"har ek chiiz kaa is tarah kaal paDne lagaa miraa vatan mire dil ki tarah ujaDne lagaa jise bigaDnaa na thaa vo bhi yuun bigaDne lagaa zamin phaTne lagi aur darakht ukhaDne lagaa kisi ko rotaa huaa dekh kar jo royaa huun main har nigaah mein maanind-e-khaar gaDne lagaa jagah jagah se palastar nizaam-e-kohna kaa ye bahs kaahe ko hoti hai ab udhaDne lagaa bahut dinon se mire shahr ke har ik ghar se sadaaein aane lagi hain ki ghar ujaDne lagaa havaaein tez thiin 'iqbaal' aur kyaa kartaa yahi kiyaa ki havaaon se main bhi laDne lagaa"
main ki vaqf-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa — Iqbal Umar
"main ki vaqf-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa chaak ab tak jo garebaan na huaa thaa so huaa paar dil ke koi paikaan na huaa thaa so huaa yuun kabhi dard kaa darmaan na huaa thaa so huaa koi vaada koi paimaan na huaa thaa so huaa itnaa naadaan dil-e-naadaan na huaa thaa so huaa Dubte rahte the har roz hazaaron suraj phir bhi ashkon se charaaghaan na huaa thaa so huaa kyaa kahun laala-e-pur-khun ko ki jis ke baais mushtahar jo gham-e-insaan na huaa thaa so huaa is se pahle ki tiri yaad ke baadal chhaaein mujh ko andaaza-e-tufaan na huaa thaa so huaa hai asar meri hi aashufta-sari kaa shaayad vo mujhe dekh ke hairaan na huaa thaa so huaa haae vo ek nazar lutf-o-karam se jis ke tujh se bhi jo gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa shukriya un ke sitam kaa ki yuun hi ai 'iqbaal' aaj tak mujh pe jo ehsaan na huaa thaa so huaa"
میں کہ وقف غم دوراں نہ ہوا تھا سو ہوا چاک اب تک جو گریباں نہ ہوا تھا سو ہوا پار دل کے کوئی پیکاں نہ ہوا تھا سو ہوا یوں کبھی درد کا درماں نہ ہوا تھا سو ہوا کوئی وعدہ کوئی پیماں نہ ہوا تھا سو ہوا اتنا ناداں دل ناداں نہ ہوا تھا سو ہوا ڈوبتے رہتے تھے ہر روز ہزاروں سورج پھر بھی اشکوں سے چراغاں نہ ہوا تھا سو ہوا کیا کہوں لالۂ پرخوں کو کہ جس کے باعث مشتہر جو غم انساں نہ ہوا تھا سو ہوا اس سے پہلے کہ تری یاد کے بادل چھائیں مجھ کو اندازۂ طوفاں نہ ہوا تھا سو ہوا ہے اثر میری ہی آشفتہ سری کا شاید وہ مجھے دیکھ کے حیراں نہ ہوا تھا سو ہوا ہائے وہ ایک نظر لطف و کرم سے جس کے تجھ سے بھی جو غم دوراں نہ ہوا تھا سو ہوا شکریہ ان کے ستم کا کہ یوں ہی اے اقبالؔ آج تک مجھ پہ جو احساں نہ ہوا تھا سو ہوا
मैं कि वक़्फ़-ए-ग़म-ए-दौराँ न हुआ था सो हुआ चाक अब तक जो गरेबाँ न हुआ था सो हुआ पार दिल के कोई पैकाँ न हुआ था सो हुआ यूँ कभी दर्द का दरमाँ न हुआ था सो हुआ कोई वा'दा कोई पैमाँ न हुआ था सो हुआ इतना नादाँ दिल-ए-नादाँ न हुआ था सो हुआ डूबते रहते थे हर रोज़ हज़ारों सूरज फिर भी अश्कों से चराग़ाँ न हुआ था सो हुआ क्या कहूँ लाला-ए-पुर-ख़ूँ को कि जिस के बाइ'स मुश्तहर जो ग़म-ए-इंसाँ न हुआ था सो हुआ इस से पहले कि तिरी याद के बादल छाएँ मुझ को अंदाज़ा-ए-तूफ़ाँ न हुआ था सो हुआ है असर मेरी ही आशुफ़्ता-सरी का शायद वो मुझे देख के हैराँ न हुआ था सो हुआ हाए वो एक नज़र लुत्फ़-ओ-करम से जिस के तुझ से भी जो ग़म-ए-दौराँ न हुआ था सो हुआ शुक्रिया उन के सितम का कि यूँ ही ऐ 'इक़बाल' आज तक मुझ पे जो एहसाँ न हुआ था सो हुआ

More by Iqbal Umar
View all →"ab ilaaj-e-dil-e-bimaar-e-sahar ho ki na ho zindagi saaya-e-gesu mein basar ho ki na ho mujh ko rakhnaa hi thaa aadaab-e-mohabbat kaa khayaal mere shaane pe kal us shokh kaa sar ho ki na ho aaj har baat miri qaul-e-khudaavandi hai kal miri baat pe yuun jumbish-e-sar ho ki na ho jaane kis moD pe le aai mujhe umr-e-ravaan sochtaa huun ye tiri raahguzar ho ki na ho kyuun na ji bhar ke ab ashkon se charaaghaan kar luun yuun koi raat phir aankhon mein basar ho ki na ho saae mein jin ke andheron ke sivaa kuchh bhi nahin un charaaghon ko bujhaa dungaa sahar ho ki na ho mere gham-khaane mein aate hue ummid ki zau puchhti hai ki udhar meraa guzar ho ki na ho aaj jo kahnaa ho ai husn khud-aaraa kah le kal tiri bazm mein 'iqbaal'-umar ho ki na ho"
"ham jis taraf nikal paDe vaaraftagi ke saath manzil ne chuum chuum liyaa sarkhushi ke saath ham jaante hain koi bahaana taraash kar pesh aaeinge vo ham se baDi be-rukhi ke saath vo jannat-e-nigaah jo hai ain-e-zindagi aksar uThi hai meri taraf barhami ke saath shokhi si kuchh jhalakti hai un ki nigaah se chalte to hain qadam-ba-qadam saadgi ke saath kuchh bhi na kah sake mire haal-e-tabaah par sunte rahe fasaana-e-gham khaamushi ke saath maayus ho ke palTe jo aivaan-e-husn se phir aarzu lipaT gai divaangi ke saath vo saamne hai manzil-e-jaanaan ki sarzamin ai mukhlisaan-e-ishq chalo be-khudi ke saath matlab hi jaise kuchh unhein 'iqbaal' se nahin aae bhi hain vo dil mein to kis saadgi ke saath"
"ek ik lamha ki ek ek sadi ho jaise zindagi khel koi khel rahi ho jaise dil dhaDak uTThaa hai tanhaai mein yuun bhi aksar baiThe baiThe koi aavaaz suni ho jaise phir rahaa huun main uThaae hue yuun baar-e-hayaat mere shaane pe tiri zulf paDi ho jaise dil kaa har zakhm kuchh is tarah lahak uTThaa hai raat-bhar yaadon ki purvaai chali ho jaise aaj ki subh bhi hai vaisi hi bojhal bojhal aaj ki raat bhi aankhon mein kaTi ho jaise jaane kis soch mein chup baiThe hain yuun divaane barf honTon pe bahut din se jami ho jaise dil ne badlaa hai is andaaz se pahlu 'iqbaal' paas hi dil ke kahin aag lagi ho jaise"
"chhu ke kyaa zulf-e-pareshaan ko sabaa aai hai aaj divaane ne jiine ki qasam khaai hai mahfil-e-naaz mein har ik se shanaasaai hai phir bhi har gaam pe andesha-e-rusvaai hai kuchh khabar bhi hai urus-e-gham-e-dauraan tujh ko kaun si baat hamein raah pe le aai hai itni pur-pech hai ai jaan-e-jahaan raah-e-hayaat teri zulfon ki har ik gaam pe yaad aai hai jhaanktaa rahtaa hai khvaabon ke dariche se koi kitni pur-kaif hamaari shab-e-tanhaai hai kyaa tire chaahne vaalon mein hai us kaa bhi shumaar jo na divaana hai majnun hai na saudaai hai sochtaa huun ki na guzre kahin kuchh un pe giraan aaj phir saaz-e-shikasta pe ghazal gaai hai"
"chaandni raat hai aaj kitni sajal shaahraah-e-mohabbat pe gaaein ghazal ahl-e-aalam ko de kyon na dein koi hal mashal-e-zindagi dhime dhime na jal jaantaa huun main ye rasm-e-daar-o-rasan do qadam haath mein haath le ke tu chal kaun jaagaa hai yuun raat pichhle pahar aankh mein ashk hain aur labon par ghazal regzaar-e-gham-e-zindagi se guzar dekhte dekhte khvaab-e-subh-e-azal tu bhi naa-aashnaa-e-sukun ho gai gardish-e-zindagi mujh se bach bach ke chal apni majburi-e-dil bayaan kyaa karun TuTte hi nahin hasraton ke mahal haan yahi kaaenaat-e-mohabbat hai bas ik gham-e-mustaqil ik hansi be-mahal mujh se 'iqbaal' ab koi kahtaa to hai meri khaatir giraa meri khaatir sanbhal"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"