane kahaan rahein haail hazaar raah mein sang-e-giraan rahein dariyaa hain ham to kyon na musalsal ravaan rahein ye chaahte hue bhi ki ban jaaein aaina aakhir badan ke parde mein kab tak nihaan rahein ghurbat ho ham pe sahl jo yaadon ke ruup mein tum bhi hamaare saath raho ham jahaan rahein ji chaahtaa hai raunaq-e-baazaar dekh kar is shahr hi mein koi banaa kar makaan rahein qurbat 'ajab nahin ki dilon ko nasib ho jismon ke faasle na agar darmiyaan rahein jab marhale varaa-e-takhayyul hain aur bhi ham kyon asir-e-manzil-e-vahm-o-gumaan rahein ham bhi hain phuul ham pe zamin-e-chaman ke saath faslon ke devtaa bhi zaraa mehrbaan rahein 'khaavar' hamaare baa'd bahut hai ki chaar din lauh-e-jahaan pe sabt hamaare nishaan rahein"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar
Quote
"mujhe miTaataa rahaa hai ye aasmaan bahut magar zamin pe hain ab bhi mire nishaan bahut hai lutf kuchh to hai mere jadid lahje mein qadim varna hai meri bhi daastaan bahut talaash ho bhi to kyaa saaya-e-shajar ki mujhe mire liye hai ye suraj kaa saaebaan bahut ab aage un ke dilon mein hai kyaa khudaa jaane nazar to aate hain ye log mehrbaan bahut ajab nahin ki main dariyaa na paar kar paaun shikasta hai miri kashti kaa baadbaan bahut bahaae pyaar ne chashme hazaar-haa lekin hai sakht ab bhi tire dard ki chaTaan bahut pataa nahin ye mujhe aaj-kal huaa kyaa hai main apni zaat se 'khaavar' huun bad-gumaan bahut"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar
Quote
"jis taraf jaaoge ik shor sunaai degaa kahin lekin koi chehra na dikhaai degaa jaane kyaa haal nigaahon kaa vo lamha kar de jab na kuchh tere sivaa mujh ko dikhaai degaa Dubte vaqt ki aavaaz huun kar lo mahfuz phir mire baa'd ye naghma na sunaai degaa haath phailaate hue is liye Dar lagtaa hai kyaa karungaa vo agar mujh ko khudaai degaa raat ko pyaar ki saughaat mili hai jis se subh hogi to vahi zakhm-e-judaai degaa itnaa chup-chup jo paDaa hai to ghanimat jaano dil ko chheDoge to sau tarh duhaai degaa ruuh ke saath main uD jaaungaa jaane kis or jab mujhe qaid-e-badan se vo rihaai degaa haath khoe hain to kyon DhunD rahe ho 'khaavar' kyaa tumhein ghor andhere mein sujhaai degaa"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar
Quote
"kis aarzu mein nikle hain us paar kyaa kahein dekheinge jaa ke kyaa pas-e-divaar kyaa kahein kyaa ho gae tamaam kharidaar kyaa kahein kyon so gae hain shahr ke baazaar kyaa kahein sab log chal rahe the salibein liye hue thaa un mein kaun kaun gunahgaar kyaa kahein hai kaun jis ko chhaanv se hai itni dushmani rakkhe hain kis ne kaaT ke ashjaar kyaa kahein pindaar-e-dard kyaa hai ye jin ko nahin khabar un sar-khushon se lazzat-e-aazaar kyaa kahein rusvaaiyon se tujh ko bachaane ki fikr mein kyaa kyaa hue hain tere liye khvaar kyaa kahein 'khaavar' unhein ye zid hai sunaao nai ghazal ham soch mein paDe hain ki ash'aar kyaa kahein"
Badiuzzaman KhawarBadiuzzaman Khawar

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim