SHAWORDS

mausam-e-gul hai naqaab-e-husn uTh jaane kaa naam — Anjum Abbasi

HomeAnjum AbbasiGhazal
"mausam-e-gul hai naqaab-e-husn uTh jaane kaa naam hai nashaat-e-jaan-o-dil us daur ke aane kaa naam tang zehnon mein hai maatam gardish-e-ayyaam kaa mahfil-e-hasti ko de rakkhaa hai gham-khaane kaa naam jab kabhi chhiDtaa hai zikr-e-rasm-o-raah-e-aashiqi log lete hain adab se tere divaane kaa naam un ki yaad un kaa tasavvur un kaa gham un ki khushi zindagi hai meri bas un mein hi kho jaane kaa naam main agar naakaam huun naakaam rahne dijiye kyaa paDi hai aap ko lein rahm farmaane kaa naam har buraai maslahat ke naam se hai ab ridaa de chuke hain log maqtal ko sanam-khaane kaa naam is mohabbat mein hain 'anjum' sainkaDon dushvaariyaan soch kar lene kisi zaalim ko apnaane kaa naam"
Urdu

موسم گل ہے نقاب حسن اٹھ جانے کا نام ہے نشاط جان و دل اس دور کے آنے کا نام تنگ ذہنوں میں ہے ماتم گردش ایام کا محفل ہستی کو دے رکھا ہے غم خانے کا نام جب کبھی چھڑتا ہے ذکر رسم و راہ عاشقی لوگ لیتے ہیں ادب سے تیرے دیوانے کا نام ان کی یاد ان کا تصور ان کا غم ان کی خوشی زندگی ہے میری بس ان میں ہی کھو جانے کا نام میں اگر ناکام ہوں ناکام رہنے دیجئے کیا پڑی ہے آپ کو لیں رحم فرمانے کا نام ہر برائی مصلحت کے نام سے ہے اب ردا دے چکے ہیں لوگ مقتل کو صنم خانے کا نام اس محبت میں ہیں انجمؔ سینکڑوں دشواریاں سوچ کر لینے کسی ظالم کو اپنانے کا نام

Hindi

मौसम-ए-गुल है नक़ाब-ए-हुस्न उठ जाने का नाम है नशात-ए-जान-ओ-दिल उस दौर के आने का नाम तंग ज़ेहनों में है मातम गर्दिश-ए-अय्याम का महफ़िल-ए-हस्ती को दे रक्खा है ग़म-ख़ाने का नाम जब कभी छिड़ता है ज़िक्र-ए-रस्म-ओ-राह-ए-आशिक़ी लोग लेते हैं अदब से तेरे दीवाने का नाम उन की याद उन का तसव्वुर उन का ग़म उन की ख़ुशी ज़िंदगी है मेरी बस उन में ही खो जाने का नाम मैं अगर नाकाम हूँ नाकाम रहने दीजिए क्या पड़ी है आप को लें रहम फ़रमाने का नाम हर बुराई मस्लहत के नाम से है अब रिदा दे चुके हैं लोग मक़्तल को सनम-ख़ाने का नाम इस मोहब्बत में हैं 'अंजुम' सैंकड़ों दुश्वारियाँ सोच कर लेने किसी ज़ालिम को अपनाने का नाम

mausam-e-gul hai naqāb-e-husn uTh jaane kā naam
A
Anjum Abbasi
Anjum Abbasi
poet8 quotes

More by Anjum Abbasi

View all →
Quote
"teri nigaah-e-naaz baDi kaargar gai mere mazaaq-e-did ko be-kaar kar gai hogaa zarur paas-e-vafaa un ko ek din bas is khayaal mein hi javaani guzar gai apne shikasta-haal kaa mumkin na thaa ilaaj tum ne nazar milaai to duniyaa sanvar gai yuun kaT gai khayaal mein un ke shab-e-firaaq ye bhi khabar banein kidhar aai kidhar gai dekhe to koi jazb-e-mohabbat kaa ye asar hir-phir ke mere dil pe hi un ki nazar gai maamur hai nigaah mein ab saari kaaenaat tanvir kis ke husn ki har su nikhar gai do-gaam bhi chale nahin tum raah-e-ishq mein sakhti-e-raah tum ko to bezaar kar gai 'anjum' kisi ki chashm-e-karam kaa ye faiz hai tufaan mein bhi ghir ke jo kashti ubhar gai"
A
Anjum Abbasi
Quote
"roz akhbaar mein chhap jaane se miltaa kyaa hai apni tashhir ke afsaane mein rakkhaa kyaa hai tum ne jis ko gham-e-ayyaam kahaa hai yaaro vo mire dard kaa hissa hai tumhaaraa kyaa hai jhun-jhune de ke mire haath mein koi mujh ko qaid-e-hasti ki sazaa de ye tamaashaa kyaa hai kal talak jo miri taarif kiyaa kartaa thaa aaj vo bhi miraa dushman hai ye qissa kyaa hai ham agar Duub bhi jaaein to ubhar sakte hain ham ko maalum hai jiine kaa saliqa kyaa hai ham ne saughaat samajh kar to use apnaayaa ab ye kyuun sochein ki is gham kaa mudaavaa kyaa hai yuun to sab log tumhein jaante honge 'anjum' aur koi bhi na jaane to bigaDtaa kyaa hai"
A
Anjum Abbasi
Quote
"zakhm mahke hain gul-rukhon ki tarah ham bhi zinda hain hasraton ki tarah tum ko khushbu banaa ke chhoDeinge ham mein bu-baas hai gulon ki tarah kitne chehre lagaae phirte hain aaj insaan raavanon ki tarah roz aab-e-hayaat piitaa huun roz martaa huun main gulon ki tarah jis ko paalaa vahi to zehn ham ko Dastaa rahtaa hai naaginon ki tarah taptaa rahtaa huun ret ke maanind koi barse to baadalon ki tarah ab kahaan jaaein kis tarah jaaein dard phailaa hai raaston ki tarah is giraani ke daur mein 'anjum' apne siine hain maqbaron ki tarah"
A
Anjum Abbasi
Quote
"sukun-o-sabr luTaa hosh kaa khazaana gayaa tumhin bataao khudaaraa ki meraa kyaa na gayaa giraai barq-e-nazar-soz baarhaa lekin mazaaq-e-did hamaaraa shikast khaa na gayaa khudaa ki zaat pe insaan ne kar diye hamle fareb-e-aql se jab aap mein rahaa na gayaa hamaare zauq-e-nazar ne to khuub kaam kiyaa chhupe hazaar tarah vo magar chhupaa na gayaa tamaam umr jalaayaa charaagh-e-dil main ne shab-e-siyaah kaa lekin ye silsila na gayaa khulus-e-dil mein hi 'anjum' kami rahi hogi ki vo qarib rahe phir bhi faasla na gayaa"
A
Anjum Abbasi
Quote
"nagri nagri ghuum rahe hain ulfat ke divaane chand paanv shikasta tan zakhmi hain haathon mein paimaane chand jiiti dhuup sisakti aahein jehd-e-musalsal zakhm-e-dil haae re us mazdur ki haalat jis ki qismat daane chand aisaa kaal na dekhaa ham ne vaise dekhe kaal bahut maikhaane mein sab hi pyaase lekin hain paimaane chand ham se ruuTh ke jaane vaale apnaa tasavvur rahne de ham ne bune hain jivan bhar mein khvaab ke taane-baane chand haan ai chaaragaro meri barbaadi kaa saamaan karo khun-e-tamannaa ki surkhi se saj jaaein kaashaane chand gham ki tapish ne bahte aansu khushk kiye hain ai 'anjum' girya-e-shabnam gulshan gulshan phir bhi bharein paimaane chand"
A
Anjum Abbasi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb