SHAWORDS

miri duaaon kaa ye moajiza lage hai mujhe — Anwar Panipati

HomeAnwar PanipatiGhazal
"miri duaaon kaa ye moajiza lage hai mujhe fusun-e-tira-shabi TuTtaa lage hai mujhe guzar chukaa huun kai baar in hisaaron se jahaan ki khaak bhi zanjir-e-paa lage hai mujhe khushi ke naam se aankhon mein ashk aate hain gham-e-hayaat se dil aashnaa lage hai mujhe tamaam log jo chaunke hain sun ke maqtal mein vo meri dard mein Duubi sadaa lage hai mujhe khabar nahin thi ki har shakhs tez-rau hogaa miri rafiq-e-safar ab anaa lage hai mujhe bachungaa sang-e-malaamat se kis tarah 'anvar' isi khayaal se ab khauf saa lage hai mujhe"
Urdu

مری دعاؤں کا یہ معجزہ لگے ہے مجھے فسون تیرہ شبی ٹوٹتا لگے ہے مجھے گزر چکا ہوں کئی بار ان حصاروں سے جہاں کی خاک بھی زنجیر پا لگے ہے مجھے خوشی کے نام سے آنکھوں میں اشک آتے ہیں غم حیات سے دل آشنا لگے ہے مجھے تمام لوگ جو چونکے ہیں سن کے مقتل میں وہ میری درد میں ڈوبی صدا لگے ہے مجھے خبر نہیں تھی کہ ہر شخص تیز رو ہوگا مری رفیق سفر اب انا لگے ہے مجھے بچوں گا سنگ ملامت سے کس طرح انورؔ اسی خیال سے اب خوف سا لگے ہے مجھے

Hindi

मिरी दुआओं का ये मो'जिज़ा लगे है मुझे फुसून-ए-तीरा-शबी टूटता लगे है मुझे गुज़र चुका हूँ कई बार इन हिसारों से जहाँ की ख़ाक भी ज़ंजीर-ए-पा लगे है मुझे ख़ुशी के नाम से आँखों में अश्क आते हैं ग़म-ए-हयात से दिल आश्ना लगे है मुझे तमाम लोग जो चौंके हैं सुन के मक़्तल में वो मेरी दर्द में डूबी सदा लगे है मुझे ख़बर नहीं थी कि हर शख़्स तेज़-रौ होगा मिरी रफ़ीक़-ए-सफ़र अब अना लगे है मुझे बचूँगा संग-ए-मलामत से किस तरह 'अनवर' इसी ख़याल से अब ख़ौफ़ सा लगे है मुझे

mirī duāoñ kā ye mo.ajiza lage hai mujhe
A
Anwar Panipati
Anwar panipati
poet11 quotes

More by Anwar Panipati

View all →
Quote
"chheD karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qabaa dosto laala-o-gul ke bhi dil machalne lage dekh kar ye chaman ki fazaa dosto koi nau-khez doshiza le ke chali jab kabhi jaam-e-shoala-numaa dosto raunaq-e-mai-kada khud-ba-khud hi baDhi hashr saa ho gayaa ik bapaa dosto saaz bajne lage giit Dhalne lage saaghar-e-mai ke bhi daur chalne lage mah-jamaalon ne zulfein kahin khol diin chhaa gai mai-kade par ghaTaa dosto un ke dilkash se gulnaar rukhsaar par bikhre bikhre se gesu shikan-dar-shikan aur is par qayaamat hai un ki hansi lab ne ki hai mire phir khataa dosto khud-bakhud gulsitaan mein kali jab khili raat ki god mein chaandni hans paDi jhuk gai bahr-e-sajda nasim-e-sahar hai ye aadaab-e-mehr-o-vafaa dosto"
A
Anwar Panipati
Quote
"ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein kis ne mai nigaahon ki Dhaal di hai shishe mein kaun ab tasalli de kaun mere kaam aae jab hayaat khud meri Dhal gai hai shishe mein gham-nigaah kyaa jaane aansuon ke Dhalne se raushni tabassum mein dilkashi hai shishe mein nuqrai tabassum mein kaifiyat hai naghmon ki jhumte hain paimaane naghmagi hai shishe mein itne kyon pareshaan ho saaghar-e-shikasta se zindagi ki raa'naai aaj bhi hai shishe mein ahl-e-aql-o-daanish ki baat ye agar sach hai be-khudi hai baade mein aagahi hai shishe mein baat ishq-o-masti ki main ne chheD di 'anvar' saagaron mein sahbaa hai shaa'iri hai shishe mein"
A
Anwar Panipati
Quote
"mujhe nasib usi se to kuchh khushi hai naa libaas-e-dard mein malbus zindagi hai naa diye lahu se jalaa ke jo main ne rakkhe the gali gali mein to ghar ghar mein raushni hai naa qadam qadam pe mile hain jo dard ke lashkar rukh-e-hayaat pe phir aks-e-bebasi hai naa gham-e-hayaat tumhein kis tarah nazar aae dil-o-nazar pe jami gard-e-gumrahi hai naa kabhi kabhi koi mujh se ye puchh letaa hai makaan-e-dil mein vo mehmaan ajnabi hai naa miraa jo ek hi sajda qubul ho jaae mire liye to vo meraaj-e-bandagi hai naa ye dard-o-karb ye huzn-o-malaal mein Duubi bahut latif si 'anvar' ki shaaeri hai naa"
A
Anwar Panipati
Quote
"mili hai pyaar ki khushbu jo mere aangan mein sabaa ne jaa ke ye qisse kahe hain gulshan mein chhalak rahaa hai basanti khumaar aankhon se kabhi jo dekh liyaa main ne un ko chilman mein sabaa jo chhu ke chali hai kisi ke aariz ko bahaar khud hi larazne lagi hai gulshan mein shafaq labon pe yahaan hai vahaan bahaar aai 'nasim' jaane kahaan paD gai hai uljhan mein mile labon ke ujaale to gesuon ki mahak khiraam-e-nikhat-e-gul mein sabaa ki dhaDkan mein nigaah-e-dil kaa taqaaza yahi to hai 'anvar' gire jo ashk vo ban jaae phuul daaman mein"
A
Anwar Panipati
Quote
"patthar ki baarishon kaa asar dekhte chalein kaise bachaa hai shishe kaa ghar dekhte chalein jin ko nahin yaqin mire hauslon pe ho naqsh-e-qadam mein azm-e-safar dekhte chalein us khush-adaa ki rasm-e-muravvat na puchhiye badli hai kaisi us ki nazar dekhte chalein ghar ki tabaahiyon se jo maghmum the bahut ujDe hue vo dil ke nagar dekhte chalein maazi ke dil-fareb saraabon ko chhoD kar aao zaraa ye taaza khabar dekhte chalein jo log bhi chaman mein samar-yaab ho chuke gham se sulagti shaakh-e-shajar dekhte chalein 'anvar' jo log shaam-e-masarrat mein mast the un se kaho ki gham ki sahar dekhte chalein"
A
Anwar Panipati

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari