SHAWORDS

mere peD ke saare patte sukhe hain — Ali Raza Razi

HomeAli Raza RaziGhazal
"mere peD ke saare patte sukhe hain ik ik kar ke Daali se sab TuuTe hain ro lete hain chhup kar saamne hanste hain mere ghar mein saare kitne jhuTe hain sar pe chhat na baap kaa saaya aur shikam is pe qahr ki apne ham se ruThe hain jaldi jism ki bhuuk miTaa lo ai saahab ghar par mere saare bachche bhuke hain khaali peT thaa duudh pilaayaa bachche ko nanhe peT pe zabt ke daaman chhoTe hain khun-e-jigar se pyaas bujhaai logon ki in aankhon se lahu ke chashme phuTe hain teraa diyaa hi naam tire par nahin diyaa jitne baDe hain dil ke baDe hi chhoTe hain"
Urdu

میرے پیڑ کے سارے پتے سوکھے ہیں اک اک کر کے ڈالی سے سب ٹوٹے ہیں رو لیتے ہیں چھپ کر سامنے ہنستے ہیں میرے گھر میں سارے کتنے جھوٹے ہیں سر پہ چھت نہ باپ کا سایہ اور شکم اس پہ قہر کہ اپنے ہم سے روٹھے ہیں جلدی جسم کی بھوک مٹا لو اے صاحب گھر پر میرے سارے بچے بھوکے ہیں خالی پیٹ تھا دودھ پلایا بچے کو ننھے پیٹ پہ ضبط کے دامن چھوٹے ہیں خون جگر سے پیاس بجھائی لوگوں کی ان آنکھوں سے لہو کے چشمے پھوٹے ہیں تیرا دیا ہی نام ترے پر نہیں دیا جتنے بڑے ہیں دل کے بڑے ہی چھوٹے ہیں

Hindi

मेरे पेड़ के सारे पत्ते सूखे हैं इक इक कर के डाली से सब टूटे हैं रो लेते हैं छुप कर सामने हँसते हैं मेरे घर में सारे कितने झूटे हैं सर पे छत न बाप का साया और शिकम इस पे क़हर कि अपने हम से रूठे हैं जल्दी जिस्म की भूक मिटा लो ऐ साहब घर पर मेरे सारे बच्चे भूके हैं ख़ाली पेट था दूध पिलाया बच्चे को नन्हे पेट पे ज़ब्त के दामन छोटे हैं ख़ून-ए-जिगर से प्यास बुझाई लोगों की इन आँखों से लहू के चश्मे फूटे हैं तेरा दिया ही नाम तिरे पर नहीं दिया जितने बड़े हैं दिल के बड़े ही छोटे हैं

mere peḌ ke saare patte sūkhe haiñ
Ali Raza Razi
Ali Raza Razi
Ali Raza Razi
poet8 quotes

More by Ali Raza Razi

View all →
Quote
"bhalaa kashkol ke aage ye kaasa kaun kartaa hai ho dil apnaa to phir duuje ki aashaa kaun kartaa hai yahaan ham hain bhare baiThe vahaan un ko bhi ghussa hai chalo phir dekhte hain ab tamaashaa kaun kartaa hai tumhaaraa pyaar hai na jo suno ratti baraabar hai ye khud hi dekh lo tole ko maashaa kaun kartaa hai sunaa hai donon hi ik dusre se pyaar karte hain chalo phir dekhte hain be-tahaashaa kaun kartaa hai ye ham hi the jo sab kuchh bhuul kar phir dil lagaa baiThe bhalaa socho tamaashe par tamaashaa kaun kartaa hai kabhi aankhein kabhi gesu kabhi abru banaate ho 'razi' tum jaante ho but taraashaa kaun kartaa hai"
Ali Raza RaziAli Raza Razi
Quote
"kabhi sadiyon ko lamha maartaa hai kabhi dariyaa ko qatra maartaa hai kahin par ek ko majme ne maaraa kahin majme ko tanhaa maartaa hai main ye fahm-o-faraasat bech to duun mujhe dil kaa kaTahraa maartaa hai havaale jab se tere dil kiyaa hai use teraa havaala maartaa hai tujhe ghar se bhagaa saktaa huun tere magar bahnon kaa chehra maartaa hai mohabbat se miri tum jaan le lo mujhe bas sard lahja maartaa hai adu kaanpe hai meraa naam sun kar mujhe meraa masihaa maartaa hai main jis par farz ki takmil kar duun vo mere haq pe Daaka maartaa hai mire maalik tiraa banda nahin kyaa vo jo mazdur bachcha maartaa hai"
Ali Raza RaziAli Raza Razi
Quote
"mein peT se apne khud hi kapDaa uThaa rahaa huun bataa rahaa huun main apne bachchon ko aaj bhukaa sulaa rahaa huun bataa rahaa huun bisaat se baDh ke kharch khud ko kiyaa hai main ne miri khataa hai aur ab main chaadar se paanv apne chhupaa rahaa huun bataa rahaa huun anaa ko apni main apne haathon se haar dungaa yaa maar dungaa ghurur ko apne khaak mein bhi milaa rahaa huun bataa rahaa huun main zabt ki aakhiri hadon ko na jaa sakungaa main ro paDungaa main baat karte hue tabhi kapkapaa rahaa huun bataa rahaa huun ye khush-libaasi ye rakh-rakhaav sivaa dikhaave ke kuchh nahin hai main ek Topi hi sab ke sar pe ghumaa rahaa huun bataa rahaa huun main zulmat-e-shab kaa shikva hargiz nahin karungaa DaTaa rahungaa main apne hisse ki shama yaaro jalaa rahaa huun bataa rahaa huun main jaantaa huun javaab teraa nahin mein hogaa ajiib kyaa hai savaal karte hue tabhi hichkichaa rahaa huun bataa rahaa huun mujhe to sab kuchh hi yaad hai main sahar kaa bhulaa nahin huun yaaro main shaam Dhalne se pahle hi ghar ko jaa rahaa huun bataa rahaa huun le meri jaanib se aaj badle ki intihaa sun miraa elaan sun main apni nazron se aaj tujh ko giraa rahaa huun bataa rahaa huun vajud meraa hai khaak aur is ne khaak mein hi hai khaak honaa main khaak ko aasmaan ki jaanib uDaa rahaa huun bataa rahaa huun ye sher to mujh se baiThe baiThe yunhi hue hain kahe nahin hain 'razi' main misre ke saath misraa lagaa rahaa huun bataa rahaa huun"
Ali Raza RaziAli Raza Razi
Quote
"tire haathon mein jab ho haath to ham-zor lagtaa hai magar jab saath chalnaa ho miraa kyuun zor lagtaa hai mohabbat ke mazaahib mein suno donon hi kaafir hain tiraa imaan mujhe meraa tujhe kamzor lagtaa hai asar kuchh haadson kaa yuun paDaa meri samaaat par kisi kaa dhimaa lahja bhi mujhe ab shor lagtaa hai suno insaan jo insaaniyat se duur rahtaa ho mujhe insaan nahin lagtaa vo aadam-khor lagtaa hai hamaare do dilon ke darmiyaan sarhad hai nafrat ki vagarna saath amaritsar hi ke lahore lagtaa hai ye jis shohrat ko tum izzat ganvaa kar mo'atabar samjhe ki izzat ko kamaane mein suno ik daur lagtaa hai ghazal saari hi teri Thiik hai apni jagah lekin mujhe matlea kaa saani bas zaraa kamzor lagtaa hai hunar hai aap kaa dil jiit lenaa jhuTi baaton se 'razi' sachchi sunaataa hai tabhi munh-zor lagtaa hai"
Ali Raza RaziAli Raza Razi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil